FIKRism

Thursday, November 18, 2010

AFM-14(last)-RAMLOMH_Ryasat-Mazhab

AFM-Jalalpuri

14-Ye Ke Ryasat Aur Mazhab Lazim o Malzoom Hyn

Comments
.
Log Ryasat ki muqable me Mazhab ki pasdari ziyadah karte. Is liye hr wo Ryasati Hukum jo Mazhab k Takkar me ayega usme Ryasat ko mun ki khani paregi.

Is liye hr Sayane Hakim ne apni Ryasat ko Mazhab se jorne ki koshish ki hy take Ryasati Ahkam ko Mazhab k Libade me Jari kiya ja sake aur Mazhabi Ahkam ko Ryasati Hukum se modify kiya ja sake Mazhabi keh kr!

Mazhab k kuch Shara'ee Ahkam hote hyn jin ko apni jaga per nafiz hona chahiye aur rehna chahiye. Un ke elawa Ryasati Ahkam ki apni jaga Pasdari honi chahiye.

Koi b Mazhab ksi khas Ryasati Structure ki tashkeel nahi karta. Aur Ryasat ka koi Mazhab hota nahi!

Mazhab ko apni jaga kam karna chahiye aur Ryasat ko apni jaga. Per dono ko ek dusre k raste main haail nahi hona chahiye warna takkar k surat me natije khatarnak sabit honge. Esi surat me Ryasat ko chahiye k Surrendar kare. (jesa k hm bol chuke. Log Ryasat k muqble me Mazhab ki zyada pasdari krte hyn. Koi b Hindu Musalman Mulk me rehte hue Musalman tor Tarike se shadi nahi karega. Aur na hi koi musalman hindu ravaj k mtbq shadi kr k apni bv ko hilal samjhega. Aur na hi koi musalman Eng muashre me rehte hue soowar k khane ko apne liye hilal samjhega.)

Mazhab o Ryasat ek dusre k liye Lazim o Malzoom Nahien Ho sakte kyon k Mazhab roz roz bnte nahin aur Ryasat k Ahkamat me roz roz tarmimen krni parti hyn!
___________________
(13 July 2010)

AFM-13-IFKGH_KhudGharz

AFM-Jalalpuri

13-Ye Ke Insan Fitratan Khud-Gharz Hy

Comments

Insan Fitratan Khud Garz i hy!
Insan sb se pehle apne bare me i sochta hy! Jb apna kam hojata hy to phr dusron per nazre karam dalta hy!

Eesar Hamdardi Murawat Muhabbat . . . KhudGarzi ki Zid nahien.. Insan khud garz hote hue in attributes ka haamil ho skta hy.

Yaqinan aate me namak k brabar kuch log ese b hote hyn/honge jo apne bjai dusron k liye jeete hyn! PER is bat me 2 pehlu shamil hyn. 1. Ye bat Extreme soorat me b Exceptions me count hogi. (aur srf exceptions ko mad e nazar rakhte hue hm puri asal body ko nazar andaz nahi kr skte
2. Dusri bat k Dusron k Liye Jeena Khud Gharzi ki Nafi Nahien!

KhudGarzi ka taluq yaqinan Amlaak se hy. Lekin Milkiyat k na hone se KhudGarzi ka khatma nahi hota bulke tb shot marne k liye bat bal i nahi bachta!

Khudgarzi ka ye mtlb nahien k insan sirf apne bare me soche aur dusron se kat jaye, alag thalag hojaye. Is dunya k sare insan (tore charind parie darind) ek dusre k sath inter-connected hyn! Koi b insan Isolate hokar zyada der survive nahi kr sakta. Per khudgarzi ka mtlb ye hy k insan pehle apne bare me sochta hy phr dusron k bare me aur dusron k sath rabt b iska apne mafad ki waja se hota hy. Yani Mutuality k taht hr bnda ek dusre se apne mafad k khatir rabt o taluq rakhta hy!

Agr ye kaha jaye Eesar Qurbani b koi chez hy to . . Haqiqat ki nigah se dkha jaye to is k batin me b ek dars hota hy. Js 'inam' ko pane k liye insan qurbani krta hy. (aur jin logon ko inam wale dars pe yaqin nahi hota wo Ehsan k Badle Ehsan k mutamanni hote hyn!)

Insan ki Fitrat o Sirusht me KhudGarzi hy per Gusse ki trah ise b Dabane me Ikhlaqi Afzaliyat hy!
_______________________
(July 2010)

AFM-12-FBFH_Fun-Funkar

AFM - Jalalpuri

12 - Ye Ke Fun Barai Funkar Hy
.
Comments

Is mamle me sb se pehle meri Fikr Aflatooni hy k "Aflatoon ne kaha k Art Insani Fitrat ke Jazbati aur Hejani Pehlo ki Numaindgi krta hy. Is liye Ma'qoolat k muqable me ise chandan Waqee' maqam nahi diya ja sakta."

