FIKRism

Friday, January 22, 2010

Communist Manifesto-Overview

Communist Manifest
Marx & Engels
1848




OVERVIEW

Ye Kitab apne title se insaaf nahi karta, ager isko ek KITAB ki hesiyat se dekha jaye.
Per Ager ye ek Makhsoos Party ka apne daur main banaya gaya Manifesto tha to … wo janain unki Party janain !!!
Kitab main hamain Communism ke koi 'khas' manifesto nahin mile, bulke mile hi nahin.
Taqreban Poori Kitab sirf Muashre main Kyal Chal raha hy, Bourgeoise aur Proletaria aur un ke sath doosre tabqat ki maujoodah condition kya hy, ki tasveer kashi karti hy.
Chapter 2 ka aakhir main jo chand points Communism k hawale se ginwai gai hyn, wo naqas aur nakarah hyn, bulke unke baare mian khud Marx o Engels apne 1872 ke German Edition ke Deebache main likhte hyn: “Dusre baab ke akhir main jo inqilabi tadabeer pesh ki gayeen gyn un per koi khas zor nahi diya gaya. Wo hissa ager aaj likha jaye to kai lehaz se buhut mukhtalif hoga.”
[is per hum alag se post main behs kar chuke:
http://fikrism.blogspot.com/2010/01/communist-manifesto-ch2-points.html]


Poori Kitab main Communism ka sirf Ek hi Manfisto ya Maqsad Mila, wo ye ke:
Proltaria Tabqa (yane Mazdoor) Bourzwa Tabqe (yane Sarmayadar) ka Khaatma Chahta hy wo bhi Jang o Jadal se.
Is baat ka tazkira Marx Engels Deebache main bhi kar chuke:

_______________________________
Links:
Communist Manifest Urdu @ Scribd
Wikipedia

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...