FIKRism

Wednesday, January 20, 2010

Communist Manifesto-Ch.1

Communist Manifesto
Marx & Engels
1848





Chapter 1
Borzawa aur Proltaria
(Bourgeois and Proletarians)


Ye chapter Borzwa Proltaria ke us waqt ki Condition aur us waqt ke Soorathaal dikha raha hy. Bourgeois Tabqa kya hy. Kese Feudalism se nikal kr wujud me aya, Capitalism Muashre me kya Gul khilai aur unhi gulon main Kaante (proltaria) bhi nikal aye jo inka killa kama krne wale hyn.
Ye chapter hame sirf Kya Chal Raha Hy (tha) batla raha hy.
IS CHAPTER MAIN HAME KOI MANIFESTO NAHI MILTA.



"pehle tamam tabqon ne....sar utha skta hy.. 43"


Is quotation se pata chalta hy Communism ek KHAS TABQE ki jang hyn jise Proltaria kaha ja raha hy (yane mazdoor tabqa). Aur jise Kaseer kaha ja raha hy... Per chahe kaseer ho ya qaleel ye ek tabqe ki jang hyn.
Dusri bat Esa Nahi k Muashra sirf 2 tabqon me bata hy Bourgeois aur Proletarian; BULKE in k sath aur tabqe bhi maujood hyn jin ka thora zikr page. 42 pe milta hy. Ek Darmayani Tabqa aur ek Khatarnak Tabqa (Lumpea-Proletaria)..
Yane Communism Sirf Proltarai ki jang hy apne hakim tabqe (Bourzwa) k khilaf. Baqi k sb tabqe apni zindagi ji rahe hyn unhe Communism se koi (khas) lena dena nhi.
[COMMUNISM SIRF MAZDOORON KI TEHREEK HY!] ...
Aya ye Mazdoor (proltaria) kin usoolon pe lar rahe hyn? Kya sabit karna chahte hyn? Kya NAFIZ karna chahte hyn?.. Jwb: Mazdoor kuch sabit krna, kuch nafiz krna nahi chahte, jesa k quotation me likha hy.
("Iska Apna Kuch Nahin Jise Qaim Rakhna Ho Ya Jiski Hifazat Karni Ho, Iska Mansab Zaati Milkiyat ke Jamla Sabqa Tahaffuzat aur Zamanaton Ko Mitana Hy.")
[Dusre Lafzon me Inka Koi Manshoor (manifesto) nahi.] wo bus apne sabqa nizam ka khatma chahte hyn. Usko tabah o barbad karna chahte hyn.
Bilkul ese i jese Taleban hamara mulk tabah kr rahe hyn. Inse poocha jaye agr esa kyon kar rahe ho to wo koi ma'qool jwb nhi de sakte bus wo Ek Nizam ki tabahi chahte hyn, phr US NIZAM ki tabahi k beech me chahe koi b aye! ("jab tak murwaja samaj ke balai parton ke tamam tar o pod na bikher diye jayen")
.
.
"Jadeed Bourgeois Samaj Ne jo K Jageerdar Samaj Ke Khandron se Ubhra hy, Lekin wo un Tabqati Ikhtalafat ko door Nahi Kar Paya. Is ne to Mahz purane tabqat ki jaga nai tabqe, jabr ki nai sooraten aur jidojahad ki nai shiklen peda kardi hyn. 30"

>Tabqati Nizam Kabhi Khatam Nahien Ho Sakta, Ye FITRAT Ka Hissa Hy. Dunya ke Shuru se Lekar Ab tk (Akhir tak) log tabqon main hi bate hue hyn, faraq sirf itna hy ke pehle simple life thi simple tabqe the ab pecheeda life hy zyada pecheeda tabqe hyn.

-Haan Apni Jaga Ye Galat Bat Hy Ke Aj K Zamane Main Ek Bnda ek Mah Main Arbon Dollar Kamata ho aur Ek 1 dollar se b kam. Insanon ke beech mai itni bari Tafreeq nahi Honi Chahiye.
.
.."Gharz Hum Dekhte Hyn Ke Khud Jadeed Bourzwa Tabqa Irtiqa Ke Ek Taweel Silsile Ki Pedawar aur Tabadile Ke Tariqon mai Musalsal Kai Taghiyurat ka Nateeja Hy. 31"
.
"Jadeed Borzwa Samaj ne Goya Jadu ke Zor se Pedawar aur Tabadele ke Azeemulshan Wasile Khare Kar Liye Hyn. Magar Pedawar, Tabadila aur Milkiyat ke Apne Rishton Samet Is Samaj ki Halat us Su'bdah Gar ki si hy. Jis ne Apne Jadu se Shetani Taqaton ko Jaga to Liya Hy Magar ab Qabu Mein Nahie Rakh Sakta. 37"

-Agr Esa Hy to phr Socialism k Jadu se bhi ye Taqaten Thamne Wali Nahien.
Philosophers khud tasleem kr chuke hyn k Zamana Irtaqai Manazil te karta hy.. Ye Zamane ki Irtiqa Hy. Isko Thamana Matlb Abnormal Banna. Isko ab thamana nahi per Tede Ko Seedha Karna Hy.
Jis tarah Sarmayadarana Nizam Jageerdarana Nizam ki Has leke Barha, ("Chunache Hum Dekhte Hyn Ke Pedawar aur Tabadile Ke Wasile, Jin Ki Bunyad per Borzwa Tabqe ne Apne Ap Ko Banaya, Wo Jageerdar Samaj Mai Peda Hue The. 36"), isi Tarah Ishtaraki Nizam ko Bhi Sarmayadarana Nizam ki Has Leke Chalni Hyn.. Phr ek Waqt Ayega Jb Capitalism ka Total Khatma Hojayega aur sirf Socialism Bachega.. WARNA Communism 2 mahene chalega aur Dhaddaam..
!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...