Baqi raha ye mas'ala ye k aya Fun baraye Fankar hy ya baraye Gair-Fankar! To is mamle me Funkar k kam se kam itna Haq to hy k wo Apne Fan ko Apne Andaz se Pesh Kare!. Warna Fankari kese kehlai gi !

Aj k zamane me Fan to Fan log Ma'qoolat ko b Mauzooiyat k hawale se bayan krne lag gai hyn! Aur iska karan khud Ikhlaqi Qadren Azali o Abadi na manne ki waja se hy!

Mauzooiyat buhut buri hy, is se koi nasb ul ain baqi nahi rehta. Hr fard ka apna mazhab, khuda, sahi, galat, fikr, aqeeda, halal, haram. . . bn jata hy (aur phr muashre ki halat kya hogi, wo ehle fikr andaza laga sakte hyn. Phr agr koi sharab piye ga to use police pakar nahi skti, kyo k Us k nazdik iska peena halal hy!)

Per Fan k mamle me Fankar ko Ijazat di jayegi. Isi liye pehle jumle me i us Maqoolat k muqable me 2nd darje pe rakh gaya hy. Kyo k is me Sahi, Galat, Taqatwar, Zaeef, Karamad, Bekar . . . Sb chezen shamil hongi !
_________________
(July 2010)

AFM-11-AMSKH_Aurat-Mard

AFM-Jalalpuri

11-Ye Ke Aurat Mard Se Kehtar Hy!

My Comments

Bunyadi tor per in 2 asnaf ka apas me comparing karna illogical hy.
[kuch chezon me comparing krna ma'qool hoti hy to kuch chezon me comparing nahie ki ja sakti! 2 mardon ka apas me muakhza kiya ja skta hy, 2 aurton ka apas me comparison kiya ja skta hy. (Even kuch cases main (chahe mushkil ho) ek mard aur ek aurat ko b parkha ja sakta hy) per whole mard zat aur aurat zat ka muaqabla krna k kn afzal. . . Bekar hy!]

Hr bnda/bndi ka apna ek kirdar hy wo agr apna kam bakhobi kr rha/rhi hy to wo Best hy aur jo apna kirdar sahi nahi nibha rha, zimmedariyon ki pasdari nahi kr rha to wohi bekar / kehtar hy (chahe mard ho ya aurat!)

Mard o Aurat main comparison ki ek chhoti si masal ese hy jese Lakri aur Lohe mai se knsa behtar! Is comparity ko goar o khoz me lana fuzool hy. 2 9 apni jaga kam kr rahe. Agr lakri na hoti to buhut sari eejaden napeed rehti jn me se ek besh qemti Kitab (Kaghaz) b hy aur Loha na hota to Hathyar, Pull, Jahaz, Imarten, jsi chezen na khari ho pati.
Is liye hr chez ka apna ek kirdar hy jo k wo nibha rha hy.

[hm pehle wale logon ka tamaskhar urate hyn k wo in behson me uljhe rehte the k aya sui ki nok pe ktne farishte bheth sakte hyn aur hamari ane wali naslen shayad hm per tamskhar urayen gi k hm in behson me uljhe hue the k aya mard behtar ya aurat!]
.
.
Is bunyadi usool k bad agr mujh pe zor diya jaye ksi ek ko behtr / kehtr kehne ko to
ye Pidri Zamana hy aur is me Mard ki baladasti hy aur Aurat iske Matehat hy. (aur ye Matehati Jabri nahien Fitri hy blkul esi i jse Madri Zamane me mard ki haalat thi. Bulke aj ki aurat khud mard ki matehati me reh kr khud ko Secure feel krti hyn.)

Is bat ki judgement k liye hamare pas 2 grounds hyn, Aqli o Naqli.

Aqali etbar se Madri Zamane k bad buhut bara Pidri Zamana chala aa rha hy, jb se Tehziben bni hyn tb se Pidri zamana i hy. Aur ye poori tarekh khud is bat ki gawah hy k Mard Behtar hy.

Naqali etbar se Quran me Khuda farmata hy k "Aur Mardon Ko In Per Fazeelat Hy" Baqarah, 228)
Imam Ali (as) ki ek qaul k mtbaq wo farmate hyn k Khuda ka Shukr hy k Usne Mujhe Mard Peda kiya. (plz correct me if i'm wrong)
Digar Ravayat main :

Rasool S.A.W.W Ne Farmaya Ke
Jo Pani Ki Fazilat Zameen Par Hai Ke
Zameen Pani Ki Waja Se Zinda Hai
Aurtoon Ki Zindgi Mardoo Ke Sabab se Hai
Agar Mard Na Hotay Tu Aurtain Paida Hi Na Ki Jati.

