Ravayate Falsafa
Questions in Pesh Lafz
.
[Before Reading the Book I Tried to Answer the Questions given in Pesh Lafz. And after reading the book I polished them.]
[The Basic Idea is “Khud Shanasi” about the Fikr o Falsafa.]
Ans. in Short!
.
1. Kainat Ki Be-Karan Wus’aton Main Insan Ka Maqam Kya Hy?
A. Mazhab ke nuqte nigah se insan ka maqam Markazi hy, bhale ee wo jismani lehaz se haqeer o nacheez hy. Mazhab ko nikal kar sochen to Insan Nil hy. Per ek bat qaabl-e-ghaur hy ke insan hi (jahan tak hamara ilm hy) poori kainat main Complex aur Ba-Shaoor being hyn!
2. Kya Ye Kainat Ba-Ma’ni Hy? Kya Is Kainat Ki Koi Gaayat Hy?
A. Ji Han, bilkul Kianat Ba-Ma’ni hy! Jb main apne bare me koi Be-M'ani kam ko pasand nahi karta, to is Kainat ko Be-M'ani kese kahon. .. Ji Han, Kainat ki Gaayat Hy.
3. Kya Is Kainat Ko Insani Umangon, Tamannaon Aur Khawbon Main Koi Dilchaspi Hy?
A. Kainat ko Insan ki Umangon, Tamannaon, Khawbon me koi dilchaspi ho na ho per Kainat ki Irteqa aur utar charhao Insan ke Umangon Tamannaon Khawbon hi se wujood me ate hyn.
[is sawal ka jawab dena mushkil hy ki aya Waqt Khud apne ap ko morta hy ya Insan uska rukh muta’yan karta hy. Mere nazdeek Insan ki umangen, tamannayen, khawb.. ee Muashre ke Ahwal ko badalte hyn warna Laakhon salon se hm Stone Age hi ke zamane main reh rahe the!]
(Kainat ki Insani Umangon, Tamannaon, aur Khawbon se Direct Dilchaspi ka pata tab hi chale ga jb Kainat ko Zee-Shaoor samjha jaye ya uske Shaoor ka surag lagaya jaye.)
4. Kya Kainat Main Koi Zee-Shaoor Afaqi Qoowat Maujood Hy? Agar Maujood Hy To Kya Ye Kainat Se Maaora Hy Ya Is Main Taari O Saari Hy?
A. Ji Han, Kainat main Zee-Shaoor Afaqi Qoowat Maujood hy aur Wo is se mawura hy. (yani Kainat Khud Khuda nahien.)
5. Kainat Azal Se Maujood Hy Ya Ise Ksi Ne Khalq Kiya Hy? Haqiqat Kubra Kya Hy?
A. Ksi ne Khalq kiya hy. Wohi to Hy.
6. Zamane Ki Harkat O Gardish Dolabi Hy Ya Khat-E-Mustaqim Per Ho Rahi Hy Yani Kya Kianat Ka Agaz Hua Tha Aur Is Ka Anjam Bhi Hoga Ya Wo Azal Se Maujood Hy Aur Abad Tak Baqi Rahe Gi.
A. Khate Mustaqim per hy, aghaz b tha anjam bhi hoga, azal se maujood nahi, abad tk baqi rehne k liye depend krta hy Haqiqate Kubra per, jis ne ise khalq kiya, aya Wo ise renew karta hy, ya khatm kar ke koi aur Zaman o Makan (Kainat) bnata hy, ya kuch aur..
7. Zehn Maade Ki Pedawar Hy Ya Maade Ko Zehn Ne Khalq Kiya Hy?
A. Maade ko Zehn ne Khalq Nahi Kiya, Maada khud apne ap me Haqiqat hy, per Zehn Maade ki Pedawar b Nahi, (dimag maade ki pedawar ho sakta hy.)
8. Insan Majboor Hy Ya Mukhtar? Agar Majboor Hy To Ye Jabriyat Daakhli Hy Ya Khaarji Hy?
A. Insan Majboor hote hue Mukhtar Hy.
9. Ager Mukhtar Hy To Is Ke Aur Wahoosh Ke Qadr O Ikhtiyar Main Kya Faraq Hy?
A. Insan ka Attalaq wahoosh pe nahi kiya ja sakta.
Wahoosh apne shaoor ke hisab se mukhtar hyn aur insan apne shaoor ke hisab se!
10. Rooh Kya Hy? Kya Rooh Ka Jism Ke Saath Wohi Taluq Hy Jo Sho’le Ka Shama’ Ke Sath Hy Ke Idhr Mom Khatam Hua Udhar Shola Bujh Kar Reh Gaya Ya Rooh Khaarij Se Jism Main Daakhil Hoti Hy Aur Maut Ke Bad Kisi Aur Aalam Ko Lot Jati Hy.
