FIKRism

Friday, January 28, 2011

Iqbal Ka Ilme Kalam - Postmortem1

IQBAL KA ILME KALAM


Kya Waqai Iqbal Ek Mutakallim!?


Ilme Kalam Akhir Hy Kya?


Ilme Kalam Ye hy ke Her Science ke Inkishafat ko Mazhab ki (Purani) Kitabon main dhoond kar bayan kiya jaye. Ya Science ko Mazhab ki munasbat sy bayan kiya jaye! Yani Science ko Mazhabi banaya jaye!!


Jalalpuri ne Iqbal Ka Ilme Kalam likh ke ye saabit karni ki koshish ki hy k Iqbal Fikri lehaz se Mutakallim the, albatta wo ek Azeem Shaair zaroor the.
Is mamle main Fikri Lehaz se kisi ko parakhna buhut mushkil ho sakta hy kyon ki Kis Alfazon main kya Fikr posheedah hy ye janchna aur janna her ksi ki bus ki baat to hy nahi.
Jalalpuri ek achhe falsafi aur mufakkir bande hyn is liye hm unki munasbat se unhon ne jo Fikr pesh ki use (kis had tak) qabool karte hyn.



Ilme Kalam Asal me hy kya chez, isko poori tarah janna abhi baqi hy, albatta Jalalpuri Sahb ne jo nuqta nazar pesh kiya wo ooper saada alfaz me pesh kar diya gaya ..



PER
Ye bat bhi ghaur talab hy ke Shaair ki Shaairi ko Falsafe ke Medan main nahi lana chahiye kyon ke Shaair ki Shaaire Vague hoti hy, aur Shaair ka khitab Khateebana hota hy jis main wo apne andaze bayan ko zyada Focus main rakhta hy bajai Fikr ke… shaair ko bus dilkash alfaz ko dilkash peraya main bayan karna hota hy. Yaqinan wo fikr ko khatr-e-malhooz rakhte hyn per ye un ke liye secondary hota hy.


Dusri baat ksi chez ko bayan krne ka (hamesha) ye mtlb ye nhien hota k wo us ka qaail b ho. Khususan shair k mamle ye bt zyada sakht hojati hy.




ITTEFAQ O MUTTAFIQ
Jalalpuri na jabaja Iqbal k khayalat ko mazi ke ksi Falsafi se Jorne ki koshish ki hy,
Per baat ye hy ke is se banda azad kese ho, aj ke zamane main ager koi bhi banda fikri etbar se azad hokar kuch bhi bayan karega to dhoondne per is baat ke zyada chances hyn k (ittefaq se) wo mazi ke ksi na ksi mufakkar se milti ho!! To phir is main qasoor kis ka hy!?
Aur ager banda jan boojh kar mazi k ksi mufakkar ke afkar se muttafiq ho tb bhi main nahi samajhta ke is main koi buri baat hy !!
Ilm tabhi aage barhta hy jab pichhlon se istefada kiya jaye warna hm aj tak stone age ke zamane se bahar na nikle hote! Pichhlon se istefada karne se ya to ap unhi ko Fikr ko zyada taraqqi dete ho ya phir Tanqeed kar ke logon ko ghalat rahon pe jane aur nai raahen daryaft karne ka saaman karte ho!



FIKR O FITRAT
"iqbal falsafe ko mtharik aur azad samajhte to us ke usool o afkar ko mazhabi aqaid ki tasdiq o tausiq k liye istemal na krte kyon k falsafa azad o mutaharrik hoga to ye zarori nhn hy k us k nazriyat mazhbi aqaid hi k mawafiq sabit honge." 17
-han thek kaha per jo Mazhab Natural hone ka dawa kare, jo kahe jis ne tmhare liye Falsafa bnaya usi ne ye mazhb bnaya, jo kahe ye mazhb mahaz mzhb nhn per dar haqeeqat Usool e Zindagi hy, is dunya me jeene ka tariqe kar hy. Haq o Batil ki tameez hy!. Falsafe ka mtlb hy Haqaiq ko janna, phr jb falsafe ko khud ye malum na ho k Haq kya aur Batil kya to phr usi falsafi ki meeaad per sahi kya aur ghalat kya ko mayar kese bnaya ja skta hy?!
Jb ek Jumla(Hadees) mukammal nhien milta to us jumle k kai nuskhe hath kr k, un me kami beshi malum kr k, us ki haqiqat ko janna ki koshish ki jati hy. Is hsb se falsafe me agr nuskh ho to uski haqiqat ko kese pehchana jaye. Ya falsafe ko Azad keh kr us nuskh shuda falsafe ko i haqiqat man liya jaye !?
Yehi soorathal mazhb k 7 hy.
Agr mazhab Fitri hy to phr Fitri Falsafi usoolon se mutabiqat rakhta ho aur agr Falasafa Sahi hy to wo (approved) sahi mazhab k sath mutabiqat rakhta ho.



