FIKRism

Wednesday, May 5, 2010

SARMAYA - DAS KAPITAL

SARMAYA (urdu Tarjuma)
DAS KAPITAL
By KARL MARX
1867



آن کلیمِ بی تجلّی آن مسیحا بی صلیب
نیست پیغمبر و لیکن در بغل داراد کتاب
اقبال



Aa`n Kaleem-e-betajjalli, aa`n Maseeh-e-besaleeb
Neest paighambar wa-lekan dar baghal darad Kitab

Eng Trans:
He (Marx) was Moses without Illumination, he was Messiah (Jesus) without a cross
He was not a prophet but had the book (Das Kapital) in the pit of his arm.

[words taken from friends blog http://da1lai.spaces.live.com/]

_____________________
سرمایہ
۔۔ مارکس نے سرمایہ دارانہ معیشت کا مطالعہ 1843ء میں شروع کیا تھا۔ یہ سلسلہ 24برس تک جاری رہا۔ اس دوران میں مارکس نے فلسفہ، سیاسیات اور سرمایہ داری نظام پر نکتہ چینی کرتے ہوئے کئی اہم کتابیں لکھیں۔۔
لیکن اس کی زندگی بھر کی کاوش و تحقیق کا حاصل کتاب 'سرمایہ' ہے جس کی خاطر مارکس نے اپنی صحت، مسرت اور گھریلو زندگی ہر چیز قربان کردی۔

[excerpt taken from book 'Marx aur Mashriq' by Sibte Hassan, page. 144-145]

_____________________

Das Kapital ka urdu tarjuma M.M. Johar Meerathi sahb ne kiya hy (publish 2000AD, publisher: Fiction House)

Per ye tarjuma asal kitab Das Kapital ka poora word by word tarjuma nahein bulke Tankhees hy. Khud Meerathi sahb likhte hyn:
"Lekin Jab Main ne Kapital Tarjuma Karne Ka Khayal Se Parha to Mehsoos Hua ke Is Ka Lafzi Tarjuma Itna Mufeed Saabit Nahein Hoga Jitna Is Kitab ke Matalib Usool aur Istadlal ka Apni Ziban Main Bayan Kar Dena. Chunache Main ne In Sifhaat main Karl Marx Ki Bunyadi Iqtidsaadi Usoolon Ko Nihayat Sahl Tariqe per Bayan Karne Ki Koshish Ki Hy. Kapital Ke Shuru Ke 10 12 Bab Falsifiyana Andaz Mian Likhe Hue Hyn Aur In Ka Na Sirf Tariqa Istadlal hi Kuch Pecheedah hy Bulke Tirz-e-Tehreer main Bhi Heagal ka Naqali hy. In Sub Naqais ke Etraaf Khud Marx ne Kiya Hy. ... Kapital ke Shuru Ki Taqriban 200 Sifhaat Pecheedah aur Matalib Ek Martaba ke Parhne main Samjah Main Nahien Aate ... In Mushkilat Ko Saamne Rakhte Hue Main ne Yehi Munasib Samjha ke Lafzi Tarjuma Na Ho Bulke Sahl Andaz main Usool Bayan Kar Diye Jayen." 5-6

Is liye Sarmaya Das Kapital ka Tarjume ke saath Tankhees by hy, aur lafz ba lafz tarjume ke bagair Matalib o Mafhim ko pesh kiya gaya hy.

Kitab ka 1st part ye batata hy ke Mazdoor Ko Ujrat Uski Mazdoori Se Kamtar Di Jaarhi Hy, aur 2nd part ye batata hy ke Machinon Ke Ane Se Mazdoor Faarig Hogaye, Ghurbat Barh Gayi, Jo Reh Gaye Unse Din Raat Kam Liya Gya Aur Ujraten Kamtar Hoti Chali Gayeen.
_____________________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...