FIKRism

Monday, April 5, 2010

Kainat aur Insan - Analysis

Kainat aur Insan
A.A. Jalalpuri

___________
Overview:


Ye Kitab Insan Ki Soch/Fikr ki Irtiqa per hy, k Kese Akhir Insan ne 'Wehshi' se 'Muhazzab' ka Safar Te Kiya!

.
Analysis: by abro
.
1. ROOHON KA MAT
Qadeem Insan, jb Zindagi aur Maut me ek br tafreeq krne lag gaya, jb usne jana Hum jb jeete hyn to naak se musalsal sans lete rehte hyn aur mar jate hyn to ye sans ka tasalsul khatm hojata hy, to isne Zindagi ko is sans/hawa se mansoob krliya. (jis ko arbi me Rooh kehte.). Halanke us daur ka insan maut ko blkul KHATMA nahi samajhta tha, bus ek medium se dusre medium me jana samajhta tha.
Inhen Roohon ki Munasbat se Nek aur Shar ka tasawur b peda hogya, yane Nek ya Bad Roohen,
Bad Roohon me: Shetan, Jin, Bhoot, Pret, Daain, Dev, Pari waghera k tasawur ne janam liya. Mukhtalif aqwam me mukhtalif bd roohen mashoor hyn jese Arab o Iran me: Dev, Ifriyat, Gaul, Aal, Palees, Bacha Khaur jesi bdroohon ka zikr milta hy.
Isi Rooh ki munasbat se Qadeem Insan ne Her Cheez ko Zi Rooh samjha, chahe jandar ho ya bejan (Animism, Animatism).
Aur MANA (QUDRAT) ka tasawur pesh kiya gaya. Jis ko Khas Insanon k elawa Sooraj, Chaand, Janwar, Parinde, Darakht, Pode, Phal, Phool, Pahaar, Chatan, Nadi, Darya, Pathar, Dhaat, Rung ... Sb me Tilsmati Asar se Mansoob kar liya gaya.
.


.
Ch. 2
JADU

Insan ki Fitrat o Soch hamesha cheezon k Sabab aur Kainat k Asrar o Ramooz janne k darpe rehti hy. Uske liye Insan ne jo Qyas Araiyan ki aur jo Tajurbat kiye wo Jadu kehlai.
Beemaron ko Shifa dena ho ya Asman k Ajsam ki Gardish, Jari Bootiyon se Dwayen banana ho ya chemical compounds.. Sb shuru me Jadu k zumre main ate the.
"Jadu se hi Tib, Mahiyat, Kemiyagiri aur Amali Science nikli hyn. 58"
Shuru main jadu Good or Bad nahi hota tha per bd me ise in do hison me taqsim kr diya gaya.
Jadu ki Eejad Mazhab se pehle hy, Mazhab k ane k bd "Parhe Likhe Ahle Mazhab ne Dua aur Qurbani ko apna liya aur Jadu Waham Parast aur Jahil Tabqe k sath Makhsoos hogaya. 61"
"Europe ki Tareek Sadyon main Jadu Shaitan ki Pooja se wabasta hogaya. 50"
aur "Hamare Zamane main Jadu sirf Karishma Sazi aur Shubdah Bazi tk Mehdood hy. 72"

.


.
Ch. 3
DEVMALA

"Devmala Insan ki un Koshishon ki Sarguzasht hy jo isne Qadeem Zamane main Kainat se Taluq peda krne ke liye ki theen." Levis Sispins

DEVMALAI QISSE:
.
SUMERIAN
BABYLONIAN (Saibiyan)
Ashoriyan (Saibiyan)
Bani Israel
Kana'an (Lebonan)
MISR (Egypt)
YUNAN
IRAN
HINDUSTAN
Norway
Swedan
MAXICO
CHINA
Japan
.
Devmalai Qisson ka Taluq TAKHAIYUL se hy, insan jb Waqt ki Irtiqa me us maqam per puhucha jb Kainat ke mutaliq soch bichar krne laga to Mukhtalif Cheezon k Mutaliq Mukhtalif Kahaniyan Ghar Dali. Un kahaniyon main se kuch to yaqenan bewaqoofana hyn jese "(Suraj Devta) Her Sham Ko Dharti Mata Ki Kokh main Gaaib hojata hy aur Subh dam dobara Janam Leta hy. 106", "Dunya Sheesh Naag hi ke Sar per Qaim hy jo ek Kecchuve per Khara hy. Jab Kacchuva Harkat Karta hy to Zilzila ajata hy. 121"...
Per 2 Baten Gaur Talab hyn, ek to wo Qisse apna ap main Shahkar hyn, jin ki tamseelen aj k zamane main banana b itna asan kam nahi, phr hr jaga sb devmalai qisse ek dusre se (kam o besh) milte julte hyn!! Ye cheez ghaur talab hy, k aya waqaii Devmalai qisse sirf logon ki man ghart kahaniayn thin, ya in ke peeche ko Qoowat karfarma thi !!!
.


