FIKRism

Sunday, December 6, 2009

Mazi Ke Mazar by Sibte Hassan

Mazi Ke Mazar

By Sibte Hassan

1969


SUMMARY


Mazi K Mazar Mai Sibte Hassan Ne Mazi Ki Tehzeebon Per Roshni Daali Hy, Jin Main Khas Iraqi Sumerian Tehzib (Darya Dajla o Furat k rehne wale, Aur Misri Tehzeeb (Darye Nile K Rehne Wale), Moen Jo Daro Tehzib (Darye Sindho K Rehne Wale), Arbon K Tehzeeb Waghera Shaamil Hyn.



Excerpts - اقتباسات


--> Sumeri Qaum Main Sindhi Masnoo’aat. P. 22


--> Lekin Wadiye Sindh Se Achanak Tijarat Ka Ye Silsila 16wenh Sadi B.C. Main Band Hogaya. P. 22


--> Harf ‘ب’ Ki Ibtidayee Shikal Bait Ki The, Bait Ki Ilamat Khema Tha Jis Ke Darwaze Per Ek Admi Bhetha Hota Tha. Admi Ki Shikal Ghatte Ghatte Faqat Ek Nuqta Reh Gai Aur Khema Ek Ulte Qaus Numa Khat Main Badal Gaya Aur Ye Nishan Lafz Bait Ke Pehle Rukn Ki Awaz Ki Elamat Qarar Paya. P. 37


--> Bhagwan Ki Kahani. P. 38-39


--> Insan Paanch Laakh Baras Purana Hy. P. 43


Three Age System

Stone Age = 5 Lakh – 5000 BC

Bronze Age = 5000 - 1200 BC

Iron Age = 1200 BC - Now


--> Aurat Ko Mard Per Ek Darja Fauqiyat Hasil Thee. P. 44

(Afzaish E Nasl K Karname Ki Waja Se)


--> Chunache Aryaaon Ke Qaafle Jo 15wen Sadi Qabl Maseeh Main Iran Main Dakhil Hue Aur Jinhon Ne Wadiye Sindh Ki Tehzeeb Ko Taakht O Taraj Kia Dar Asal Giyahastani (گیاہستانی) Log The. P. 45


--> Kisi Zaat Ke Irade Aura Mal Ke Bagair Koi She Na Wajood Main Asakti Thee Aur Fana Ho Sakti The. P. 50


--> Naach Gaane Ki Ibtida Zara’at Ki Rasmon Se Hui. P. 54


--> Madre Arz Ke Mukhtalif Naam .. عشار، برگا، زھرہ


--> Natural Powers à Suraj, Chaand, Aandhi, Pani -à Devi Devta.

Before Philosopy. P. 87


--> Rigvade Ka Sub Se Bara Devta Indr Darasal Un Arya Qabilon Ka Hero Tha Jinhon Ne Wadiye Sindh Ki Tehzeeb Ko Taraj Kiya. P. 89


--> Inleel Ya Iya (انلیل ، اِیا). P. 93


--> Ninnayasin (ننا یاسین). P. 96


--> Qiyas Kehta Hy … Ibrahim Ka Zati Khuda …(purane zamene main common/samaji khudaon k elawa her ek ka apna apna koi zaati khuda b hua karta tha, is liye qiyas k hisab se Ibrahim (as) jis Khuda ki dawat dete the wo unka apna zaati Khuda tha, yani ye kaho ‘Ibrahim ka Khuda’ … esa lagta hy jese aaj k zamane main jese her ek ne apna apna peer murshid bana/choose kar liya hy… bus kuch same concept tha… haqiqat main ye baat theek b hy… insane fitri etbaar se Common/General Baaton per yaqeen aur amal kam karta hy, per ager uski kisi zaati chez ka hawala do to to us k liye kuch b karne k liye tayar ho jayega !!! … isi etbaar se sub Khuda k baad hr quam apne apne Nabi k peeche phir aakhri Nabi (saww) k baad apne apne Imam main taqsim hy jese Quran, Surah Isra, ayat 71 main Khuda kehta i hy k “jis din Hum tamam logon ko bulayenge un k Peshwaoon k saath”… abro)


