FIKRism

Thursday, January 21, 2010

Anti Socialism

ANTI SOCIALISM

1. Tabqati Nizam
Tabqati Nizam is Kainat ka Hissa hy.
Dunya to Dunya … Jannat o Dozakh main bhi Tabqe honge.
Tabqon ke bagair insan kabhi apni aap ko (apni ehliyat ko) nahi pehchan sakta.
Is Dunya main Tabqe kchh Apne Abilities ko Utilize Karne / Na Karne, Kuch Apne Nafs pe Zulm Karne / Na Karne, To Kuch Imtehan ki Soorat ki waja se hyn.
Akhirat Ke Tabqe Apne Kartooton k Bina per honge. (Halanke ye baat apni jaga per hy ke Akhirat main (khusoosan Jannat main) Chhote aur Bare Tabqe wale ek doosre se Hasd Na Rakhen ge ..)
LEKIN Tabqe yahan bhi aur wahan bhi hyn … ye to Truth hy.

Tabqati Nizam Nature ka Hissa hy. Is ko Khatam Kar kar b Khatam Nhi Kiya ja Sakta.
(shahar shahar mulk mulk to door ki bat even chhote chhote idaron mai b oonch neech ka faraq hota hy). Is oonch neech se farak nhi parta. Kyon k ye oonch neech PROFESSIONALY (zariyae mua'sh) hoti hy. Ab chahe koi apne dhande se lakhon rupe kamata ho ya koi chhota mota dhanda krta ho. Jb tk Halal kama raha hy. Tb tk na wo bura na ye bura. . . Her koi apne apne mayar se jee raha hy. . . Yakeenan jis k kaandhe pe zayada bojh us k zimme zyada zimmedariyan. (sindhi mai kehte hyn na: jeddo uth tedda lodda)


2. Zati Milkiyat
“MARX KI RAI MAIN HINDUSTAN KE MUASHIRATI JAMOOD KA BARA SABAB YE THA K ZAMEEN KISI KI ZAATI MILKIYAT NAHIN THEE”. Page.386

Cheezen taraqqi ki raah nahin leti jab tuk wo MILKIYAT ke zumre main nahi aatee.
Insan ko cheezon se muhabbat tabhi peda hoti hy jab un pe APNAIYAT paata hy.
Jub ek chez Sirf aur Sirf Meri hoti hy to insan us ko Sanbhal kar bhi rakhta hy, us ki Hifazat bhi karta hy. Aur usko mumkin Taraqqi bhi deta hy.
Iska chhota sa misal tum apni Zaati Cheezon ko hi lekar dekhlon. Jo tmhara Computer, tuharea Bed, tmhara Kamra ab jis shakal main hy wese hargiz nahi rahega ager usko 15 bnde use karte hon. 15 bndon ke use karne ka ye matlab na hoga ke wo zyada taraqqi payengi kyon ke ek k bajai ab 15 hyn. Actually aur bhi zawal ka shikar hongee, kyon ke psychologically her bande yehi soche ga Main Kyon Dekh Bhal karon jab use subhi kar rahe … ye baat samajhna buhut asan hy is ke Practical Misalen Dunya Jahan main her Jaga tumhe milengee …
Matlab jab tak Zaati Milkiyat hy tab tak cheezon main taraqqi ayegee … (cheezon main taraqqi aana matlab dunya main taraqqi ayegee aur tumhare maayar-e-zindagi buland hoga), aur jab Zaati Milkiyat Nahin to cheezen Danwadol …

“Injeel Main Hamen Qadeem Socialism Ka Koi Wazeh Tasaur Nahin Milta. Hazrat Maseeh Na Tabqati Imtiyaz Ki Mukhalifat Karte Hyn Na Zameen Ko Dehqanon Main Taqseem Karne Ka Mashwara Dete Hyn Aur Na Masawat Ki Talqeen Karte Hyn.” . page. 77



3. Ghulami/Naukri
Islam ne Ghulami ko mansookh nahi kiya. Aur na kar sakta hy. Kyon ke ye Fitri Taqaza hy. Is dunya main her qism ke log rehte hyn, jin main se kai Muash ko bhagdor kar kamane ke chakar main nahi ate/ ya wo is ko pasand nahi karte/ ya unko ye sub kuch aata nahi. Albatta unko koi kaam dedo to wo bakhoobi usko mukhlis tareeke se anjaam denge. Ghulami ek hawale se aaj be Raaij hy bus Modern Word NAUKAR ke libas main. Aur in Naukaron main se kai ese hote hyn jo bare bare gharon main is tarah rehte hyn k Rehna Khana Peena sub waheen hota hy. Wo apni family se bhi kabhi kabhar ee milte hyn. In main se kayii khud Us ghar se rishte main Related hote hyn per khud zati tor per Ghareeb hone k naat apni is zandagi ko pasand karte hyn. Ye koi main ap ko Fictious stories nahi suna raha. Ye bilkul ayaan hamare muashre main aam jaam hy. Africa ke ghareeb logon ka tasaur karo. Wo apni us ghurbat wali life se ksi ameer ka naukar/ghulam hona zyada pasand karenge. (is se unka mayare-e-zindagi bhi buland hoga, aur phir life main azad hone ke baad khud Behtri ka sochen ge. Kyon ke jis ne kabhi Nayi Dunya ke rung dekhi i nahi to wo behtri ka kese sochen. Hamare pas kai ghareeb ese hote hyn jo kafi pese kamane k bawajood pusht dar pusht ghareeb i rehte hyn, jese ye ghurabat un ke dimagon per haawi hogai ho, aur is se chhotkara pana namumkin hogaya ho. Ye na-mumkin hota nahi per inko pata nahi hota chezen kese badalni chahiyen. … aur ye buhut asani se badad sakti hyn … ager hum ye kahen ke un main se koi ek fard bhi mahz ek saal tak i kisi ameer ki ghulami main raha ho.)

