FIKRism

Friday, January 22, 2010

Truth Behind Marx Philosophy

Truth Behind Marx Philosophy for Communism
.
Jab Maushre main chand log maal jama kar kar ke apne khazane bharen, khusoosan tb jb Mehnat b doosron ki ho, to esi kefiyat main logon ka un ke khilaf aah o buqa karna Fitri aur Lazmi hy. [ye bat infaradi level per bhi hoti hy, jb mehnat ek kare aur khai dusra aur ijtimai level per b hoti hy jb mehnat ek mulk ya Sooba kare aur Khai dusra!]..
Dunya ki her cheez apni jaga per Mehdood hy, Sirf Shaklen badalti hyn, Misaliyat Madiyat bn jati hy Madiyat Misaliyat, Matter Energy bn jata hy Energy Matter!
Is hisab se jb Dunya main jb chand log jb dusre logon ki mehnat aur resources ko convert kar kar ke apne khazane bharne lagte hyn to Dunya main dusri janib kahin na kahin bhookh o aflaas zaroor janam leti hy.
Imam Ali a.s ka qaul, (mafhom)"jb ek bnda apne haq se zyada leta hy to kahin na kahin dusre ka haq gasab ho raha hota hy."
Ya phr Angrezon ka quote, "one person's misery is another person's merriment."
sb ek hi usool ki taraf nishandahi kar rahe hyn.
[iska hal yehi hy ke hr bnda apni apni zimmedariyan nibhaye jb ek bnda apne hisse ka kam nahi karta, ya to bigaar peda hota hy ya to ksi dusre ko qeemat chukani parti hy.. Per ye qeemat chukana sirf madi dunya ke peshe nazar hy, (Quran ki ye bat apni jaga per Sahi hy k Koi Ksi Ka Bojh Nahi Uthata.) is Maadi Dunya ko Misaali Dunya Hamesha Equilise Karti Rehti Hy, ksi had tak is dunya main hi per iska buhut bara hissa akhirat per munahisar hy! Is Dunya main koi ksi per zulm nahi karta per Apne hi ap per! Amazingly ye bt Physics(Newton) k is usool k bilkul masavi hy k Hr Action ka Reaction hota hy. "To every action there is an equal and opposite reaction."
]..
[Dunya k Saare Uloomat Apas mai Interconnected hyn, Hum Chezon ko Isolate Kar Ke Kabhi Haqeeqat (aur Haq) tk puhuch i Nahi Sakte.]

(wapas apne topic per), ye jama shuda maal itna kaseer hota hy k in jama-khoron ki zindagiyan usko utilize krne k muqable main negligible hoti hyn, dusre lafzon main wo is maal ko na khud use krte hyn na dusron ko krne dete hyn, aur logon ki mehnat aur dunya k resources ko nichoor nichoor ke apni chaar diwari mai muqeed krte jate hyn, aur dusri janib bhookh aflaas ghurbat badhaali ... barhti jati hy. [is bat ka chhota sa misal ye hy ke ager main ek jungle ko kaato aur uska chahe ksi b value mai convert karon per apne pas muqeed rakhon, to ek janib wo jungle jo apne ap is muashre mai kam kar raha tha, uski energy uski afadiyat, khatam hui plus usko jis "energy" mai convert kiya gaya usko muashre mai tarveej na di gai! Blke qed kr k rakha gaya.]
Ye bat samajh kar hame Qayamat ki wo nishani b bakhoobi samajh mai ati hy jo bola gaya. "Ameer Ameer Tar hota chala jayega Gareeb Gareeb Tar."
.
Lekin ab is mas'ale ka hal kya hy?
Hal ki philosophy to simple hy, bus us "khazane" apni qed se azad karana hy take wo muashre mai azadi se saans le sake.
Per sirf chezun ko samajhne aur philosophyan bnane se mas'ale hal nahi hote. Unko Practical Shakal Deni Parti Hy, aur Practical Shakal Dene Ke Liye (kususan is mamle main) ek ek chez ko khaatre malhooz rakhna parta hy.
Ham Ameerpan ko Bura Nahi keh sakte aur Na ksi k pas waafar miqdar mai pese ka hone ko Gunah qarar de sakte hyn. (kya tm jb ameer bnjao to kya tmhari sochen ulti hojayengi!), aur na hi hm Zaatiyat pe khel sakte hyn, hm ek ek pe ungli utha kr nahi keh sakte k tm tm tm bure ho. (bulke ye bt khud apne ap mai buri hogi), hm khud ager ameeron k andr jhank kr dekhen to wo keh sakta hy "mai ameer hon to hon isme mera kya qasoor" "mai ameer apni mehnat aur aqal se hua hun to tmhe jealosy kyon hoti hy." ab agr koi Bilgates k pas aa kr kahe tm ne buhut kama liya ab company (free main) hamare hawale karo, to Bilgates pe kya guzre gi. Tm agr Bilgates hote to tm per kya guzarti, tm keh sakte the maine apni poori zindagi aur ek ek din aur rat ki mehnat aur ujage se is company ko is maqam per puhchaya hy, aur ab tm(lootere) bare maze se talwar hath mai liye mujhe dara kr kehte ho "ye hath mujhe dede thakur!"
.
. . . To Mas'ala solve kese ho ? ?
Read Part 2 (next)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...