A. Ek esi Chez jo Bejan ko Jandar aur Zi Shaoor bnati hy, ji Nahi, Rooh ki misal Shole aur Shama jesi nahi k idhar mom khatam hua udhar shola bujh kr reh gaya. Ji han Kharij se dakhil hoti hy aur lot jati hy!
11. Zameer Kya She Hy?
A. Shayad Rooh i ki Awaz hy, ya Rooh se peda shuda Shaoor ki Awaz!
12. Kya Khair o Shar Ka Mubda Ek Hi Hy?
A. Ji Han, kher o shar ka mubda apni lamatnahi soorat me Ek hi hy per catagorise hote hue alag alag hy.
13. Kher o Shar Ki Tameez Insan Main Wahbi Hy Ya Mahol Ke Asrat Ki Pedawar Hy?
A. Kher o Shar ki Tameez Insan me Bunyadi tor per Wehbi (bestowed) hoti hy per insan is dunya me aakar is dunya k asrat ko qabul krne lagta hy, aur phr nayi tameezen aur purani (wehbi) tamezon ki modified soorten banne lagti hyn, baz auqat insan ka ander kuch bolta hy per dunya ki Ijtimai Tameezon ko apni Infradi Tameez per plus me apne aba o ajdad ki tameezon ko awwaliyat deta hy.
14. Husn Kya Hy? Husn Mauzoo’ Main Hota Hy Ya Ma’rooz Main?
A. Husn, ... Husn Ma’rooz main hota hy. Aur usko Judge karne ke liye Insan ko Mau’zoo nahien banaya ja sakta Insan pehle se i Kher o Shar ki tameez me kash ma kash ka shikar hy! Aur ager Mau’zoo kuch aur hy to hm uski taraf se idrak nahi kr sakte. Is liye Husn ki Definatoin bayan karna tab tak mumkin nahin jab tak hum apne ap main se kharij ho kar Us ki taraf se Idrak na karain. (‘us’ wo judgmental meezan hy jo husn aur gair husn main tameez ka mayar tayiun kare).
Ager Husn Insan ki Ankhon main hy (yani Mauzoo’ main hy) to phir Hum Kisi Ek Husn ki Definition per Muttafiq nahien! (hosakte)
15. Fard Ijtima’ Ke Liye Hy Ya Ijtima’ Fard Ke Liye Hy?
A. Ijtima' Fard Se Hy, her fard her ijtima k liye nahi ho sakta aur her ijtima her fard k liye nahi. Her Ek Ijtima ke liye chand Afrad ka hona lazmi hy per Her Ek Fard ksi na ksi Ijtima ka hissa ho Zaroori nahin.
16. Kya Insan Ke Tamam A’mal Ka Muharrak Hussol Lazzat Ki Khawhish Hy Ya Kia Wo Buland Tar Nasbul Ainon Ki Kashish Bhi Mehsoos Karta Hy?
[Old: Ji Nahi, Insan Lazzat ki Khawahish k elawa dusre nasbul ainon ki liye bhi amaal bja lata hy; ji han wo kashish mehsoos krta hy.]
A. Ji Han, Insan ke tamam amal ke muharrak hussol-e-lazzat ki khawhish I hy! Phir chahe wo ‘lazzat’ Duneeyi ho ya Ukhorvi, Maadi ho ya Roohani!
17. Musarrat Kya Hy? Musarrat Ka Sar-Chashma Insan Ke Apne Butoon Hi Main Hy Ya Wo Doosron Ko Musarrat Puhuncha Kar Is Se Behrah-Yab Hota Sakta Hy?
A. Jis se insan Khushi mehsoos kare (chahe wo jism ko aziyat de kar i kyo na ho.); ji han; koi b surat ho sakti hy (chahe ksi marne wale ko bacha kar ya jine wale ko mar kar).
18. Ikhlaqi Qadren Kya Hyn? Kya Ikhlaq Mazhab Ki Ek Fara’ Hy Ya Ek Mustaqqil Shuba’ Ilm O Amal Hy.
A. Akhlaqi Qadren Universal Truths hyn jo ke Azali o Abadi hyn, Ikhlaqi Iqdar ko mutayyan karna khud kher o shar main tameez karne ke mutaradif hy, aur Insan k liye (apne bal boote per) ye mahal hy k ikhlaqi qadron ko mutaiayan kar sake.
Mazhab ki Fara' bolne pe pehle Mazhab ko define krna hoga, … behrhal her mazhab ka sar-chashma ikhlaqi qadron ka ta’iyon karna hi raha hy!.
19. Sadaqat Kya Hy?
A. Sadaqat wohi hy jo Sach hy, her chez ki Asliyat aur use asal shakal me dkhna Sadaqat hy.
_______________
No comments:
Post a Comment