FIKRism

Saturday, January 16, 2010

Tareekh Ka Naya Mor - Chapter 1

Tareekh Ka Naya Mor
Ali Abbas Jalalpuri


Chapter 1

Tareekhi Tanazir
>Pathar Ke Zamane
__Insan bnder me se hua hy. "chunache tarekh alam me shuru se muashire ki bunyadi tbdiliyan mehnat aur pedawar se hi wabasta rahi hyn. 9"
"dusre hewanat nature ke rehm karam per rahe aur aj bhi hyn. 10"
"mehnat ne bndar mans ko insan bnaya tha.. . 12"

critics:
-insan bndar se hua ye aj bhi mahz hypothesis hy. Ye darwin ka nazriya tha, aur darwin ka nazriya mahz 'qyas arai' pr mushtamil tha na k scientificly facts per. It theory ko lekar jahan kai scientists ager sahi mante hyn to kai muslim tore english scientists galat b mante hyn.
-insan dusre janwarun se 'aqal' ki waja se munfarid bna, na ke mehnat ki bina per. Mehnat to shayad kai janwar insan se zyada krte hyn!
-insan b nature k rehm karam per hy us ne is ko 'aaj' bhi fatah nhi kiya. [na wo tornados ko i rok skta hy, na tsonomy ki tbah kariyo se i bch sakta hy, aur na global warming k bais hone wale nuqsanat ko rok skta hy!]
.
>Maslak Arwah
__insan ka rooh k baare me awwaili tasawur (k 'hr chez' ba-jaan (rooh) hy), jo hawa ya saaye se mushaba hy.. is se 'aqeedah' wa 'hayat bad az maut' jese tasawur ka wajud me ana.

Critcs:
no critics. Wo awwaili zamane k logon ki halate zindagi thi wo sahi the ya galat isse ksi ko koi sarokar nhi hona chahiye. Shayad insan ki irtiqa me unko us daur se guzarna tha.
.
>Zarai Inqilab
__jb insan ne khana badoshi wali zndagi tark kr ke ek jaga tik kr rehna seekha, zaraat ki waja se. Faujen qaim keen. Aur ryasati nizam wujud me aya. Inhon ne dusron per hamla kiya, (dusron ne inper hamla kiya), zameenen zabt ki aur ghulam bnaye, zameno me tausee' hoi aur zameno ka kam ghulamon se lene lage! Waqt guzarne k sath zamenon ka kam kissanon k supard kar diya gaya aur FEUDALISM wujud me aya.(aur gulamon se zati, aur ghar ka kam liya jane laga)

.
Critics:
"shakhsi amlak ke junoon aur hawas e zar o mal ne insani fitrat ko masakh kar ke rakh diya, amlak ki lalach hi tarekh me khoon rezi, saffaki, aur qatl o gharat jese ghinnaone jaraim ka sb se bara sabab rha hy. 21"
-shakhsi amlak buraiyon ki jar nhi bulke burayon ki jar 'materialism' hy jo 'hayat bad az maut', 'qayamat', 'neki pe jaza badi pe saza' jese tasawur ka na hona hy. Jb insan k pas 'akhirat' ka koi tasawur na ho, jb wo is dunya ko i sb kuch samjhe to wo apni zndagi 'materialisticaly' behtar banane k liye sb kuch karega. Phr us k pas achhayi o burai ka koi tasawur nhi rehta, phr wo apni nafs ki taskeen k khatir jis had ko b par krna parjaye uskeliye bari bat nhi. Jb akhirat ka tasawur i na rha to chori, thaggi, bemani, qatl, loot, zina jesi chez ko bura kese samjha jaye! Power aur taskeen e nafs ko hasil krne liye tel chahe seedhi ugli se nikalna pare ya terhi, (ya chamche se nikalna pare ya brtan i ulta kr ke, ya garam kr ke..) sb yaksan hy.
Phr insan insaniyat show krne k bjai 'animal instinct' i dikhata hy aur janwar i bn jata hy !!
.
-Tareekh k tanazire se parkha jaye to chezun ko parakhna aur jaiza lena buhut mushkil hy.. sbhi ehle fikr jante hyn k kainat musalsal mutaharrik hy aur apni irtaqai manazil te krti hy.. is hisab se tarekh me jo jo hua 'wo us waqt ki irtiqa thi', lekin jb jb purani 'theory' expired hoti gai to nai theory ki tarweej k liye inqilab ate gai aur khoon rezyan hoti raheen.
.
-Gulami (burdah-faroshi) k business me kai ek chez buri therai ja skti hyn per hame ye b na bholna chahiye k..
Hazrat Ibrahim (as) ko Bibi Hajrah isi 'Gulami k Busieness' ke teht Gift k tor per mili theen, aur isi bibi Hajran se Hazrat Ismael (as) pede hote hyn, jo 'Nabyon k Sardar' k jad hyn!
Hazrat Luqman ghulam the. (aur unhon ne 'hikmat' ki kai kunjiyan 'ghulami' se seekhi then!).
Hazrat Yousuf (as) (nabi hote hue) ghulam bn kr Misr puhuche the.
.
-tarekh ke tanazre me tarekh ko parakhna qareb qareb bekar hy. Kyon k aj k hisab se agr wo chez galat thi to tarekh k hisab se shayad wo sahi ho. Aur tarekh me b agr wo galat thi tb b wo mazi bn chuki!
Aaj k zamane me b kya chez sahi hy aur kya chez galat iske liye b hme sb se pehle 'Haq o Batil ki MEEZAN' mutaaiyyan krni paregi. Warna ek chez ek bnde k liye sahi to dusre bnde k liye wohi chez galat there gi. Aur ye masla phr infinite loop ki trah kbhi hal hone wala nhi !!
.
>Sanati Inqilab
__Science ki Eejadaat, Machinari, Factoriyan, aur Masnooaat, Gareeb mulkon ko ahle Maghrib ka lootna, aur unhi ki chez unhi ko mehngi kr ke bechna, gulamun ki farawani aur CAPITALISM.
.
Comments:
-Subha hoti rahi, sham hoti rahi, khushi me ya tangi me waqt guzarta raha.. aur hm waqt ki irtiqai manzlen te krte rahe . . .

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...