FIKRism

Thursday, January 21, 2010

Socialism-Not Natural

SOCIALISM - NOT NATURAL

Muashre mai inqalab aur islah kbhi nahi aa sakta jb tk dimagon mai inqilab na aye. . . Tm bhale ek chezen utha kr dusre ko de do, dusri utha kar ek ko dede . . . Buhut sara utha kr ek k supard kar do k wo chahe usko ab jese istimal kare ya buhut sara kuch logon mai bant do . . . Ye sb maadi dunya ki madi ashaya ki ulat pher hy . . . Is se maushre mai kbhi islah nahi aa sakti . . . Kbhi kharabi ek jahat se to kbhi kharbi dusri jahat se maujud i rahe gi . . .
Koi Socialism ya Capitalism mushre ki islah nahi kar sakta, kyon k yaqeenan aj ki dunya mai 2 qism k log bus chuke hyn, jin mai se ek (is hisab se) socialisn k tarafdar hyn, to ek capitalism k, maze ki bat ye k inki sochen badalti rehti hyn. Ager garheeb ko utha kr ameer (Sarmayedar) bna do ya ameer ko utha kr gareeb bna do to , Socialsm wala Capitalism Capitalism krta phrega aur Capitalism wala Socialism Sociolism,.. Socialist k gun gane walun ko hasd ki bunyad per ye bardasht nahi hota k agr Dolat hmere pas nahi to dusron k pas kyon ho! (A bitter truth) . . .
Maushre ki islah mahz dimagi inqalab se i aa sakti hy aur dimagi inqilab sirf Mazhab se ata hy, koi socialism vocialism nhi lati (chalo ager man b liya jaye k socialism waghera se dimag mai tbdeeli ati hy to ye tbdili sb k liye yaksan nhi , ye tbdili 'tabqati etbar se' mahz ek group k logon mai ati hy aur un mai b ye tbdili apni dushman tbdili k sath interchangeble ho sakti hy, matlab ye tabdili unki FIKR k saath nahin bulke unki Maadi Haalat se marboot hy!!!
Socialism ki theory koi UNIVERSAL TRUTH per mbni nhi. Aur jo "univesal" na ho wo kbhi muashre mai nahi chal sakta. [jis k lye khud socialism ki tareekh gawah hy!!!]
.
.
SOCIALISM IS THE MATERIALISM
.
~Socialism ek esa ilm hy jis ki ehtiyaj un logon ko mehsoos hoti hy jin k pas ISLAMI FIKR na puhunch ho. Haqiqat mai iski zaroorat i tb parti hy jb muashre mai Islami Fikr maujood na ho. Ye Sarmayadari Nizam apni Us Shakal mai muashre mai maujood hi na ho ager Islami taleemat sahi mana mai muashre mai nafiz hon... k hame socialism jese usool nafiz krne pare !!!

~Socialism basically un logon ki soch hy jo mada-parast hy. Aur jo khud gurbat k lapet mai hyn. In ko utha k agr 'zarae pedawar' ka malik bna do to yakeenan in ki soch socialism se capitalism mai cnvrt hojaygi. Ye log Hasd ki bunyad per nhi chahte k Dolat ksi Insan k hath mai ho. . . Chunke ye madaparast hote hyn is lye in k nazdeek ‘Hum inhi Insanon (Dolatmandon) k rahm karam per hyn.’ ye soch kr phr inse ye soch brdasht nhi hoti. . .

~Jitne b Socialism k Naqeeb [parchar krne wale, gun gane wale, dhol peetne wale] hyn/guzre hyn. Wo sb ghareeb ya intehai ghareeb the.
Marx: jis k bare mai to Wikipedia pe "Hand to Mouth" jese alfaz likhen hyn.
Engles: ye b koi ameer na tha, bulkhe nokri k hawale se hamesha 2 4 hona para.
Rouseou (French): isne 12 sal ki umar mai taleem tarak krdi aur mu'ash kamane per majboor hua. 167
Mabli: padri tha. 173
Babiyo: k walden nichle darmayane tabqe se taluk rakhte the. 177
Saint Simon: pehli bat to mehz khayali socialist tha (aya socialist use kehna munasib hoga ya nhi ya uski tehreeren mahz pese kamane k lye thi). Simon bhale i ameer gharane se tha per jb tk ameer tha tb tk use Socialism k fikr na thi, jb 41 sal ki umar mai ghareeb bulke intehai ghareeb jo uska mulazim iski khabr geer leta hy. Tb (socialism se milta julta) likhta hy
"is k mansube kutub khanon ki zeenat bn gai. Francesi qaumon ne un per kbhi amal nahi kiya. 188"
Robert Owen: "iska bap lohe ka saman bechta aur ghoron ke saaz banata bnata tha. Owen ne 7 sal ki umar mai madarse ko kherbad kaha aur qasbe hi k dukan mai naukri krli. 188"
. . .
Charles Foriyer: iske bap ki kapre ki dukan thi, bap ki wafat k bad apni sari ponji kho bhetha, fauj mai jabri bharti hua aur 2 sal tk kam krna para, akhri umar clerki mai guzardi.
.
.
[Note: Excerpts and Page Ref. are from 'Musa se Marx tak' by Sibte Hassan]

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...