Ilme Kalam = Aqal o Naqal .. to:
Dunya Ek Hy, Ilm Ek hy. Uske Branches ki gayin han mahaz Sahle-e-Fahm ke khaatir.
Koi bhi Shaakh-e-Ilm apni Pure Isolate kefiaat main baqi nahi rehgi, ya ye keh lijiya Zinda nahi rahegi. Is Dunya ki her chez ek dusre se inter-connected hy. Aur chezon ke Asal Pehcan ee Dialectical andaz main hoti hy.
Her Ilm apni Haqiqat (or Hypothesis) ko samajhne k liye doosre Uloomat se madad leta hy, aur Isolate ho kr koi bhi Ilm o Falsafa apni Haqiqat nhe pehchan sakta . . To phr Mzhb ki Tatbeeq Uloom e Ma'asir se kyon nahi honi chahiye? Aur falsafe ka sahi o ghalat sabit karne ke liye doosre uloomat se madad leni chahiye! (aur in ‘doosre uloomat’ main mazhab bhi shamil hy)


Matlab Mazhab bhi ek ILM hy aur ye doosre uloomat se juda nahi. Ye koi esi chez nahi jis ko Fikri medan main bilkul alag thalag kar diya jaye. Jb hm Physics ko Chemsitry se juda nahi karte jab Chemistry ko Biology se juda nahi krte, jb Astronomy ko Maths se juda nahi karte, … jub her ilm ek doosre se istefada karta to phir Mazhab her chez se alag kyon !!??


Doosri janib Islam ne kbhi khud ko Uloomat se juda nhn kiya. (jese ka maine bayan kiya Uloomat sub ek hyn bus Samjah ke khaatir unko Catogarised kar diya gaya hy, is le koi ‘Deegar’ naam ki chez nahi, per mahz samjhne ke khaatir yahan likha ja raha hy) … Tareekh is bat ki gawah hy ke mazi ke madaris main her uloom parhaya jata tha, sirf Fiqh o Quran ee nahi.
.
"akhri fiqre me frmate hyn. . . ."17
-Jalalpuri shb sirf apni taujihat kr rahe hyn. Wagarna is mafhom me jalalpuri shb ko agr kaha jata bolne k liye to iqbl k bole gaye alfaz se zyada munasib alfaz nhn bol sakte the. Baqi ab jo bnda js me se jo mafhom akhaz kare. . . Chahe Alfazon k jadoo se oont ko bakri bnade ya bakri ko bhens... Is traha ka andaze byan Iqbal se Jalalpuri ka zati anad ki traf ishara krta.
.
.
"sayed suleman nadvi ne hayate shibli me likha hy k mutakallamin e islam ka farz awwalin ye hy k afkar jadidah ko musalman karain." 17
Nadvi shab ka bat ghalat hy per ek chhota sa lamhe fikr k
- agr bt is k bar-aks ho tb kya?
afkar pehle se i agar musalman ho tb kya?
.
.
- page 30-37 jo k Mu'tazila per hy, ke mutale' se pata chalta hy aur Jalalpuri sabit krte hyn k Mutazila ka kirdar ahsan aur inqilab paror tha aur "Bila Kaif" yani be-choon-o-chura iman o etiqad rakhne k manafi tha. Per wo (pg. 36 pe) ye b likhte hyn k Mutazilah dar asl Mutakallim the.
(ab bat thori dagmag hogai hy. Jalalpuri ye kehti Mutakallim Bad, Mutazila Good, phir ye bhi kehte Muzaial Mutakallim hi the to … Good kya Bad kya!?) yehi bat ager chal ka Sir Syed Ahmed Khan ke saath bhi hy wo unke Azadana Fikr ki tareef bhi karte aur unhe mutakallim bhi kehte !?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...