FIKRism

Friday, April 2, 2010

TKK - Pathar Ka Zamana

TEHZIB KI KAHANI
Pathar Ka Zamana (1)
Dr. Mubarak Ali



.
Summary.
Qadim Pathar Ka Zamana
(20 lakh sal - 80 hazar sal)
Insan khana badosh tha,
Ghiza talash kr k khata tha,
Pathar k auzar buhut shurwati hyn.
Aag ka istimal/eejad is dor ke aakhr tk ghaliban ho chuka tha, jis ka isne pehle mazahire qudrat se mushahida kiya, phr pathron k ragarne se iski eejad ki!
.
Darmayani Pathar Ka Zamana
(80 hazar - 40 hazar)
Is dor me insan k hathyar zyada taraqqi yafta hogaye,
Insan daryaon k kinare rehne laga take selab/pani se faslen ug ayen, aur faslon k khatam hone tk ye waheen pe tika rehta.
Insan ne maveshi palna seekha.
Murdon ko dafan karne ka ravaj tha.
.
Jadid Pathar Ka Zamana
(40 hazar - 10 hazar)
Auzar zyada taraqqi yafta hogaye, ek dhaar wale se multi dhaar wale hogaye.
Logon ne pathron aur matti (gaare) se ghar banane seekh liye.
Kheti Bari sekh li,
Zamin milkiyat bn gayi,
Darja bndi hone lagi,
Anaj ki zakhira andozi hone lagi,
Jangen hone lagi (milkiyat aur zamin ki waja se),
Kapra buna jane laga,
Kutta palto janwar bna,
Matti k brtan bnaye gaye,
Phaiyya ejad hua,
Rooh, Jadu, aur Khushhali k liye rasm o ravaj zahoor pazir hue.

.
.
Excerpts:
.
"kaansi dor ka tehzibon se meesopotamia, iraq, aur cheen tehriron ko parh liya gaya hy. Magar wadiye sindh ki tehzib ka rasmul khat ab tk parha nahi ja saka." 19
.
"dekha jaye to insan janwaron se mukhtalif hy. Janwaron ke auzar un k sath hote hyn. Un ke panje, nakhun, aur daant un ke hathyar hyn jin se wo apni hifazat bhi karte hyn aur Ghiza bhi hasil krte hyn. Insan apni hifazat ke liye aur ghiza hasil krne ke liye apne auzar aur hathyar khud banata hy. Is liye is main zahant aur jiddat hy jo use doosre janwaron se alaihida krti hy." 26
.

"hm dekhte hyn ke jb bhi insan ne naye auzar banaye, ya un me tbdili ki, to us k natije me tbdili ayi. Us ne insan aur samaj ko badla jis se ek naye zamane ki ibtida hui. Ek naye dor ka aghaz hua." 36
.
Kasht kari aur Bastiyan
"insani grooh un elaqon me abad hona shuru hue ke jahan daryaon ka selab ata tha aur jb pani wapas jata tha to apne peechhe wo zarkhez mitti chhor jata tha." 53
"mahreene asare qadima ne darmyani ehd ke buhut se gaon falastin, sham, iraq, aur iran me khudai ke bad daryaft kiye hyn. Is se unhon ne ye natija nikala hy k kaasht kari aur maveshiyon ko palne ka ravaj falastin se phela, yahan se ye misr gaya aur phr bar saghir hindustan tak aya." 53
.
"mahreen ke mutabiq insan ki ausatan umar ab bhi kam hi thi, wo 15 se 28 sal tk k arse me zindagi guzar kr mar jata tha."
.
"jadid patha ke zamane ke is inqilab ki shurwat asia se huin aur phr yahan se ye phelta hua ye europe tk gaya." 57
.
"jadid pathar k dor hi me shayad insan ne phaiye ki ejad ki jis ki waja se technology me ek inqilab aa gaya." 70
.
"zaraati muashre me zamin ki ehmiyat thi. Jb kheti bari ki jati thi to zamin me beej dala jata tha jo poode ki shakal me bahar ata tha, is waja se zamin ko aurat ka darja dediya gaya aur use 'dharti mata' kaha gaya." 72
_______________________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...