Irshadaat e Masoomeen
Pg 11

Ye sb Aurat ki Kamzori ki taraf dalalat krte!
.
.
Aurat o Mard ki brabari ka ye mtlb nahien k 2 9 se ek jsa kam liya jaye, ye to wohi bat hojayegi k Lohe se Lakri ka Kam liya jaye aur Lakri se Lohe ka!. . . Phr hamare pas Talwaren Lakri ki Hongi aur Kitaben Lohe ki !
.
.
Ye bat bhi gaur o khoz me layi jaye k agr ksi zamane me Madri Nizam tha to wo 'tha'. Wo zamane k irteqa ka chhota sa bachpane wala stage tha. Jo Guzar Chuka. Ab us ko yad kr k Ahen bharna bewakufi hy!
Un Logon per herat hy jo doosron per is liye ungli uthate aur un flasfa per la'n ta'n krte k ye Irteqa ko nahien jante aur wapas janglon aur stone age me jana chahte hyn per inhi logon ko jb apni bat manwani hoti unhi Ehde Qadeem se istadlal krte ! Aur kehte dkho Mazi main b esa esa hota rha hy!
.
.
Yahan per hm 2 12 pichle topic Ikhlaqi Qadren Azli o Abadi hoti hyn per puhunch jayenge.
ye behs wse to bewaqoofana hy.. per kisi ko ager samjhna hy to bus itna samjh le k ek miyan mian 2 talwaren nahin reh sakti, aur ek jungle main 2 sher nahin ho sakte.. (km ya zyada i sahi per ek ko hakim to doosre ko mehkoom banna parega... ye hakim o mehkoom sirf alfaz hyn warna in ki kefiyat laazim o malzoom jesi hy ... likin malzoom ko mazloom banna parta hy taake takkar na ho phadda na ho .. aur system main garbari peda na ho !)
___________________

Tuesday, November 9, 2010

AFM-10-IQAOAH_Qaddaren

AFM-Jalalpuri
.
10-Ye Ke Ikhlaqi Qadren Azli o Abadi Hoti Hyn!
.
Dis-Agreed!
Ikhlaqi Qadren Azli o Abadi Hoti Hyn! Bus zamane k sath unki value pe thori lachak peda ho sakti hy/ ho jati hy.
Agr ksi zamane me ksi bure kam ko Farz i samjh liya jaye tb bhi wo bura i rehta hy! Phr chahe usko poora muashra i kyon na qabool krta ho !

Kainat ki Ikhlaqi Iqdaren Kainat ki Principles ki trah hyn! (kuch principles ko (scientific) bunyadon per sabit kiya ja skta hy (jse gravitation, gases ki compositon)pr kuch ko nahi kiya ja skta!)

Ab rha baqi ye mas'la k aya ikhlaqi qadren mazhabi hoti hyn ya gair mazhabi.
Ikhlaqi Qadron ka taluq Na Mazhab se hy na Ghair Mazhab se, Ikhlaqi Qadron ka taluq Fitrat se hy. (ye doosri bat hy k Mazhab agar Fitri ho to Qadron ko bhi Mazhabi kaha jaye!!!)


Jo Usool insan khud apne ooper bnata hy unhe Ikhlaqi Iqdaren Nahien kaha jayega! Wo bus Do's aur Dont's wala kam krte!
Agr me ksi ko kahon phalan gali (ex street) main mat jana warna nuqsan uthaoge to ye Ikhlaqi Iqdar nahien!

Insan me jiblati tor per kher o shar ki tamiz hoti hy.
Per bachpan me inka surag lagana buhut mushkil aur jawani me zamane k hawadis se bachne buhut mushkil hota hy!
Lekin jb ba-shaoor insanon k pas haq bt puhunchti hy to wo sar taslim khum hojata hy aur man leta hy k ye bat us k baatin me shuru se maujood thi per isne kbhi gaure etna na kiya bulke parde dale rakhe aur sunne se inkar kr diya!

Zameer ki awaz Muashre ka khauf nahien agr esa hota to Main ek bat bhi na bolta kyon k mujhe khauf hy k log mujhe Mutakallim aur Mazhabi keh kar thukra den ge!
Ye wse ajeeb bat hy k agr bat ko bayen janib se byan karo to log qabool kr lete hyn per agr dayen janib se byan karo to Falan parast falan parast keh kar deewar pe mar dete hyn.

Agr sb chezon ko side pe b rakh diya jaye tb bhi Finally Ikhlaqi Iqdar ka ksi Ek Taqat / Meezan k matehat hona zaroori hy!
Warna jo mera kher wo tera shar jo tera shar wo mera kher!
.
.
Excerpts
page. 171 "hm dkh rahe hyn k sanati inqilab ki tarvej k sath . . . "
esa nahi hy! Muashi Ahwal zaror badal rahe hyn per Ikhlaqi Qadren Nahien Badal rahien. Agr Muashrati o Muashi Ahwal k badlao k Ikhlaqi Qadren Badalne ka nam den to phr jo Mazi me hota raha wo b Thek Kehlayga aur jo Zamana Hal me ho rha hy wo b Thek kehlayega!

Galat Galat hota hy chahe Mazi me ho Hal me ya Mustaqbil me!
Sahi Sahi hota hy chahe Mazi me ho Hal me ya Mustaqbil me!

