FIKRism

Thursday, July 22, 2010

Insan Ke Mudarrikat

Insan ke Mudarrikat.
انسان کے مدرکّات

Insan Ki Idraak/Samajh ki Kul Kon Kon si Sources/Inputs hyn?
.

Insan ke Idraak (ya wo zaraai jin se insan seekhta hy, hasil karta hy, samajhta hy..) k kul 4 zariye hyn.

1. Jiblat 2. Has 3. Dusron se 4. Ishraq


1. Jiblatain:
Ye wo chez hy jo sbhi Jandaron me hoti hy, jis me sbhi jandaron me ek Automatic system k teht pata hota hy k mujhe zindagi ki survive k liye kya kya krna hy aur zindagi ki mukhtalif stages pe kya kya krna hy. Ye ek heran kun bt hy k sbhi jandaron ki pedaish k sath unhe apni zindagi ki bunyadi zaroorton bulke bunyadi malumat de di jati hy. Ksi sher ko ye sikhana ya btana nahi parta k tmhe gosht khana hy ya ghas, aur na kisi bakri ko ye kisi school main parhaya jata hy k sher bheriya se tujhe door bhaagna hy. Bulke hr zi hayat ko yahan tk malum hota hy k mujhe ankhon se dkhna hy aur peron se chalna hy.
Jiblat wala Ilm buhut Mehdood hota hy ye zyada kuch nahi sikhata per Zindagi ki Survive tk k bunyadi maloomat faraham karta hy. Wo maloomat jise seekhna sikhani ki zaroorat nahi per her zi-shaoor fitri aadhar per janta hy.
.

2. Hawaas:
Hawas ki Poori Samajh TRIANGULAR hy.
Hawas - Tajurbat – Aqal

Hawaas hamare Input Devices hyn, jo mukhtalif data/information ko gain karte hyn aur us ke Idraak ke liye Dimag tak baat puchunchate hyn. Dimag apne aadhar pe us per process kata hy aur koi Nateeja akhaz karta hy. Zaahir si baat hy mukhtalif cheezon/kaam ki tajurbat/repetition hoti rehti hy jis ki waja se Dimag naye nataaij per puchunchta hy (ya to apni pehli se banai hypothesis main pukhta hojata hy ya phr hypothesis ee badal dalta hy).
To mukhtalif tajurbat intentionaly or un-intentionaly hote rehte hyn, yaqinan Hawaas ee se hame Maadi Dunya ki samajh milti hy, aur Aqal finally koi Nateeja akhaz karti hy.



3. Taleem (Outsource)
Dusron ko Taleem Dena! Ksi aur se samjhna. (chahe ziban se ya fa'l se, ya insan khud ksi dusre ko dekh kr seekhe / samjhe)
Jab koi tajurba ksi se khud na hua ho per koi samjhaye ke esa karne se esa hota hy ya kisi ko koi kaam karte dekha jaye aur use dekh kar jan lena ke esa karne se esa hota hy.
ye Kefiyat b Hawaas k Bgair mumkin nahi. Per is ko alag kiya gaya kyo k pichhli kefiyat ko insan sirf apni zat tk mehdood rakhta hy. Per is main ye doosron se seekhta hy. (phr chahe Qabeel kr trah Kawwe se i seekhna kyo na ho!), ya phr Nabi ho jo ooper se ilm lekar aye, ya apne Aslaaf se seekhna.


{Hawaas aur Outsource main Differentiation ki ek practical misaal ye hy: misal k tor per main pathar k zamane ka insan hon, ek bar ye hua ke main ek darakht pe kuch phal torne ke liye charha per balance out hogya aur gir para aur mujhe chot lagi/dard hua. Maine is tajurbe se ye akhaz kiya ke Is Darakht se Girne se Chot lagti hy. Phr ye hua ke kuch arse baad main kisi aur darakht se gira aur chot lagi. Maine ye samjha ke is darakht se bhi girne se chot lagti hy. Phir ek baar ek aur teesre darakht se gira! Bingo! Mere dimag ki batti jali aur in mukhtalif tarjurbat se is nateeje per puchunca ke in in darakhon se nahin Bulke Kisi bhi Darakht se Gira jaye ga to Chot lage gee! … kuch arse baad main ek Tele (pahaari) se paon phisal gaya aur neeche aa gira. Main soch main par gaya. Agle din hi apne jhoopri ki chhat ko theek karne ke liya charha to chhat ke tinke kamzoor hochuke the aur main neeche aa gira! … phir jaake meri aqal is nateeje pe puchunhi ki Darakht, Tele, Pahaari, Diwar, Ghar ki Chhat chahe kuch bhi ho actually Oonchai se Girne se Chot lagti hy!. Ye experience apni zindagi ke ek bare dor se guzar kar mukhtalif tajurbat se maine seekhe.. [ye sub kuch No.2 Hawaas ke zummre main ata hy.] phir jab mere bache thore bare hue to main ek jumle main ye saara apne tajurbat ka hasil shuda ilm ek jumle main unhe samjha diya k Beta ager Oonchai se Giro ge to Chot lag sakti hy. So be Careful!. Aur mere bachon ne ye Hakayat ek jhatke main seekh lee. [aur ye No.3 Outsource / Taleem hy!] Mere bachon ne meri baat ko samajh liya aur yaqeen kar liya kyon ke wo jante hyn k unka baap unhe koi ghalat khabar nahi dega!}
(wse nishandahi karane ki zaroorat nahin per aqalmand bande khud jan sakte hyn ke yehi wo kefiyat hy jab ek Nabi logon ko Khabren deta hy aur unhe Taleem karta hy!)



