FIKRism

Wednesday, December 16, 2009

Chapter 09_Bacon Ki Nai Atlantis

Chapter 09
BACON KI NAI ATLANTIS
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
Francis Bacon (1561-1626) ki khayali dunya New Atlantis.
Atlantis qadeem yunaniyon k aqeede k mutabik maghrabi samandr mai ek khushal wa muhazzab jazira tha jo pani mai doob gaya.
Bacon ka New Atlantis koi Socialism culture nhi bulke Malukiyat k usulon per chalne wala mulk hy aur log zati milkiyate b rakhte hyn per had darja ka SCIENTIFICALLY elaqa hy. Aur log buhut khushhal aur aramdeh life guzar rahe hyn.
.
Levellers ki Tehreek
Brittian (1649)
jo zameen se be dakhal hone wale kaashtkaaron ki tehreek thi.
"Ye Log Purani Maseehi Bradary Ko Az Sare No Ravaj Dena Chahte The Halanke Guzra Hua Zamana Phr Wapas Nhi Ata. 157"
"Unhon Ne 1649 Mai Do Teen Jaga Banjar Zameenon Per Qabza Kar K Kheeti Bari Shuru Ki Lekin Gaon Walo Ne Un Ka Sath Na Diya Bulke Hukumat Se Shakayat Krdi. Chunache Police Ne Aakar Unhen Mar Bhagaya Aur Diggers Ki Tehreek Ek Sal K Andr Hi Khatam Hogai. 160"

Excerpts
--> Paarsai Ka Maqsad Apni Takhleeqi Tawanai Ka Tahafuz Hy Aur Ikhlaqi Buraiyon Se Bachne Se Izzat Nafs Peda Hoti Hy. 155

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...