Agr Muashi/Muashrati Ahwal badalne ko Ikhlaqi Qadren bdlne ka nam den aur/ya Ikhlaqi Qadron ko Azali o Abadi na manen to buhut sari chezen me faraq ajayega. Aur buhut bare phadde wali bt hojayegi!
Ek to Mazi me jo jo kuch hota raha us per Sahi o Galat ka Taiyun mushkil hojayega!
Hm nahien jan payenge k Asmat Furoshi, Burdah Furoshi, Jang n Jadaal, Haq Shab e Zafaf, Badshahon aur Prohaton ki ijarah dari . . . In me se kya kya ko Sahi k khaane me rakhen aur kya kya ko Galat k khane me!
Aur yehi soorat hal zamana hal k sath rahegi ! (k zamane k ahwal k badalne sath jo kuch zamana hal me ho rha hy zamane ki qadron me shamil hojayega!). Aur khususan un logon per b ungli nahi uthai ja sakegi jo kehte hyn k Ye To Her Koi Karta Hy.. Aur phr Rushwat, Wiyaj, Zina, Milawat, Loot Khasoot . . . Sub Zamane ki Ikhlaqi Qadron me shamil hojayega!
________________
(July 2010)

AFM-09-IMH_Ishq

AFM-Jalalpuri
.
9-Ye Ke Ishq Marz Hy!
.
Ishq Marz Nahien hy. Per hr Chez ki Afrat o Tafreet Marz  Zaroor hy!
________________
[July 2010]

AFM-08-TMKJH_Tasof

AFM-Jalalpuri
.
08-Ye Ke Tasof Mazhab Ka Juz Hy!
.
Agreed! Ke
Tasaof Mazhab ka Juz Nahien!
"tasaof ek mustaqqil nizam fikr o amal hy jse mazhb ka juz nahien samjha ja sakta."
jalalpuri ki ye bt durust hy, albatta Jalalpuri ki ye bat ke "nazar gor se dkha jaye to mafhom hoga k tasaof mazhab se zyada falsafe se qareen hy." is bat se sehmat nahien.
Falsafa Haqaaiq o Haqiqaton ko ashkar krne ka nam hy!
Jo Falsafa Haqeeqaton k Qareen na ho wo falsafa nahien logon ki man-ghart ghalat sochen aur qiyas araiyon ka nam hy !
_________________
[July 2010]

AFM-07-DMKBHH_Dolat/Musarrat

AFM-Jalalpuri
.
07-Ye Ke Dolat Mussarrt Ka Baais Hoti Hy!
.
My Comments

Yakinan Khususan Aj k Zamane me to Dolat Musarrat Ka Baais zaror hoti hy!
Per Fitri tor per Aksar logon k liye Had se Zyada dolat nuqsandeh hoti hy, bulke unhe abnormal aur bekar bna dti hy.
[Hatmi tor per to bat Imam Ali (as) ki i kahi jayegi "ikhtiyar, taqat, dolat se log bdalti nahi be-niqab hote hyn."]

Musarrat ka inhisar insan ki khwahishat per bhi hy. Jis insan ki khwahishat zyada hongi wo unhe hasil krne k liye sb kuch dao pe lga dega! Aur na milne ki soorat me ranj o mayusi ka shikar hojayega!
Aur jis ki khawhishat kam hongi usko hasil krne me b zyada dikkat na hongi !

Yaqinan dolat se buhut kuch nahi kharida ja skta per Un Ashya ka maroore zamana se muashre/insan ki fitrat me fuqdan paya jata hy.
Ab sirf bejan chezen tv, computer, internet, mobile, car, bike; movies, tv shows, news, e-games . . . hi insan ki khushi o musarrat ka saman hyn. . .
__________________
[July 2010]

AFM-06-WKAPBH_Wajdan

AFM-Jalalpuri

06- Ye Ke Wajdan Ko Aqal Per Bartari Hy.
.
My Comments

Main is mamle me buhut pehle i 'Insan Ilm Kese Hasil Karta Hy' me likh chuka hon. Aur Wajdan ko ilm hasil krne ki sb se utam o ala kefiyat bata chuka hon.
Yani main Wajdan ko Aql per bartari deta hon. Per ye kehne k bad main aql ki value ko khatm nahe krta, Aql apni ap me khud buhut bara hisa gehre hue hy, per wajdan wo chez hy jis ko pane k bad insan hudood par kr jata hy!
Wajdan Aql se bartar zaroor hy per us ke liye Sahi Aql ka hona zaroori hy, jese Aql k liye Ilm chahiye ese Wajdan k liye Aql chahiye.
[ye samajh lejiye Aql Ager Cake hy to uske Ooper Malai Wajdan hy! (aur cake jin ingredients se bana hy wo ilm hy!)(jitna ache ingredients utna laziz cake, aur jitne zyada ingr. utna bara cake... aur usper wajdan ki malai jb lag jaye to phr bus . . . )]
________________
[July 12 2010]

AFM-05-IFNQTH_Fitrat

AFM. Jalalpuri.