4. Intuition
is chez se hasil hone wale ilm ka taluq Has se Nahien aur Na hi Talimat se.
is chez se hasil shuda ilm ka taluq ilm-e-arfa se hy.
Ye ilm ksi ko Sikhaya nahien ja sakta aur jin ko thora buhut hasil hojata hy aur wo jb dusron ko sikhate hyn to unhi logon ko samajh me ata hy jo k khud is chez ka thora buhut zoq rakhte hyn. Is chez ko Hikmat bhi kaha ja sakta hy, wohi hikmat jis k mutaliq Khuda Quran me kehta hy “Wo hy jis ko chahta hy Hikmat ata karta hy aur jis ko (Khuda ki taraf se) Hikmat ata ki gai to us main shak ee nahin ke use khoobiyon ki bari dolat hath lagi, aur aqalmandon ke siwa koi nasihat manta hi nahin” 2 Baqarah ayat 269, “aur jin ko Ilm ata hua hy Khuda un ke darje buland karega aur Khuda tumhare sub kamon se baakhabar hy” 58 Mujadilah, ayat 11.
Wohi Hikmat jis k mutaliq Imam Ali (as) farmate hyn Hikmat Momin ki gumshada chez hy wo agr Kafir se b mil jaye to wo use leleta hy.

Ye bt b yad rakhni chahiye k her insan me mukhtalif Abilites kam ya zyadah hoti hyn. Aur her abilty ko barhane aur roshan krne k liye Mehnat darkar hoti hy. Agr her insan apni Khas abilites ko pehchane aur unko Nikharne k liye Mehnat kare (mehnat me Mahol aur Ustad bra ehm kirdar ada krte hyn.) to wo un me Champion bn sakta hy.
Yehi kefiyat Hikmat k mamle me b hy, agr ksi me Intuition ka mada zyada hy to use is ability ko infancy se baaligh aur buzurg bnane k liye ise khoraq deni paregi aur Hikmat ki khoraq hy ILM.
.
.
.
Shirah - شرح

Pehli Kefiyat Built In hy, per buhut Mehdood, isme insan apni zaroriyat zindagi tk ka hi ilm rakhta hy (yane jese khana pina sona sex krna...)

Dusri Kefiyat insan ko buhut kuch sikhati hy per Madi Dunya k baare main. Ye kefiyat apne ap main kafi wasee' zaroor hy per sirf maadi dunya ki had tak ('out of box' ki khabar nahi deti), kyon k insan k hawaas buhut mehdood hyn aur us main b ye cheezon ko samajhne main galti karte hyn. Is kefiyat main b Fauqiyat Aqal ko hy. Aqal kam karegi tbhi insan sahi nateeje per puhuchega warna ek chez ka 100 br i mushahida kyo na kiya jaye . . . wesa k wese i !

3sri kefiyat insan ko buhut kuch sikhati hy per Sahi Galat Khalat Malat sb . . . In cheezon ko Chhantna insan k liye alag kam bn jata hy, aya wo chhant-ta b hy ya nahi . . .

2sri aur 3sri mai bunyadi faraq ye b hy k 2sri kefiyat main insan k tajurbat pehle hote hyn aur phr Nateeje akhaz hote hyn, jb k 3sri kefiyat mai Nateeja pehle bta diya jata hy. Phr kuch log Tajurbat kr k us k Asbat ya Nafi per puhuchte hyn (aur 3sri kefiyat dobara repeat hoti hy) aur kuch source per itna bharosa karte hyn k tajurbat karne ko Zaroori nahi samajhte (kyo k unhe 100% yaqeen hota hy.). Baz auqat bt itni ganbheer hoti hy k her ksi ko use sabit krne ki Salahiyat nahi hoti ya use sabit krne k liye poori zindagi darkar hoti hy jo k dobara her ksi k liye namumkin hy. (ager Einstein kehta hy Gravitaton Space mai Bodies ki Curve ki waja se peda hoti hy, to ye bt bgiar choon o chura Maanni parti hy, ab her koi ye bt sabit krne k liye Einstein ya us se bara Physists to Nahi bn sakta!)

4thi Kefiyat apne ap main Unique hy! Is se insan jo Seekhta hy Use sahi maane main kbhi Sikhaya Nahi ja sakta. (ye hidden abilities hyn) Is se insan Hikmaton ko janta hy, Mushabihaton ko Pehchanta hy aur Naye Nataij per puhuchta hy. Phr in Nataij ko 3sre Kefiyat k badolat wo Doosron mai muntaqil kar sakta hy Per doosre iski bat ko kese man le, isko Sabit karne k liye koi Mezan Nahi hota. Per khud (wo) Intuititon. [Matlb Samajhne walon k liye ishara kafi hota hy aur nasamajh per Puri Zindagi sarf kardo, wo samajhne wale nahi!]
______________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...