FIKRism

Tuesday, December 29, 2009

Chapter 21_Marx Engels aur Hindustan

Chapter 21
MARX, ENGELS AUR HINDUSTAN
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
"Marx aur Engels ne mas'la hind k baqaidah mutaila hr chnd k akhbari zaruraton k teht 1853 mai shuru kiya lekin German Ideology (1845) ko parhne se pata chalta hy k london ane se pehle bhi wo Hindustan k halat se nawaqif na the. 376"
Hindustan per jaizah, wahan ki muashi o muashrati halat, angrezon ka hindustan per qabza, aur yahan ki tehzib, saqafat, tamaddun ko tabah o brbad karna aur yahan k ZAR ko donon hathon se loot loot kar apne mulk muntaqil karna. . .


Excerpts:

--> Hindustani Maeeshat Per Bartaniya Ki Sana’ti Taraqqi Jis Tarah Asar Andaz Hoti Thee Is Ka Zikr Karte Hue Wo Isi Kitab (German Ideology) Main Likhte Hyn Ke Englistan Main Ager Naii Sana’ti Machine Eejad Hoti Hy To Beshumar Hindustani Aur Cheeni Dastkar Roti Rozgar Se Mehroom Hojate Hyn. Aur Ye Angrez Sarmayadar Sana’at Main Inqilab Lata Aur Hindustan Ko Sayasi Tor Per Apna Ghulam Banata Chala Ja Raha Hy. 376-377

--> Engels Ek Bala Ka Insan Tha (Engels Ke Tareef). Page. 377

--> (Hindustan Main) Wohi Badshah Kamyab Hua Jis Ne Aab-Paashi Ka Nizam Ko Farogh Diya. 379

--> Hamare Gaaon Aaj Bhi Sadiyon Purane Jaageeri Nizam Aur Jaageri Ravayaton Ke Gharh Hyn … 381

--> East India Company Ka Maqsad Hindustaniyon Ko Tehzeeb Sikhana Na Tha Bulke Dolat Sametna Tha. 382

--> (East India Company / Agrezon Ne Hindustan Ko Tabah O Barbad Kar Diya) Shere Aafaq Sooti Sana’at Tabah O Barbad Hogai… Angrezon Ne Hindustan Ke Saath Wo Sulook Kiya Jo Nadir Shah Durrani Aur Ahmed Shah Abdaali Jese Luteron Ke Zehn Main Bhi Nahin Asakta Tha. Unhon Ne Is Loot Ko Ek Fun Bana Diya (Sibt).
Englistan Ne Hindustani Muashire Ka Saara Dhancha Hi Tor Phor Diya …
Bartainya Ke Zer Hukoomat Ane Se Hindustan Apni Tamam Qadeem Ravayaton Aur Saabiqa Tareekh Se Kat Gaya. (Marx). 384-385

--> MARX KI RAI MAIN HINDUSTAN KE MUASHIRATI JAMOOD KA BARA SABAB YE THA K ZAMEEN KISI KI ZAAATI MILKIYAT NAHIN THEE. 386

--> Hindustan Main Railway Ka Nizam Jadeed Sana’t Ka Pesh Khema Saabit Hoga. Wahan Ke Log Jo Nihayat Mehanti Aur Zaheen Hyn Ye Hunur Jald Seekh Jayn Ge. (Marx)
Marx Ki Ye Peshgoi Harf Ba Harf Sach Nikli. (Sibt). 388

--> Beharhaal Hum Ko Is Azeem Aur Dilchasp Mulk (Hindustan) Ke Zamana Baeed Main Ahya Ki Umeed Rakhni Chahiye Jis Ke Nek Dil Bashande Hatta Ke In Ke Past Tareen Tabqe Bhi Ataliyon (Italian) Se Zyadah Hoshiyar Aur Bareek Been Hyn. Jin Ki Ata’at Guzari Ka Azalah In Ke Pursukoon Sharafat Se Ho Jata Hy, Jinhon Ne Apni Fitri Na-Taqati Ke Bawajood Angrez Afsaron Ko Apni Dilleri Se Hearat Zadah Kardiya Hy. Jin Ka Malik Hamare Zabanon Aur Mazhabon Ka Manba’ Hy. Yahan Ke Jat Qadeem Germaon Ki Maannd Nihayat Jafa Kash Hy Aur Jin Ke Barhaman Qadeem Yunaniyon Ki Hamsari Karte Hyn. (Marx) (Ref. Colonialism). Page. 389

--> (1858) 20 Crore Hindustaniyon Ko Matee’ Rakhne Ke Liye 2 Lakh Desi Sipahiyon Ki Fauj Tayar Ki Gai Aur Is Fauj Ki Nigrani 40 Hazar Angrez Afsaron Ke Supard Hui. 389

--> Magar Desi Fauj Ko Maghribi Usoolon Ke Mutabiq Tarbiyat De Kar Angrezon Ne Hindustaniyon Ki Baghawat Ke Liye Khud Hi Haalat Sazgar Kardiye. Jis Tarah Ke Sarmaya Dar Mazdoron Ko Factory Main Lakar Apni Qabr Khud Khodta Hy. 389

--> Marx Aur Engels Ne 1850 Se 1864 Ke Darmiyan Ke 14 Baras Tasneef O Taleef Main Guzare Aur Sayasi Sargarmiyon Main Buhut Kam Hissa Liya. 393

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...