5. Ye Ke Insani Fitrat Na-Qabile Taghaiyur Hy!

My Comments:

Sb se pehle to ye janna hoga k aya 'fitrat' se kya murad aur iska muqabila kis se hy? Aya dusri anwa' se hy ya apas me hi ek dusre se hy. Agr dusri anwa' se hy to ye b dkhna hoga aya wo dusri no' ki fitrat apni jaga sakin hy ya mutagaiyar hy!
Phr ye dkhna hy aya k fitrat se kya murad, kya fitrat se murad 'Jiblat' hy? Ya 'Soch'?
Agr Jiblat hy to phr Insan ki Fitrat Gair-Mutagaiyar hy. Sabhi Insan (bulke subhi janwar apni no' me) jabri tor per jiblat me majboor hyn. (sher ka bacha ghas nahi kha sakte aur bakri ka bacha gosht nahi khayega.)


Aur ye ikhtyarat insan me Aqal ki waja se peda hote hyn.
Aqal ki ek Siffat Creativeness hy. Insan ka dimag apne se pehle logon ki talimat ko leke aage barhta hy aur us me apni ikhtara' o ijad o modification kr k aage barhta hy. (ye 'fitrat ka taghayur' wse janwaron/parindo me b paya jata hy. Zamane k bdalne k sath Aj k Parinde b ATM se pese nikalna, electronic door ko ek dosre ki help se kholne, newspaper se ghonsle banane, waghera waghera . . . Sekh liya hy!)
[… is hisab se b insan janvaron se maavura na thehra, bus apni dimag k hsab se zyada pecheeda kam kr leta hy!]


Ye chez Fitrat ka Tagaiyur nahi kehlaigi, Zaman Irteqai Manazil te kr rha hy, agr Insani Dimagi Talimati o Tarbiyat se Changing aa rahi hyn to ye Muasharati tabdiliyan hyn Dimagi Irteqa (talim/shaoor) ki waja se!
FITRI tor per Insan aj bhi wohi hy jo Pathar k Zamane me tha.

Insan ka Qadr o Ikhtiyar b wsa nahien jesa k ye alfaz apne ap me mani o mafhom rakhte hyn. Insan ka ikhtiyar actualy 'Choice' hy. Insan ko ikhtiyar itna hi hy k ek time me chand choices me se ksi ko choose kre, (ya ek ko dusre per fauqiyat de.)

Aur ye b Haqiqat hy ke Sometimes Baz Choices esi hoti hyn jin ko 'the insan' ksi halat me wohi choose krne wala hota hy bhale us k samne dusri choices b hon!
Jese Suqrat ko Moqa tha farariyat ka per us ne kaha 'mai athenes walon ko btana chahta hon k insan apne usoolo ko apni jan se bhi zyada aziz rakhta sakta hy.'
es mamle me insan tecnicaly ba-ikhtiyar hone k bawajood b esi soorathal hoti hy jese wo (apne kuch khas fesle lene me) majboor ho.

[is se ye b pata chalta hy k insan apni kirdarkashi kr kr apropriate fesle lene me majboor apne ap ko kr sakta hy.]
__________________
Bottom Line:

Insan Fitri Tor Per Insan Hote Hue Sher Ki Fitrat Nahien Dhaar Sakta..
Insan Hote Hue Chahe Jesa Bhi Ho Achha ya Bura Insan ee Kehlaiga!
__________________
[written on July 12 2010]

AFM-04-FJBH_Falsafa

AFM.Jalalpuri.

4- Ye Ke Falsafa Jan Balb Hy!
.
Excerpt
Page. 60-61
last para. . .
“science aur falsafe ke aghaz o irtiqa ki is mukhtasir jaize se ye baat wazeh hogai hogi ki science aur falsafa shuroo se dosh badosh taraqqi ki manazil te karte rahe hyn. Falasfa ne science ke inkeshafat ki tarjumani ki hy aur science ne falasfa ko fikr ki naye zaviye ata kiye hyn. Ye kehna ke falsafa jan balb hy ye kehne ke mutaradif hy ke science jan balb hy. Jab tak science ki tehqiq ka silsila jari hy us waqt tak falasfa ke inkeshafat ki tarjumani kar ke naye naye nasbul-ainon aur qadron ka taiyun karte rahen ge. … haasil kalam ye ke science aur falsafte ka shuroo se choli daman ka sath raha hy. Jab tak science zinda hy falsafa bhi zinda rahe ga aur donon ek dusre ki taqveet ka baais hote rahen ge.”

My Comments:

Falsafa Fikr ka Nam Hy, aur Fikr jb Tajurbe se Guzarti hy to Science bn Jati Hy.
Aur ye Safar yehin Khatm nahi hota, Tajrbe se Nai Fikr Janam leti hy jo dobara Nai Tajurbon se guzarti hy . . . Aur ye silsila chalta rehta hy !

Bunyadi tor per is bat me koi tazad nahi. Aur is hisab se Falsafa i Science hy Science i Falsafa hy!

Per chota sa tazad peda hota hy jb Science ka mafhom sirf Maadi Ashya tk Mehdood kr diya jaye . . .