.
Ch. 4
MAZHAB
Mazhab ki ibtida kese hui, is ke bare main aqali tor per kuch kehna buhut mushkil hy, aya logon ne khud se ghar liya, ya kisi afaqi taqat ka is main haath hy !
Sbhi mazhabon ko 2 hisson main banta gaya hy, ek Aryai Mazhab, dusra Asmani Mazhab. Aryai Mazahib k bare main ye kaha ja sakta hy k ye Logon Ki Ejad hy. Inhon ne Apni Zarooriyat ko Apna Khuda bana diya! Jese Aryaon ke bare main hy ke Arya shuru main Mazahire Qudrat ki pooja kiya karte the (jab tak wo khana badoosh the), lekin jab wo ek jaga tik kar rehna seekhe to unhon ne her cheez ka Devta bana dala, jese Aag ka deva (Agni Devta), bearish ka devta, faslon ka devta … … …
Per Asmnai Mazahib zyada pecheedah zyada baleegh hyn.
Asmani Mazahib main Saaibiyat, Majoosiyat, Yahoodiyat, Eesaiyat, aur Islam aajate hyn.
In sabhi mazaahib ka Manshoor, Ibaadat, Rasoomat, Qisse (kamo besh) ek jese hyn,… sbhi main namaz ka concept hy, subhi rooze rakhte hyn, subhi k pas Qurbani ka concept hy...

A.A.Jalalpuri ki ek baat hy, ye ke, 2 mutashabhe cheezon main baad main ane wali cheez ko pehle ane wali cheez se jor dete hyn, aur kehte hyn ke ... Majoosiyon ne Saaibiyat se seekha, Yahudiyan ne Majoosiyon se seekha, Eesaiyon ne Yahudiyan se seekha, Muslmanon ne Yahudiyon Eesaiyon se seekha !!! "Saamri ne Bachhre ki Pooja Misriyon hi se lee thi.". 93 ... ... Hum Ali Abbas Jalalpuri ko galat nahi keh rahe, zaroori nahi k ye chez na ho .. per zoroori nahi ke ye chez ho! ...

Generally aur Logically Do Mutashabhe Cheezon Ke Baare Main Pehle Ane Wali Chez Ko Priorty Dete Hue Bad main Ane Wali Cheez k Baare main Ye Nahi Kaha Ja Sakta k Is ne Us se Akahaz Kiya!

Ho sakta hy, Is ne Khud se Akhaz Kiya ho! Ho sakta hy Sub ka Manba' Ek hi Ho.

Madiyat ki nigah se dekha jaye to Purane Zamane main mukhtalif Tehzeeben ek dusre se seekhen! ye baat buhut mushkil hy, jab k hm aaj ke zamane ko dekhen jahan Media/Communication had darja Taqatwar hy, tb bhi mukhtalif tehzeeben apne ap main mukhtalif hyn, koi ye nahi keh sakta k Cheene American hyn ya American, Mangoolian, South Asian Russian hyn ya Russian African... Aaj k zamane main had darja Medai advance hone ke bawajood her koi Apna Mazhab follow karta hy, Apna Libas orhta hy aur Apni Ziban bolta hy ... Aaj k zamane main jab log mazhab se door aur zyada secular hyn tb bhi ye halat hy to che jaike us zamane main jb log in mamalat main zyada sakht the to apne traditions chhor kar doosron ke orthe phiren!

Ya to un ke ooper koi Taqat the jis ki waja se mukhtalif tehzeeben ek doosre se juri hui aur linked lagti hyn... warna is mamle main Ali Abbas ki Fikr ko follow karna buhut mushkil hy ... hm (mukhtlaif) Nayon ka (mukhtalif) Purano k saath sirf is bina per nahin jor sakte ke ye ek jesi dikhti hyn !!!

.

Ch. 5

Falsafa

Mukhtalif Flasifa ke Falsafe ... Falsafa sahi maane main 6th sadi qabl maseeh Talees Maleeti (Thales) aur Pythagoras se shuru hota hy ... beech main mukhtalif mazhab ke Falsafe bhi ate hyn, mazhab ke falsafe main bhi koi ek Shaksiat hi Front per hoti hy, phir 2 baten hoti hy, ya to wo Shaksiyat kisi Mazhab ki tarweej nahi deta sirf apni Fikr logon ko batata hy; kuch zindagi ke haqaiq ke baare main kuch zindage kese guzari jaye, k baare main, per baad main us Shaksiyat (ya us ki Fikr) k follower us ki Fikr ko Mazhab banadete hyn, ya ye hota hy k wo Shaksiyat apni Fikr apni taraf se nahi per kisi Mafooqul Fitrat Qoowat ki taraf mansoob karti hyn! aur kehti hyn ke ye saara ilm Usi ki taraf se hy ! [Pehli Kefiat main Mazhab ko Mazhab nahi mana ja sakta/ matlab is bat ki possibility nikalti hy ke use mazhab na mana jaye, kyon ke us ne khud se kabhi dawa i nahi kiya, us ne to sirf Fikr (falsafa) bayan kiya... baqi logon ne us (Fikr) k saath kya kiya us se kisi ko sarokar nahi hona chahiye, doosri kefiat main Analyse kiya ja sakta hy aur dekha ja sakta hy ke US KI BAYAN KARDA FIKR US ZEITGEIST KO MADENAZAR RAKHTE HUE INSANI BUS KI BAAT HY YA INSANI BUS SE BAHAR HY!]

_________________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...