FIKRism

Friday, December 11, 2009

Chapter 02_Mosvi Shariyat Ke Baqiyat

Musa se Marx tak
by Sibte Hassan


Chapter- 02

Mosvi Shariyat ke Baqiyat

Summary
Musvi Shariyat (kul mila kar shayad) Socialism ko tarweej deti thi per, yahudi (bani israel) jb ek bar Kan'an (Israel) puhche to Tabqati nizam banne laga, apne pehle qabila-wari aur yaksaniyat k barkhilaf ab her koi apna mal merne aur dolat kamane k peechhe lag gaya. "ab hr shakhs faqa krne ya na krne k lye azad tha. 28" . . . Iske bawajud jin logon (yahudiyon) k hath zyada mal dolat hath na ayi unko dolatmandon se koi khas shikayat na the per wo chahte the k her chez dhang se honi chahiye. "yahudi peshwa zati milkiyat k usuli tor pr khilaf na the. Albatta zati milkiyat k had se barh jane se samaji aur ikhlaqi buraiyan peda hoti hyn wo un ki muzamat krte the. Unhen malukiyat pr bi etraz na tha lekin wo chahte the k badshah apni raya ka nighabn aur muhafiz ho. Wo tijarat pesha logon k bi dushaman na the magr chahte the k ye log apne karobar mai baddayanati na karen. Wo dolatmandon se ye nhi kehte the k tm apni sari dolat awam mai taqsim krdo albatta ye zarur chahte the k dolat ka kuch hissa muhtajo, miskeeno, bewaon aur yatimo ki behbod pr bhi kharch kiya jaye. Mukhtasir ye k tabqati nizam k khlif na the bulke us mai esi islahen chahte the jin se logon ka bojh kuch halka hojaye. 31"
.
Socialism ki Ibtida Unhi yahudiyan k darmiyan basne wale kuch logon k beech se hui, jin ko Essene, Banaeen kehte the, jo 2sri sadi QM mai behre Murad ki sahili basti mai rehte the. Unki zndagi ruhbaniyat pr mbni na thi wo logon k beech mai i rehte the per unhon ne zindgi guzarne k kuch qanoon zabt kiye the, agr koi dusra bnda inke tole mai shamil hona chahe to ho sakta tha. "farqe ki rukniyat wirast mai nhi milti thi. 33". Logon ki raye k mutabik unhe ne ye tarikaye zindgi "hakeem Pythagoras ki ishtaraki bradari, ya Gautam Budh k bhakshoon ki zndagi se mutasir hokar liya. 34". Unki zndagi karib karib Vedas mazhb per mbni tha. Jahan hr chez chun wa chura SHARE hoti hy.
.
Comments
Hazrat Musa (as) jin bani israeliyo ko misr se nikal kr lae the wo registan mai puhuch kr YAKSANIYAT (wa Ishtrakiyat) per MAJBOOR the. Unhe khane k lye jo Man wa Salwa milta tha use wo zarurat k mutabik zakheera krne per Majbur the kyo k wo agle din khud ba khud kharab hone wala tha . . . Plus wo in man wa salwa ko ksi dusri chez se tabaadila b na kr skte the. Ye sb kuch FITRI usulun per ho raha tha. Aur jb wo salon bad bayabano mai rehne k bad apne wade kiye hue shahr puhche to Tabqati Nizam ne ravaj paya. Jo dobara fitri tha. Na bayabano mai unhe koi Socialism ka dars deta tha Na Shehron mai ksi ne unhi Capitalism sikhai. Musa ki shariyat Musa ki shariyat hy. Wo Socialism ka dars deti hy ya nhi. Ye alag behs hy! Jo log apne bal bote per Zindagi k kuch usool marattib krna chahte hyn unhen jan lena chahiye unke usool NAAQAS hyn tb tk jb tk wo ksi SUPER-BEING se certify na hun! Kul mila kar Mosvi Shariyat main Socialism nahi milli, un ke pass Theocracy aur Malukiyat tareekh main wazeh tor per maujood hyn. Wo 12 qabile to ek dusre ko taka bardasht nahi karte the hatta k registan main be her ek ke liye alag ‘nahar’ ka bandobast karna para (sub ek nahar se pani peene ko b bardasht nahi krte the)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...