--> Teohaar Qudrat Ko Control (Ya Raazi) Karne K Liye Manaye Jaate The. Tafreeh K Liye Nahi. P. 104-105


--> Qadeem Zamane Main Sub Se Eham Teohaar Noroz Ka Tha. P. 105 (Details. P. 108)


--> Misriyon Ka Naya Saal 19 July Se Shuru Hota Hy. P. 129


--> Asmaan Aur Zameen K Darmiyan 90 Hazar Le (30 Hazar Mile) Ka Fasila Hy – (Cheeni Aqeeda). P. 148


--> Rigvade – 10 Mandal. P. 155


--> Eel (ايل) … Ismaeel, Habeel, Qabeel, Jibraeel … 162


--> Teen Sawa Teen Hazar Saal Peshtar … Arya Aur Yahood Ko Talashe Muaash Ke Khatir Aabaee Watan Tark Karna Para. Arya Qabeele Wastee Asia Ke Charagahon Se Nikle … P. 171


--> Arbon Main Allah Wahid Ki Ibadat Panchhwen Sadi Qabl Maseeh Se Hy. Arab Main Allah Ki Ibadat Ka Ravaj Muddat Se Tha. P. 181


--> ‘Epicurus’ (341 BC, Samos – 270 BC, Athens, Was An Acncient Greek Philospher And The Founder Of Epicureanism) Ghaaliban Pehla Mumtaz Falsafi Hy Jis Ne Insan Ko Apne Fa’l Ka Mukhtar Theraya. P. 223


--> Lekin Ek Gurooh Esa Bhi Tha Jo Is Jawab Se Mutmain Na Hua … (K Insan Khud Mukhta Hy). P. 226


--> Jannat Ka Ye Ikhlaqi Tasaur Sub Se Pehle Misriyon Ne 5000 Saal Pehle Pesh Kiya. P. 244


--> Purane Zamne Main Logon Ko Apne Ajdaad Se Gehri Muhabbat The Wo Un Ke Nuqoosh E Qadm Per Chalna Chahte The, Wo Un Ke Lye Hero The. Log Un Ke Muqburon Pe Qabr Paraste Karne Nahi Bulke Ajdaad Ki Khushnoodi Haasil Karne K Gharz Se Charhawe, Qurbaniyan, Aur Nazren Pesh Karte The Take Zindon Ki Taqat O Tawanai Main Izafa Ho (Peeron Peshwaaon Ke Mazaron Per Log Aaj Bhi Is Jazbe K That Minnaten Muraden Maangne Jaate Hyn). P. 245


--> Musalmanon Ka Ek Firqa To Ab Tak Apne Imam Se Isi Qism Ke Parwane Hasil Karta Hy. P. 250


--> Mummy Banane Ka Tareeqa. P. 251


--> Kiya Isi Darya-E-Nile Ne … !!! P. 253


--> Jazeere Main Ek Shakhs Rehta Hy Jis Ko Devtaon Ne Amar Bana Diya Hy Aur Use Baqa-E-Dawam Ka Raaz Maloom Hy Uska Naam Khazi Sastra Hy. P. 270


--> Insan Kisi Haqiqat Ki Us Ki Zid Ki Bagair Tasaur I Nahi Kar Sakta Hy. P. 278-279


--> Shajre Hayat Ke Qabeele Ki Ek Cheez Amart Phal Bhi Thee. … P. 282


--> Chinee Hayat-E-Abdi Ka Tareeqa. P. 285


--> Sikka Satwen Sadi Q. M. Main Eejad Hua. P. 411


--> Pythagoras Theorem 1500 Baras Pehle Wujud Main Aya Pythagoras Se. P. 427


--> Chaand Ke Chaar Daur Hote Hyn Is Liye Maheene Ko Chaar Hisson Main Taqseem Kar Liye Gaya Aur Her Hisse 7 Din Ka Hua (Hafta). P. 428


--> Qamari Saal 11 Din Chhota Hota Hy Shamsi Saal Se. P. 428


--> Bare Se Bara Danishwar Bhi Asri Hudood Se Tajauz Nahi Kar Sakta. P. 434

____________________________________

Summary & Excerpts by abro

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...