FIKRism

Saturday, May 22, 2010

iNQILAB-e-iRAN - iNTRO

iNQILAB-e-iRAN
Sibte-e-Hassan
1979



Intro:
1979 ke iran ke inqilab per likhi gai ek inqilabi kitab. Jis inqilab me ek Dictator (shah) utarta hy to Doosra (khumeni) awam ki sarron per sawar hojata hy! Bus faraq itna hota hy ke ek khulle am Amrica Amrica karta tha aur doosre khulla am Not-Amrica Not-Amrica krta tha per peet-peechhe kam donon ka ek hi raha. Aur awam bichari waheen ki waheen rahin.

About the Book:
Inqilabe Iran ko sahi mani main samajhne ke liye Sibte Hassan Sahb Iran ki tareekh ko 18ven sadi se lekar chalte hyn, yani Qachari Dor se … is liye kitab ke shuroo ke 3 chapters 18ven 19ven sadi ki iran ke badshahat nizam ko dikhati hy, jis main badshah apni dolat main magan hote the aur awam apni ghurbat wali zindagi guzarti thi.

Magar awam ka sahi tor per istehsal Pehelvi Dor main hua jis main awam ki zindagi itni wabal bna di gai k unke pas marne aur ah-o-buqa k siwa koi rasta na bacha. Sarmayadari se mulk ko loota ja raha tha hatta ke mulk k tukre kar ke bechne ke plan banne lage!

Kitab ka Akhri Hissa, Inqilab ke baad Khumeni Sahab ki Hukumat per jhalak hy, jis main Khumeni Sahab mulk ki Aulil-Amr ban bhete, Deeni o Dunyavi dono tarah ki hakim ban bhethe (jo ke ikhtayarat shah ko bhi na the), Khumeni ne apne liye ikhtyarat Shah se bhi zyada makhsoos kar liye. Aur ese ese usool nafiz kiye jis se mulk ka berrah garak hota chala gaya.
Aur logon per Jabr o Zulm o Tashaddud (inqilab ke bad bhi) wesa ee raha. Ikhbarat o risalon per pabandi laga di, media per pabandi laga di, aurton per pabandi laga di, aqleeyat aqwam ke huqooq per pabandi laga di (bulke unko qatal kiya gaya), Amrica se tijart ab bhi rahi, pehle Direct hoti thi, aur ab Indircet Turkey ke raste, Amrica se hathyar ab bhi mangawye jane lage.
Per log jab Roti ke liye cheekhte to unhe kaha jata ye Baaghi hyn, roti ke naam per baghawat karna chahte hyn, inqilab islam ke naam per aya tha ‘saste tarboozon aur saste makanon ke liye nahin’!


باب: ۱: قاچاری دور
باب: ۲: بیداری کی لہر
باب: ۳ : مشروطہ کی تحریک
باب: ۴: پہلوی ریاست کا کردار
باب: ۵: امریکی عمل دخل
باب: ۶: پہلوی ریاست کے استبدادی ادارے
باب: ۷: پہلوی دور کی سیاسی تنظیمیں
باب: ۸: ایران کی شوشلسٹ تحریک
باب: ۹: انقلابی ہلچل
باب: ۱۰: انقلابِ ایران کے محرکات و اسباب
باب: ۱۱۔ ۱۲: ایک قدم آگے دو قدم پیچھے
باب: ۱۳: ایرانی انقلاب کدھر؟
باب: ۱۴: ۱۹۸۰ء کے بعد ایران پر یا گزری
_______________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...