Ghulami ka ek aur benefit Behayaee ko khatam karna b hy. Aaj hazaron bachiyon ki izzat ghurbat ke kaaran loot lee jati hy, kyon ke inki awaz koi nahi sunta. Ager ye ksi ke Kaneez k zumre main ajati to Muashre be-rah-ravi se aram se bach jata.

Ghulami koi Be-Izzati nahin. Jub tak banda Halal Roti kama raha hy tb tk Well n Good hy, Haram kamane wala chahe kitna he Safed Posh kyon na ho Wohi Zaleel o Khuwar hy. Ager Ghulami main kaheen Karahat hy bhi to Doosri jaanib Islam ne us per Kai Sakhtiyan bhi kam ki hui hyn. Ager ek Azad koi gunah kare to us per jo Saza hy to Ghulam per kam (ya Aadhi) hy. Aur Kayii Huqooq to Maaf hyn.

… Jub muashre ke basic rules ee Ghulam Master pe bante hon to (Marx ka) socilism kesa !!! masawat kin bunyado per ?! jub Fitrat ee US masawat ki Ikhtalafi ho!


4. Social Animal by Nature
Ager Insan Fitri Tor per Social peda hua hy to …
Fitrat Hamen Tabqat aur Darja Bandi ka Dars Deti hy.
Ap Biology ke subhi Social Animal pe research kar lijiye … Ant, Makoora, Deemak, Bee … subhi main ek Family System hota hy …. Ek Female hoti hy jis ka kaam sirf bachhe peda karna hota hy .. chand males hote hyn jin ka kaam sirf aur sirf female k sath sex karna hota … chand so soldiers hote hyn jin ka sirf kaam security provide karna .. aur baaki hazaron laakhon main mazdoor hote hyn jo sex organs se aari hote hyn aur jin ke mutafirraq kaam hote hyn, kuch female ke bachhe paalte to aksar ka kaam khaana talash karna hota .. aur us Khaane main SUB shareek hote (un ke liye be jo bache palte, un soldiers k liye b jo jab tak phadda na hon waande bhetha hote !!!) (matlab ye ke kaamate ek hyn khaate sub hyn, phir bache palte ek hyn, bache pede doosre karte hyn, kuch doosre mukhtalif kaam karte hyn, … to ye hy Real Social System, Na kamane wale/ khana dhoonde wale ye kehte hyn ke tum apna khana khud dhoondo, na security provide karne wale ye kehte hyn k main kyon tumhari madad karon.)
Marx khud hi kehta hy Insan Social peda hua hy.
Ager Social peda hua hy to phir (real) Socialism Tabqati Nizam ka dars deti hy.
Ye tabqati nizam maine ya tum ne nahi banya bulke khud Fitrat aur Kainat is baat ki gawah hy.
Sub Mazdoor nahi ban sakte aur Na Sub Mazdoor deegar faraz ajnaam de sakte hyn. (Jis Ka Kaam Usi Ko Saajhe.)
Is tabqati nizam main koi kisi ka Haq nahi maar raha. Jo jismani taqatwar hy us ke khaate main jismani kaam ayega. Jis k paas dimag hy to us k pas dimagi. Na dimagi kaam karne wala sakht jismani kaam kar sakta hy na jismani kaam karne wala dimagi. Ye bat ka sirf ek pehlu hy. Warna dunya mian hazaron variatios mil jayenge. Ager ek banda ek field main master hy dusra dusri teesra teesre … jub sub mil kar kaam karenge tbhi baat ke haqeeqat ki inteha tak puhuncege. … [lekin mil kar kaam karna ka matlb ye nahi ke sub mazdoor ban jayen ?! ager ek banda Zemeen provide kar raha hy, raw material provide kar raha hy… doosra sirf us zameen per mehnat kar raha hy to ye khud milkar kaam karni ki shakal hy.]

~Haqiqat mai (sunnat bazil adam k 4thi esvi k khayalau k brkhalaf. Page. 80_81) Janwaron mai b ISHTARAKIYAT Nahein!
Kutte, Bheriye, Sher, Cheetah, Tiger, Bakre, Reechh . . . Etc. Apne peshab/paseene waghera se apne borders kheenchte rehte hyn aur her maheene (waqtan fa waqtan) use taza krte rehte hyn. . . . Beviyon(females) k mamle mai to janwar aur b sakht hyn. Takreeban sb janwaron mai unki biviyon per qabza krna mtlb us se sb Saltanat wa Riyasat chheenna. (is ki achhi misal Lion, Sea Lion, Gorilla mai dekhi ja sakti hy.)
.
.
[Note: Excerpts and page ref. are from 'Musa se Marx tak']

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...