FIKRism

Saturday, February 27, 2010

Wadiye Sindh aur Tehzeeben_Summary

Wadiye Sindh Aur Tehzeeben

Summary:
Barsagheer main tehzeebn Indus Civilization se qareeb 2500 BC main shuru hoti hyn, aur apni irtiqai manazil te karte hue, phelte hue aur bal-akhir zawal pazeer hojati hyn, qareeb 1500 BC tak, Irani Fateheen ki waja se ye Khata North-Western 'South Asia' (Pakistan), ahle-Faras ke soobajat main shamil hojata hy, 3sri Sadi Qabl Maseeh main Irani Badshahon ki Tanazzul Pazeeri aur Sikandar Azam k invasion aur wapsi ke baad Ganga nadi se Mooriya khandan ko moqa milta hy apna Iqtidar haasil karna ka, aur Chandar Gupt aur baad main uske poote Ashok Azam apna tasallut jamate hyn, aur North Pakistan aur South India ko invade karte hyn.
in short: Barsagheer Pak o Hind ki munasbat se moujudah India ka aaj se 4 5 hazar saal pehle koi naam na tha, Sindhoo Maathri se Tehzeeben uthti hyn, apne gard o nawah main phelte hue, apne Urooj se Zawal tak puhuchti hy, qareeb 1000BC main Ganga Jamna k gird tehzeeben pinapti hyn aur baad main neeche (South India) ki taraf safar karti hyn. yani Sindh se shuru karte, Punjab aur East (Ganga Jamna) ki taraf barhte, South India ki taraf 'hawa' chalti hy.
Doosre alfazon main ye bhi kaha ja sakta hy 'Qadeem India' aaj ka Pakistan hy.
sub se pehle SINDH abad hua, 2500BC aur sb se akhir main South India, qareeb 500BC main.

-abro


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...