FIKRism

Tuesday, December 22, 2009

Chapter 15_Marx Ka Falsifa Begangai

Chapter 15
MARX KA FALSIFA E BEGANGAI
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary
Begangai (Alienation) ki explanation. . . Jiska short cut mai mafhom ye hy k insan mai esi kefiyat peda hojati hy jis se wo apne ap se begana hojata hy. 'wo apni shakhsiyat kho deta hy.'
Rupe (Currency) ka farogh . . . Is se her chez dao pe lag jati hy, her chez bazar mai bikne lagti hy. Ek bewakuf pese se kai aqalmand khareed sakta hy aur koi namard badshakal kai khubsoorat aurten khareed sakta hy. Yane koi haqeeqat haqeeqat nhi rehti.
Iska hal Marx ne Communism mai nikala, aur communism ko irtiqa ka pehla qadam kaha aur "Communism Qaim Krne K Liye Zati Milkiyat Ko Mansookh Krna Hoga (Wo Zati Milkiyat Jis Se Nafa, Sood, Lagan Ya Karaya Hasil Kiya Jaye). 288-289"


Excerpts

--> Albatta Urdu, Hindi, Farsi, Punjabi Pashto Aur Sindhi Shaairi Ka Sub Se Mehboob Phalsiphiyana Mauzoo Wahdat Al-Wajood Hi Ka Aqeedah Hy. 271

--> Insan Apne Zaati Johar Ko Khuda Ke Supard Karne Se Baaz Aaye Heagal Ki Mannd Khuda Banne Ki Koshish Tark Kar Ke Insani Banne Ki Koshish Kare. (Foir Baakh). 273

--> Mehnat Mehnatkar Ki Zaat Se Khaarj She Hojati Hy … Page. 275

--> Aalm-E-Bashree Ki Naqadari Barahe Raast Is Nisbat Se Barhti Hy Jis Nisbat Se Aalme Ashya Ki Qadr Main Izafa Hota Hy. Zindagi Sasti Aur Cheezen Mehngi Hoti Chali Jaati Hyn. 278
____________
Marx Theory of Alienation
http://en.wikipedia.org/wiki/Marx's_theory_of_alienation

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...