FIKRism

Wednesday, July 14, 2010

Jinsiyati Mutale - Cmnts/Critics

Jinsiyati Mutalea
by Ali Abbas Jalalpuri


Critics and Comments:

Ye Kitab College ke Nisab main Shaamil kardena ke laaiq hy, jis ko Parhaya to Jaye per Paper Na liya Jaye!

Kitab apne ap main Master Work hy, per chand cheezon ko ager tanqeed ki nigah se dekha jaye to kuch baten kahi ja sakti hyn:

1
Kitab main Kuch Points sirf ek (English) nuqte nigah se dekhai gayi hyn, English Authors ke khayal pesh kiye gaye hyn English Muashre ko Made Nazar rakh ke, jb ke wo baten kisi dusre muashre main mukhtalif thehr sakti hyn. Jese ch. Baloghat aur Awaile Shabab main bataya gaya hy ke larki jab Baligh hoti hy to use ye pasand hota hy larke unhe dekhen aur unse baat karain; wese to ye baat her individual per alag se aaid hoti hy per her qaum ki apni ek ijtimai soch bhi hoti hy us hisab se doosre muashron main baat kuch mukhtaif thehr sakti hy, khusoosan ham ager apne muashre ka muakhza ager English Culture se karein to baat buhut mukhtalif bulke Ulti thehr sakti hy, jese muashre main aksar ye hota hy ke larki baloghat pe puhuchne ke baad larkon se baat karne ko sakht nafrat ki nigah se dekhti hy. Aur use pasand nahi ke koi Ghair use ghoor ghoor ke dekhe!

2
Shadi ke chapter main Aurat per hone wale zulm ko kisi had tak barha charha kar pesh kiya gaya hy; Aurat per dhaye gaye zulm ki ham sakht mukhalifat karte hyn, per ager Irtaqai Marahil main Madri nizam se Pidri nizam ke transformation main ager ye sub hona tha to …. … …. Kya keh sakte hyn… ye sub hona tha … ye nature ka hissa tha …

3
Waqt Guzarne ke saath kuch cheezon ko dobara Modify kar ke likhne ki zaroorat hy, jese ek to jo facts n figurs ginwai gaye hy wo yekeenan waqt guzarne ke saath ab un ke haalat buhut mukhtalif hogi, do jin chand Fehsh Nigari wale Novels aur Films ka tazkira kiya gaya hy us hisab se waqt guzarne ke saath in cheezon mian buhut ‘taraqqi’ aa chuki hy.

4
Kuch cheezon ki seedhi seedhi Tardeed ki ja sakti hy; jese “Fahash Novel Sirf Mard Likhe Hyn, 194”, “Ling ki pooja aaj ke Zamane main sirf Hindustan main ki jaati hy”, halanke doosre mamalik bhi is fa'l main shamil hyn.


_______________________________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...