FIKRism

Wednesday, January 27, 2010

Communism Jang k Zariye_Kese

Socialism/Communism Sirf Jang ke Zariye.. Akher Kese?!

SAARE MAZDORO BANDOOKEN BHAR LO!
(Communism Sirf aur Sirf Jang k Zariye, Marx theory)

Ek Naare se poori dunya ke mazdoor ek had tak ikattha to kiye ja sakte hyn Per Akhir ye Jang karenge Kis Se ? Hum Zaatiyat pe nahin khel sakte. Her Ameer Bourgeois Nahin Ho sakta, her wo Jo Bangalows man rehta ho zaroori nahi k Sarmayadar ho! Bulke true Bourzwa mumkin hy Aam Gharon aur Saada malboosat main mile. To Akhir ye Mazdoor laren ge Kis Se? Hum her us bande per jo kis Factory ya Mill ka Malik ho, ungli nahin utha sakte! “Wo keh sakta hy is factory ko maine apni Mehnat aur Kharch se khara kiye hy, tum Socialist ‘Mehnat’ ka gun gaate rehte ho, to is factory ko bhi maine apni Mehnat se is maqam per puhchaya hy! Ye meri Zaati Milkiyat hy, ab chahe main is se jo bhi kaam lon, meri factory main jo bande kaam karte hyn un per koi Jabr nahi kiya jaata aur unko Iktiyar hy k aya kaam karain ya na karain!” …
Hum apne Muashre se bande chun chun ke to jama nahi kar sakte k tum Mazdooron k Dushman ho, Aao ab muqabila karo!
To Akhir ye ‘Jang’ Kis se? Jab Mazdooron ko Made Muqabil hi na mile ga to ye Neze aur Bhaale lekar kis ke peechhe parenge!?
.
TAB KE HAALAT MUKHTALIF THE
Aaj se 150 200 saal pehle France aur Germany main jo Jangen hui theen, un main mady Hareef Govt. hoti thee, jo true Bourzwa thee, aur Socialists aur Mazdooron ka qila qama karne ke liye Police aur Fauj unper chhor deti thee, phir Socialists/Mazdooron ko ek taraf muqable k liye Police aur Fauj doosre taraf ideologicaly Govt. jese Hareef milte the.
PER Aaj Ke Haalaat Wese Nahin!? Aaj na hi Govt. mazdooron ki kulli tor per mukhalif hy aur na hi Danda Bardar un per chhore ja rahe hyn jis se ye muqabila karain!?
.
HER KISI KO APNI JAAN PYARI HY
Her kisi ko apni jaan pyari hy koi bhi mufat main marna nahi chahta.
19ven sadi main France, England, Germany mai jo Mazdooron ki haalat thee wo had darja Badtar thee, wo 18 ghante kaam karte the, na mard aurat main faraq na chhote bare ka khayal, kon mazdoor jee raha hy kon mar raha hy us se Malekaan ko koi sarokar nahin. Esi kefiyat main Laro aur Maro wali baat zyada durust thy, kion k Mazdoor wese hi Zinda Lash k si zindagi basar kar rahe the. Esi halat main Lar kar behtri lai ja sakti hy aur Mar kar apne bachon ki life behtar banai ja sakti hy.
PER hamare Muashre ki wo Halat nahin hy!

MAZDOOR KAUN
Term MAZDOOR ko do jahaat se dekha ja sakta hy.
Ek hawale se her wo banda jo kisi ke liye kaam karta hy, mazdoor hy. Is main her Govt. ya Private Idaron ka mulazim, chahe kisi Govt idarare ka Manager, ya privat company ka Director ho, her wo banda jo din ke (+-) 8 ghante kaam karta hy, aur tankha uthata hy, mazdoor hy.
Dusri Janib her wo banda mazdoor hy jisko Literally term main hamare muashre main mazdoor kaha jata hy, jis ki aksariyat Daily Wages walon ki hy, chahe wo Imaraton/Gharon ke construction pe kaam karna wala ho (chahe mazdoor ho ya kareegar), chahe rickshaw, bus, tanga, gandha gaadi chalana wala ho, ya factories main kaam karne wale.

Ager Naara lagaya jaye Sub Mazdoor Ikatha Ho Jao, to pehle to pehle doosri definition wale Mazdoor bhi jama nahi hone wale, (kyon ke her kisi ko apni jaan pyari hy), aaj k mazdooron ki haalat wese nahin jese 19ven sadi main France, England ke mazdooron ki the, aaj ka mazdoor 8-10 ghante kaam karta hy, apne kaam main khud-mukhtar hy chahe kare ya na kare, aur kaam se pehle us ki ujrat use bata di jati hy.
Jab ek mazdoor apni simple life apni raza o khushi se jee raha hy to use kya pari hy, Goli maarne aur Goli Khane ki..
[is liye is naare ke taht buhut qaleel tadad hi jama hone wali hy, aur ager jama ho bhi jaye tb bhi use koi (thos) hareef apne saamne nahin milne wala, jis ko ye goli mare!]
IDEAS se jang hoti hy, per koi Ideas ko Dandon se peet to nahi sakta, Dandon se peetne ke liye to ise apni hi tarah ka saamne ek banda chahiye phir chahe Dande Khaye ya Dande Khilaye!


CAPITALISM – GOOD OR BAD

Hamare Muashre ne itni tezi se Taraqqi, aur Aam Insan ki Halaat-e-Zeest AUR Halaat-e-Shaoor ko is miqaam per Capitalism ne hi puhchaya hy, is waqt tum jis Kursi per bhethe ho, tumhare saamne jo Computer, jo Pen, jo Mobile, jo Headphone, Jo Cup, .. Kamre ki ek ek cheez per nazar karlo, Bed, Ilmaari, Wall Clock, Chappal, Shoes, Towel, Heater, Cap, Jacket,… Sub Capitalism hi ki Badolat hy. Ajj se 200 300 saal pehle logon ke Halate-Zindagi pe Nazar karlo, waqt ki Irtiqa ki hisab se 2so 3so sal pehle k log hm se zyada door nahin hyn, per unki zindagi hm se buhut zyada mukhtalif aur simple thi, aur simpleness se is maqam per ham sirf Capitalism hi ki badolat puhche hyn.
Is Capitalism ka ek Rukh Ilm ko Aam karna bhi hy, isi Capitalism ki waja se Asha’ati Factories bani, jahan se her Kitab, Akhaar, Jareedeh wafar miqdar main shaya hone lage, aur her aam o khaas bande ko ‘Jaanne’ ka moqa mila. Aur apne Shaoor ko Farog dene ka moqa mila. Aaj k zamane ka banda ager Balon ko Kanghi karta hy to isi Shaoor k bina per warna purane zamane main logon ko bolna parta tha k Kanghi Karo, aaj k zamane ka banda ager Jismani Saaf Suthrai (Nahana, Saaf aur Dilkash Libas pehnna) ka khayal rakhta hy to isi shaoor ki waja se warna purane zamane main logon ko bolna parta tha ka nahane main sawab hy, kam se kam Jume k Din to Nahalo. ..
In short: Capitalism ne Insan k Shaoor ko Barhaya, (aur her waqt Barhte rehne k darwaze khule rakhe), aur Haalate Zeest ko Behtar banaya. Kharabi Capitalism main Nahin.

TO PHIR KHARABI KAHAN HY
Kharabi ‘Jama-Andozi’ main hy, ye Jama andozi Socialism main hogi to Socialism bhi Kharab hojayega aur ye Jama-andozi Feudalism main Nahin hogi to Feudalism bhi Achha hojayega!
.
(points to ponder)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...