FIKRism

Monday, December 14, 2009

Chapter 04_Aflatoon Ki Ashrafi Communism

Musa se Marx tak
Sibte Hassan

Chapter 04
Aflatoon ki Ashrafi Communism

Summary

Yunan (600-200 BC) ki ulti sulti usulon per mabni zindagi. Aur kuch logon: Suqrat wa Aflatoon k ulte seedhe waza kiye gaye usool. 'ye mansuba galat b tha aur na qabile amal bhi. 69.sibt'


Some Excerpts

--> Athenes Main (600-200 BC) Khush Ro Larkon Se Muhabbat Ka Ravaj Aam Tha Hatta Ke Saqraat (Socrates) And Aflatoon (Plato) Bhi Is Marz Se Mehfooz Na The. Page. 52

--> Arasto Pheenis Ke Saqraat Ke Khilaf Us Ke Drame Ne Bari Shuhrat Paii Bulke Moorikh To Yahan Tak Kehte Hyn Ke Naujawanon Ko Gumrah Karne Ke Jurm Main Saqraat Ko Jo Sazae Maut Mili Us Main Arasto-Pheenis Ke Dramon Ka Bara Haath Tha. 56

--> Is Drame Main Aflaas Ko Communism Ke Baais Maut Ka Khatrah Laahaq Hota Hy, Chunache Wo Apni Safai Main Daleelen Jo Deta Hy Wo Un Ulmaye Karam Ki Daleelon Se Buhut Milti Julti Hyn Jo Farmate Hyn Ke Ager Pakistan Main Socialism Aagaya Aur Aflaas Baqi Na Raha To Phir Kherat Kis Ko Dee Jaye Gee. 58

--> Is Faza Main Parwarish Pane Wala Aflatoon Ta-Dam-E-Marg Byopariyon Se Samjhota Na Kar Saka. 59

--> Aalat-E-Pedawar Aur Pedawari Rishton Main Bunyadi Tabdeeli Ke Bagair Samaji Inqilab Na Kabhi Aya Aur Na Asakta Hy. 68

--> Chunache Communist Muashre Main In Tabqon Ke Liye Koi Gunjaish Nahin Hoti Jo Mehnat Kashon Ki Jismani Aur Zehni Salahiyaton Se Faida Uthate Hyn Ya Un Per Hukoomat Karte Hyn. 68

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...