FIKRism

Tuesday, November 9, 2010

AFM-04-FJBH_Falsafa

AFM.Jalalpuri.

4- Ye Ke Falsafa Jan Balb Hy!
.
Excerpt
Page. 60-61
last para. . .
“science aur falsafe ke aghaz o irtiqa ki is mukhtasir jaize se ye baat wazeh hogai hogi ki science aur falsafa shuroo se dosh badosh taraqqi ki manazil te karte rahe hyn. Falasfa ne science ke inkeshafat ki tarjumani ki hy aur science ne falasfa ko fikr ki naye zaviye ata kiye hyn. Ye kehna ke falsafa jan balb hy ye kehne ke mutaradif hy ke science jan balb hy. Jab tak science ki tehqiq ka silsila jari hy us waqt tak falasfa ke inkeshafat ki tarjumani kar ke naye naye nasbul-ainon aur qadron ka taiyun karte rahen ge. … haasil kalam ye ke science aur falsafte ka shuroo se choli daman ka sath raha hy. Jab tak science zinda hy falsafa bhi zinda rahe ga aur donon ek dusre ki taqveet ka baais hote rahen ge.”

My Comments:

Falsafa Fikr ka Nam Hy, aur Fikr jb Tajurbe se Guzarti hy to Science bn Jati Hy.
Aur ye Safar yehin Khatm nahi hota, Tajrbe se Nai Fikr Janam leti hy jo dobara Nai Tajurbon se guzarti hy . . . Aur ye silsila chalta rehta hy !

Bunyadi tor per is bat me koi tazad nahi. Aur is hisab se Falsafa i Science hy Science i Falsafa hy!

Per chota sa tazad peda hota hy jb Science ka mafhom sirf Maadi Ashya tk Mehdood kr diya jaye . . .

[Fikr aur Tajurbe (yani Falsafa aur Science) me ye bt darpesh ati hy k jb Fikr pe kiye gaye Tajurbe Madi hote hyn to unko logon k Samne pesh kiya ja skta hy, aur us per ungli uthane ki b zarorat pesh nahe ati kyon k wo hamari ankhon k samne hote hyn ham use dkh sakte hyn. PER jo Fikr pe kiye gai Tajurbe Mahz Aqli Hote hyn, usko logon k samne ek She ki soorat me pesh nahe kiya ja skta. Ye mahz Hikmat hoti hy!

Esi bat samjhane k liye sirf Misalen di ja sakti hyn (agr maujood hon!) aur Misalen Khud galat ho skti hyn(jb k mumkin hyn sirf misalen i ghalat hon jab k Asal Fikr nahin). Esi Soorat me yaqin krne k liye 3 raste i bchte hyn, ya to bnda khud us Aqli Mayar tk puhunch jaye, aur us pahaar ki choti per khara ho kr khud jaiza le k akhir bt ks had tk durust hy (phr chahe tasdiq kare ya tardeed), 2nd ye k kehene wali k bt seedhi seedhi man le (yane taqleed, phr chahe waalid ki ho, ustad ki ho ya mutbar o muhtaram ki...), ya ye k kuch ahle fikr k liye chhor de k wo jaiza len aur kuch cmnts pas karain js k nataij ko dkh kr ye ks natije pe puhunche!

(aur shayad yahin se Misaliyat aur Madiyat k Schools khule, jinhon ne Ashya k Tajurbat se Sabaq sekha wo Madiyat pasand thehre aur jinho ne Aqali Tajrbon se Sabaq Sekha wo Misaliyat pasand thehre.)
___________________
[written on July 12 2010]

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...