[Fikr aur Tajurbe (yani Falsafa aur Science) me ye bt darpesh ati hy k jb Fikr pe kiye gaye Tajurbe Madi hote hyn to unko logon k Samne pesh kiya ja skta hy, aur us per ungli uthane ki b zarorat pesh nahe ati kyon k wo hamari ankhon k samne hote hyn ham use dkh sakte hyn. PER jo Fikr pe kiye gai Tajurbe Mahz Aqli Hote hyn, usko logon k samne ek She ki soorat me pesh nahe kiya ja skta. Ye mahz Hikmat hoti hy!

Esi bat samjhane k liye sirf Misalen di ja sakti hyn (agr maujood hon!) aur Misalen Khud galat ho skti hyn(jb k mumkin hyn sirf misalen i ghalat hon jab k Asal Fikr nahin). Esi Soorat me yaqin krne k liye 3 raste i bchte hyn, ya to bnda khud us Aqli Mayar tk puhunch jaye, aur us pahaar ki choti per khara ho kr khud jaiza le k akhir bt ks had tk durust hy (phr chahe tasdiq kare ya tardeed), 2nd ye k kehene wali k bt seedhi seedhi man le (yane taqleed, phr chahe waalid ki ho, ustad ki ho ya mutbar o muhtaram ki...), ya ye k kuch ahle fikr k liye chhor de k wo jaiza len aur kuch cmnts pas karain js k nataij ko dkh kr ye ks natije pe puhunche!

(aur shayad yahin se Misaliyat aur Madiyat k Schools khule, jinhon ne Ashya k Tajurbat se Sabaq sekha wo Madiyat pasand thehre aur jinho ne Aqali Tajrbon se Sabaq Sekha wo Misaliyat pasand thehre.)
___________________
[written on July 12 2010]

AFM-03-MKAZT_Mazi

AFM-Jalalpuri.

3. Ye Ke Mazi Kesa Achha Zamana Tha!
.
My Comments:
.
ye soch insan k dimag me Nafsiyati tor per is liye / ese / is waja se peda hoti hy ke Insan ka Mazi to guzar chuka, ab wo wapas ane wala nahi, to us ki khush wa talkh yadon ko yad kr ke insan sirf mehzooz i hota hy. (halanke Mazi Haal se chahe kitne i Talkh kyon na hon!).
.
Baqi rha masla Zamane ke Utar Charhao ka, to ye Zamane aur Waqt k Irtiqa se mansoob hy, aur ye irtiqa ksi ek fard se nahi bulke mazi hal mustakbil k sbhi arbon logon, plus me hewanat, nibatat o jamadat, sath sath maholiyat (atmosphere) aur Sitaron Ki Gardish se b wabasta hy [sitaron ki gardish se mere mafhon astrological nahin Astronomical hy, jese ek asteroid zamin pe girne se dinosaurs jesi makhloq tak ka khatma hogya jo croron salon se basi hui thi, aur is tarah dusre aqsam k janwaron ko pinapne ka moqa mila; yaqinan ager hm ice age me rehte to hamari rehn sehn, tehzib o saqafat, international relations, aur Syasat esi na hoti, ice age ab kyo nahin, pehle kyon tha, yaqinan ye ksi fard ka kam nahin! Mtlb Waqt ki Irtiqa me sbhi Anasir ka Hath Hota hy!]

Aj Ka Zamana Esa Kyon Hy Kal Ka Zamana Wesa Kyon tha? Iska Jwb to Waqt ki Irtiqa main Shamil hy.

Maze ki bat jo buzurg hazrat Hal ko bura aur Mazi ko Achha kehte hyn unhe ye b janna chahiye k Hal ko is Maqam tk Puhunchane me khud unka b Hath Hy !!
.
Imame Ali (as) ka qaul hy: "Apne Zamane Ke Adab Zabardasti Apne Bachoon Ko Na Sikhao ke Wo Tmhare Zamane Ke Bajai Ksi Aur Zamane ke Liye Khalq Kiye Gaye Hyn."
.
Ooper wale mukaale se ye qiyas nahin Karna chahiye k Insan (Afaal me) Majboor hy. Jabr o Ikhtyar per hm AFM_2 me (thori buhut) behs kr chuke hyn...
____________________
[written on April 13 2010]

AFM-02-BRRKNAH_Azad/Majboor

AFM-Jalalpuri.

2. Ye Ke Be Rahravi Ka Nam Azadi Hy
[Insan Majboor Hy Ya Mukhtar]
.
My Comments:

Insan ko majboor to ksi b halat me keh i nahi sakte, warna systen me malfunction ajayega. [Me ksi ko thapar maron, aur mujh per koi ilzam nahi, kyon k main majboor hon, jawabi karwai me main thapar khaon, us per koi ilzam nahi wo majboor hy. Koi ksi ka qatl karde, koi ksi ka rape kar de, koi ksi ka maal harap kar jaye, koi ksi ko thug jaye, naptol me kami, bemani, zulm, fasad, . . . Sb OK hy kion k sub Majboor hyn !!! Insan k majboor hone se dunya k sare Qanun wanun bekar hojayen!]

