FIKRism

Tuesday, December 22, 2009

Chapter 12_Karl Marx-Bachpan aur Taleem

Chapter 12
KARL MARX - BACHPAN AUR TALEEM
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)


Summary
Marx k pedaish (5 may 1818),
Bap Wakeel,
Maa Holand k khate peete gharane se,
Sasur Umra k Tabqe se, hukumat prussia ki taraf se troy mai ek buhut bare uhde per faiz.
BV Jeni jitni tareef utni kam (page. 228)
Marx ki parhai. School, Tariyar, Bon University, Berlin University. .
Aur 23 sal ki umar mai Philosophy mai PhD
.
.
Hegel ki Philosophy
http://en.wikipedia.org/wiki/Georg_Wilhelm_Friedrich_Hegel
http://en.wikipedia.org/wiki/Hegelianism

________
Excerpts
--> Jeni Shahar Ki Sub Se Haseen Dosheeza Samjhi Jati The … 228-229

--> Anaxagorus Ka Bhi Yehi Khayal Tha Ke Kainat Per Aqal Ki Hukmurani Hy Lekin Anxagourus Usool (Aqal) Se Qudrat Ko Akhaz Nahi Karta Bulke Qudrat Ki Harkat Se Usool (Aqal) Ko Akhaz Karta Hy Aur Ye Ke Anaxagorus Qudrat Ko Aqal Ka Irtiqa Tasaur Nahi Karta. 235

--> Tasaur Paraston Ka Andaz-E-Fikr Yehi He Ke Agar Waqi’aat O Haqaaiq In Ke Nazriye Ke Tardeed Karte Hon To Us Main Qasoor Waqia’t O Haqaiq Ka Hy Na Ke Nazriye Ka. 237

--> Heagal Najawan Iraadat Mandon Ke Nazdeek Shaoor-E-Zaat Aala Tareen Uloohiyat Thee Kyon Ke Bashar Zaat-E-Khuda Wandi Ka Mazhar Tha. Is Ko Agar Apni Zaat Ka Shaoor Hojaye To Use Se Barh Kar Uloohiyat Aur Kya Ho Sakti Hy. 240

--> Democritus (460-370 BC) Ka Dawa Tha Ke Kainat Ki Her She Atom Se Mil Kar Bani Hy. Atom Na Qabil-E-Taqseem Zarrat Hyn Jo Kabhi Fana Nahin Hote. Wo Musalsal Harkat Karte Rehte Hyn Aur Un Ke Bahimi Takkar Se Ashya Banti Rehti Hyn. Her Taggiur Naam Hy Atmon Ke Ittesaal Aur Judai Ka. Democritus Ke Nazdeek Her Waqi’e Ka Ek Sabab Hota Hy Aur Her Waqi’a Qanoon-E-Qudrat Ke Mutabiq Pesh Ata Hy. Epicurus (341-270 BC) Apne Pesh Ro Atomi Falsafe Ko Maanta Tha Albatta Us Ka Kehna Tha Ke Atom Ba Wazan Hota Hy Aur Seedhi Lakeer Main Harkat Nahin Karta Bulke Kaj Ro Hy. 243

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...