FIKRism

Friday, January 22, 2010

Philosophy_Solution

Truth Behind Marx Philosophy for Communism
[Continue from Previous Post]


SOLUTION
.
Problem Bunyadi tor per 3 Chezon k beech mai ghoom raha hy.
1. Mehnat (Kaam)
2. Sarmaya (Jama-andozi)
3. Economy (Currency)
.
1. Mehnat
Kaam ki Soorathal Esi Na Ho Ke Banda Kam ka Gulam Bn Jaye, Aur Na Esi Ho Ke Kam Ka Maqsad Sirf Pese Kamana Ho.
Aur Na Hi Apni Bunyadi Zindagi Jeene Ke Liye Insan Had Se Zyada Kam Kare.
.
2. Sarmaya
Jama Andozi ko Insan Khatam Nahi Kar Sakta. Her Bnde ko Ikhtyar Hy Apni Mehnat Ki Hui Kamai Se Kitna Kharch Kare Kitna Jama.
Per Jama Kiye Hue Mal Pe Tax Lagana Hoga. Wo b A se lekar Z tak sbhi bndon pe, is mai Gareeb o Ameer ki Koi Qed Nahi. Aur ye tax percentage mai hoga.
Zimmedari sb ke ooper aaid hone per koi tabqati anaad janam na lega, aur percentage mai fix hone per koi ye nahi kahega falan 20 hazar bharta hy to mai 20 crore kyon bharon.
Ye tax is liye zaroori hy ke us jama andozi se hamesha leakage hoti rahe, aur resouces dab kar hamesha k liye qed na hojayen.
Is tax se rahe farar ka ek hi rasta hy bnde jama andozi chhor den.
Yad rahe ye tax sirf jama andozi per hy, kharch karne per nahi. (kyon ke kharch karne mai money circulate ho hi rahi hy.)
[is chez ko control krne k liye Islam pehle se i Zakat (dhaai%) aur Khums (20%) jese usool bna hi chuka, plus mai kherat, sadqat garebon yatemo miskino aseero musafiro ki madad ko had darja insist kr chuka, aur jama andozi ko nafrat aur karahat k 7 pesh kr chuka]
.
3. Economy
Tankhaoon mai itna zyada faraq na ho ke ek bnda per mah lakhon croron wusul karta ho aur ek bnda 12 ghante duty dene k bad bhi mushkil se 2 3 hazar.
Products ki salary k sath ham-ahangi honi chahiye.
HamAhangi se murad Esa na ho ke ek bnda ek din mai 100 rupya kamata ho aur us se 1 kilo cheeni 1 kilo ata kharedne se b qasir rahe. Bulke Zarooriyate Zindagi k cheezen had darja sasti hon, per jitni zarooriyate zindagi ki cheezen sasti hun utna hi unka peda krne wale, ugane walo ki halat behtar ho. Uske liye Govt ko chahiye k unko bonuses se nawaze bulke unke liye tankhayn muna'qid kare jiska unke products k munafe se koi lena dena na hoga.
Mulk k Sb se zyada tankha uthane wale bnde/bndon ka mulk se sb se kam tankha uthane wale bnde/bndon mai fix margin hona chahiye (aur jo buhut zyada nahi hona chahiye, bulke qadran kam hona chahiye.)
Company/Factory mai Kam bnde zyada tankhaon pe rakhne k bjai zyada bnde qadran kam tankhaon pe rakhne chahiyen. (is se ek to berozgari khatm hogi. Do ameer o gareeb ka faraq mitta jayega.)(is chez ko control krne k liye Ryasat mukhtalif companies per fix usool sadir kr sakti hy, jis per waqt k sath modify k liye nazar krni chahiye.)
Un sb Kamon (Profesions) ka khaatma karna chahiye jo Muashre ki Islah o Taraqqi nahi karte per phr bhi Lakhon rupe (per month) tankha uthate hyn. Ya minimum rakhni chahiye.
.
Per phr akhri sawal in chezon ko practical jame'a kese pehnana chahiye?

In chezon ko amali jame'a pehnane k liye Politicians aur Economists ka sahara lena parega. Ya khud politician economists bnna parega!
In chezon ko amali jamea pehnana practicaly mushkil b nahi bulke asan hyn, in chezon ko amali jamea pehnane k liye ksi ko apne ghar se be dakhal nahi kia ja raha, na ksi ka qatl karna parta hy aur na hi qatl hona parta hy, na hi ksi ki haq talfi hoti hy aur na hi ksi ki zaat k sath khelna parta hy.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...