FIKRism

Monday, December 14, 2009

Chapter 06_Mazduk ki Tehreek

Musa se Marx tak
Sibte Hassan

Chapter 06
Mazduk ki Tehreek = مزدک کی تحریک

Summary:
Iran mai qareeb 200 to 600 AD tk mukhtalif logon ki Ishtarakiyat se milti julti tehreeken. (Mani 215-279, Mazduk 460-529, Babuk Khurmi 9th century)
Ye tehreeken bhi Yunaniyon ki tarah ulti seedhi usulon per mbni thi. Per naara ek hi tha Sub Barabar . . . Hatta k aurat bhi amwal ki tarah ksi ki milkiyat na samjhi jaye. Sub aurten sb ki milkiyaten hyn. Per ye ISHTIMAL E NISWAN ke usool purane zamane mai zyada herat kunindah nhi. Kyon k Sibte Hassan k baqol (page. 108-109) "ye ishtimale niswan ki tableegh ka ittehmam sar ta sar be bunyad hy halanke hum jante hyn k insan k blkul ibtidai dor mai jb qabila ek wehdat tha. Shohar aur Bivi ka rishta maujood na tha. Sparta mai aj se faqt 2000 hazar sal peshtar ishtimal e niswan ka ravaj tha. Khud Aflatoon ne apni kitab REPUBLIC mai isitimale niswan ki tajweez dee thi, ab se 20 25 baras pehle tk amrica aur bartania mai aye din esi kitabn shaya hoti theen jin mai bare wasuk wa yaqeen se dawa kiya jata hy k Roos mai ab khandani zindagi khatm hogai hy. Jo mard jis aurat se chahta hy mubashirat krta hy. Aur jo aurat jir mard k sath chahti hy rat basr krti hy. Na bhai bhen ki tameez baqi hy aur na bap beti ki. Na koi shadi krta hy na bachon ko ye khabar hoti hy k un ka bap maan kaun hyn. . . Saasani muashre mai aurat ki hesiyat gulamon se badtar thi. Amra aur Mobidon ki mehlon mai shadi shuda aurton, kaneezon aur dashtaon ki rel pel rehti thi lehaza mumkin hy Qubad ne in aurton ki azadi k lye koi qanooni iqdam kiya ho."

Some Excerpts of Chapter

--> Iblees ki Majlis-e-Shora by Iqbal
(mukammal 'Iblees ki Shora' parhne ke liye is link per click karen)

وہ یہودی فتنہ گر، وہ روحِ مزدک کا بروز
ہر قبا ہونے کو ہے اس کے جنوں سے تار تار
زاغِ دشتی ہو رہا ہے ہمسرِ شاہین و چراغ
کتنی سرعت سے بدلتا ہے مزاجِ روزگار
فتنہ فردا کی ہیبت کا یہ عالم ہے کہ آج
کانپتے ہیں کوہسار و مرغزار و جوئبار
میرے آقا وہ جہاں زیر و زبر ہونے کو ہے
جس جہاں کا ہے فقط تیری سیادت پر مداد

تب ابلیس اپنے مشیروں کو مخاطب کرتے کہتا ہے ۔۔۔

دستِ فطرت نے کیا ہے جن گریبانوں کو چاک
مزدکی منطق کی سوزن سی نہیں ہوتے رفو
کب ڈرا سکتے ہیں مجھہ کو اشتراکی کوچہ گرد
یہ پریشاں روزگار، آشفتہ مغز، آشفتہ ہو
ہے اگر مجھہ کو خطر کوئی تو اس امت سے ہے
جس کی خاکستر میں ہے اب تک شرارِ آرزو
جانتا ہے جس پہ روشن باطنِ ایام ہے
مزکیت فتنہ فردا نہیں، اسلام ہے

--> Iqbal Ne Is Nazm Main Chaar Muashiron Ka Zikr Kiya Hy. Awwal Jamhoori Muashira Yaane Sarmayadari Nizam, Doim Ishtaraki Nizam, Soim Fascisti (Fascism) Aur Chahrum Islami Nizam.
Wo Sarmayadari Aur Fascism Ko Ibleesi Nizam Tasaur Krte Hyn Aur Ishtarakiyat Aur Islam Ko Ibleesi Nizam Ki Zid.
Magar Un Ka Khayal Hy Ke Mustaqbil Mian Ibleesi Nizam Ka Khatma Agar Hoga To Islam Ke Hathon Na Ke Ishtarakiyat Ki Badolat.
Ye Nazam 40 Baras Pehle Likhi Gayi Thi. Is Asna Main Dunya Main Kai Inqilab Aye Aur Ishtaraki Nizam Aadhi Dunya Mian Raaij Hogaya. Hatta Ke Kai Islami Mulkon Ne Jin Main Pakistan Bhi Shamil Hy Ishtaraki Maeeshat Ko Nasbul Ain Ke Tor Per Qabool Karliya. 98-99

--> (Zoroastrian Mazhab Main)
Mard Apni Sagi Behn Aur Doosre Maharmat Se Bhi Shadi Kar Sakta Tha, Zartushti Aqeede Main Is Qism Ki Shadi “Khoezogars / خویزوگرس” Kehlati Thi. Ye Rasm Iran Aur Misr Main Zartusht Se Buhut Pehle Se Raaij Thi Aur Is Qism Ki Shadi Ko Buhut Saraha Jata Tha. Chunache Zartushti Mazhab Ki Kitabon (اوستا اوریشنا) Main Iske Bare Fazail Bayan Kiye Gaye Hyn. 103

--> Ek Dilchasp Ravaj Ke Mutabiq Shohar Majaz Tha Ke Apni Bivi Ya Biviyon Main Se Ek Ko Khuwah Bayahta Ho Ya Kaneez Kisi Doosre Shakhs Ko Jo Inqilab E Rozgar Se Muhtaj Hogaya Ho Is Gharz Ke Liye Dede Ke Wo Is Se Kasb-E-Muash Ke Kaam Main Madad Le. Is Aarzi Azdawaj Se Jo Aulad Hoti The Wo Pehle Shohar Ki Samjhi Jati Thi. 103

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...