FIKRism

Wednesday, January 20, 2010

Communist Manifesto-Ch.2-Points

Communist Manifesto

Chapter 2.

[Manifesto Purana Ho Gaya]

Ch.2 main dee gai points aur un per tabsira:


[Marx & Engels Comments on above Points in Preface.]


Manifesto Purana Hogaya, ye baat khud Marx n Engels ke alfaz se zaahir hy ("ye program ab ba'az tafsilaat main purana hogaya"), lafz baaz ko beech main sirf is liye rakha hy ke Proltaria ke Bourzwa se Jang hamesha rahege, is se koi inkar nahi kar sakta. Ye baat bhi nahi bhoolni chahiye k Marx o Engels pichhle 25 barson ko made nazar rakh kar ye baat bol rahe hyn, ager pichhle 25 barson main hi ye purana hogaya to aaj 162 saal guzarne k baad haalat kya hogi !!!
Aakhri jumla “mazdoor tabqe ke liye ye mumkin nahi hy ke bani banai ryasati machinary ko apne hathon main mahz le le aur use apny maqasid ky liye istimal kare”
Ager Mazdoor khud hukoomat nahi karna chahte to kya chahte hyn ?! Na wo khud hukumat karna chahte hyn aur na doosron ko karne de rahe hyn !!!
[yane mazdoor bus ye chahte hyn ke bourzwa tabqe ka khatma ho, aur phir hm usool banaye jin per Govt, ko amal karna chahiye …(is that right?).. ager esa hy to phir wo Usool kya hyn???]

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...