FIKRism

Wednesday, December 16, 2009

Chapter 10_Inqilab France Ke Naqeeb

Chapter 10
INQILAB FRANCE K NAQEEB
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)


Rousou, Mabli, Babio
French Inqilab ka maqsad France se Malukiyat, Jagiriyat aur Kalisaiyat Khtam Karna thi.
Rouso aur Mabli dono Khayali Socialist ki list main ate hyn. Jinho ne kuch IDEAS to pesh kiye the jese 'NO zati milkiyat', 'zameen sb mai masavi taqseem' per isko amali jame'a pehnane k lye aage na aye. Albatta inke AFKAR ko lekar Babiyo ne qadam aage barhaya. Khoonrezyon(bloodshed) k bad Malukiyat, Jagiriyat, Kalisaiyat khatm to hui per inki jaga jis chez (SARMAYEDARI) ne li. Is se Revolutionists ki afkar ki kulli pasdari nahi ho rahi thi. Aur Been bajta raha. Kbi been ko tor dala gaya to kbhi bjane walo ne dobara toota phoota jor kr tera mera bajate rahe... Kbhi roshni mai to kbhi andhere mai ...
French Revolution se ek faida hua k iski waja se poore Europe per buhut gehra asar para.


Excerpts
--> Sarmayadari Nizam Main (Jaageeri Nizam Ke Barkhalaf) Koi Kisi Ka Ghulam Ya Ra’eet Nahin Hota Aur Na Sarmayadar Kisi Mazdor Se Zabardasti Kaam Leta Hy Bulke Mazdor ‘Azad’ Hy Ke Sarmayadar Ki Sharton Pe Kaam Kare Ya Na Kare. 172

--> Babiyo Pehla Ishtaraki Mufakkar Tha Jis Ne Mehsoos Kiya Ke Ishtaraki Muashira Faqat Kitabi Mansoobon Se Nahin Qaim Hosakta Aur Na Ye Tareeekhi Fareeza Ko Khuda Taras Hakim Ya Phalsaphi Farmanrawa Sar Anjam De Sakta Hy Bulke Mehnat Kash Awam Hi Apni Jidojahad Se Ishtaraki Nizam Ko Nafiz Karskate Hyn. Is Bina Per Hum Bibyo Ko “Karl Marx Ka Pesh Ro” Keh Sakte Hyn. 180

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...