To kya insan Mukhtar Mahz hy!?
Insan apne afa'aal me Mukhtar Zaroor hy.
Per iske Ikhtyarat overall buhut mehdood hyn... Insan ko ye ikhtiyar nahi k wo apni aql apni marzi se jitni chahe barha sake, ye ikhtiyar nahi k apni rang, nasl, tehzib, saqafat ko badal sake, ye ikhtiyar nahi k apne beemariyon se kulli diffa kar sake, ye ikhtiyar nahi k apni khushi, musarrat, aram ko barha sake/ peda kar sake . . . Is persepective se insan apne ap ko hr jhaat se majboor dekhta hy!

Insan Majboor Mukhtar hy !

Insan mehdood limit me rehte hue mukhtar hy. Ager hr chez insan k ikhtiyar me ho to insan insan i na rahe.. (Khuda bn jaye!)
Insan k Ikhtiyar me sirf itna i hy jitna wo ABHI kar sakta hy!
.
AZADI kya cheez hy !?
Azadi ka concept basically Psychological hy, same kefiyaat me mukhtalif log, aur mukhtalif kefiyaat main same logon ka point of view mukhtalif/same ho sakta hy. Ek qedi bnd kamre me apne ap ko qad/qedi samajhta hy, jb k jo azad log bnd kamron me profesionaly kam krte hyn wo apne ap ko qedi nahi samajhte, ek admi khuli faza main, apne mahol, ghar, shehr waghera me qedi samajh sakta hy jb k ek qedi khuli faza me reh kar shayad apne ap ko azad samjhe !

Baqi ager Azadi ka mtlb sb ehkamat, usolon, qawanin se mawura hona hy to (ye kefiyat wohi majboor mahaz wali hy; jis me insan her chez krta tha aur iska reason jabriyat pe lagata tha. Ab bus reasoning badal gai aur Azadi hogai.) sb se pehle insan ko samajhna chahiye k wo kulli azad ho i nahi sakta, (jismani biological jabriyat k elawa) kam az kam apne dimag ka qedi zaroor hota hy, phr ye dimag hr ksi ko raahe haq ka rasta nahi dikhata. Is liye her ksi ko un ke apne apne dimag k bal bote pe nahi chhora ja sakta! (warna koi insan sardiyon main ksi soye hue insan ko utha k nadi me pehnk ayega, aur ager poocha jaye kyon? To wo bolega bs mera dil (dimag) keh raha tha! Aur is per koi pakkar dhakkar b na honi chahiye kyon k insan Azad hy!) phr hm waheen puhunch jayenge k koi kuch b kare (Azadi k nam per) aur koi poochh ghachh nahin !
[is liye koi insane Azad nahien reh sakta aur use Azad chhora bhi nahi ja sakta, uski sahi Azadi is Dunya main reh kar Qawanin ki hudood main reh kar ee hy!]
.
Insan sb se Best tbhi hy jb Sahi Qawanin k matehat (muqallid o muqeed) ho!
Per sb se bara sawal, ye qawanin banayega kon ? Un qawanin k sahi o galat hone per kon Certify kare ga. (ek amal ek logon k liye izzat afzai o musarrat wala to same amal dusron k liye tehqir o tazlil ka baais) to kon sahi kon galat? Is ka mayar kon muaiyyan karega. Aur jo muaiyyan karega us per dobara same ungli uthegi (wo kon hota hy muaiyyan karne wala) . . .

Is ke liye koi esi Taqat ho jo insanon se Balatar ho aur Sahi o Galat ki tameez Azal se rakhti ho, tb log uske Ehkamon ki pervi karain wo b Jabran ya Majbooran nahin bulke khushi aur raza se . . . Aur ye baat kehte hue hm Mazhab tk puhunch jayenge . . .

[bgair mazhab ke koi ek qanoon nahi, koi ek falsafa nahin, koi ek leader nahi, koi follower nahi, hazar raste, hazar leader, hazar qanoon, .. aur phir ahista ahista ye baat barhte barhte fard tak aa puhunchegi, phir ek fard, khud ee leader, khud ee follower, khud hi ee qanoon. … matlab koi Qanoon nahi Bus Azadi ke naam per Afra Tafree …]
___________________
[written on April 02 2010]

Monday, November 8, 2010

AFM-01-TAAKDH-Tareekh

AFM-Jalalpuri.
.
1. Ye Ke Tareekh Apne Ap Ko Dohrati hy!
.
My Comments and Critics:
.
Ye baat durust hy ke Tareekh Apne Ap ko NAHIEN Dhurati.

Zamana Khate Mustaqim per chal raha hy, jis ki ek ibtida thi jis ki ek inteha hy. [ye baat Islam ke Hisab se bhi hy aur Aaj ke Science ke Hisaab se bhi, ke Kainat tezi se phel rahi hy aur ek din ye Big Crunch se ya dheemi dheemi hokar, ya kisi aur waja se Khatam hojayegi]

Zamane me ek jesi cheezen hoti rehti hyn, unko dekh kr ye kehna k tarikh apne ap ko dhurati hy, bewaqufi hy.

Tarikh apne ap ko nahi dhurati bulke wo Hum hyn jo mukhtalif afa'al me jan bojh kr mamasilat peda kr kr unhe Dhurane ka nam dete hyn!


Han insan peda hote hyn, insan marte hyn aur dusre insan janam lete hyn, qaumen peda hoti hyn, qaumen mar jati hyn, aur unhi ki sar zamin per hi dusri qaumen janam leti hyn! Agr is chez ko 'Circle me Ghoomna' kaha jaye to phr hamen Aflatoon ki us theory ko pakarna parega k Hum Daire me to Ghoom Rahe Hyn per ye Daira Seerhi ki tarah Chakr lagata hua Ooper ki janib barh raha hy aur Hm Chakr laga laga kr Irtiqa k Marahal se guzr rahe hyn.


Aksar Filasfa k Falsafe Qiyas per mushtamil hyn. Ksi ne 'Life' ko ek Cycle me chalta hua dkh kr ye Qiyas kr liya k Zaman o Makan bhi Cycle me gardish krte hyn. Zindagi ki Gardish ka Attalaq Gair Zindagi per kiya aur ye nateeja akhaz kiya k Tareekh Apne Ap Ko Dohrati Hy!
.
Ek Jese Waqeat Ko 2 Bar Hone ka mtlb Tareekh ka Dohrana Nahien!!!
۔

Ek din Kainat khatam hojayegi aur phir uske baad kya Kuch Na Bachega Ya Koi aur Kainat Bane gee!? Ye bat kehna hamare liye to na-mumkin hy k is Khaatme k bad kya ek Nayi Kainat wujood me ayegi! Ya ye waqai me Ultimate Khaatma hoga. Ager nayi Kainat bani b to us k liye Naya Matter lana parega! Ek naya Big Bang! Ek Nayi Chingari jalani paregi . . . Aur yakinan us Chingari ko jalane k liye KISI TAQAT ka hona Lazmi hy. Chingaar LAGANE WALA bhi hona chahiye Warna hum apne Kainat k usoolon ko made nazar rakhte hue jante hyn k Koi Chez ‘adam se wujood me nahi ati (Adam se wjood main ati hy!), aur Her Sabab ka ek Musabbab hota hy!
[wse Nayee Kainat ke mutliq hamare pas ek Zabardast Hadees aa chuki jise yahan naqal kiya ja raha hy:

میرے والد رضی اللھ عنہ نے ہم سے روایت بیان کی، کہا: سعد ابن عبداللھ نے ہم سے روایت بیان کی، کہا: محمد ابن عیسیٰ نے حسن ابن محبوب کے ذریعہ ہم سے روایت بیان کی، اس نے عَمرو ابن شمرسے، اس نے جابرابن یزید سے نقل کیا کہ میں نے امام باقر(ع) سے اللھ عزوجل کے اس قول افعیینا بالخلق الأول بل ہم فی لبس من خلق جدید۔ کیا ہم پہلی مرتبہ کے پیدا کرنے سے تھک گئے ہیں؟ یہ اور بات ہے کہ وہ پہلی ہی مرتبہ کی پیدائش کے بارے میں شک میں ہیں۔ (سورۃ ق ۔ آیت ۱۵) کے متعلق سوال کیا تو آپ نے فرمایا: اے جابر، اس کی تاویل یہ ہے کہ جب اللھ عزوجل اس خلقت اور اس عالَم کو فنا کردے گا اور جنتی لوگوں کو جنت میں اور جہتمیوں کو جہنم میں سکونت فراہم کردے گا تو اللھ عزوجل اس کے علاوہ کسی دوسرے عالَم کو نئے سرے سے بنائے گا (ایک نسخہ میں ہے ایجاد کرے گا) اور بغیر کسی نَر اور مادَہ کے ایک مخلوق کو نئے سرے سے بنائے گا جو اس کی عبادت کرے گی اور اس کی وحدانیت کو بیان کرے گی۔ نیز وہ اس مخلوق کے لئے اس زمین سے ہٹ کر ایک دوسری زمین خلق کرے گا جو اُن کا بار اُٹھائے گی اور اس آسمان کے علاوہ کوئی دوسرا آسمان خلق کرے گا جو ان پر سایہ فگن ہوگا۔
شاید تم یہ سمجھتے ہو کہ اللّٰھ عزوجل نے صرف اسی ایک جہاں کو خلق کیا ہے اور تم یہ (بھی) سمجھتے ہو کہ اللھ عزوجل نے تم لوگوں کع علاوہ دوسرے کوئی بندے پیدا نہیں کیے۔
ہاں، بخدا اللھ تبارک و تعالٰی نے دس لاکھ جہاں خلق کیے اور دس لاکھ آدم (بھی) کہ تم ان میں کے آخری جہاں میں اور آخری آدمیوں میں سے ہو۔
خصال۔ شیخ صدوق۔ باب۔۲۳۔ حدیث۔ ۲۰

[this matter was originally written on July 23 2010]
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...