FIKRism

Friday, December 11, 2009

Chapter 03_Sparta Ki Fauji Communism

Musa se Marx tak
Sibte Hassan

Chapter 03
Sparta ki Fauji Communism


Summary
Sparta (Greece-Athens k junoob mai basne wale) 800-900 BC.
Sparta logon mai kuch logon k khayal k mutabik ISHTRAKIYAT thi, per ye ishtrakiyat fitri na thi bulke chand logon (Laikargas-800 bc, Argos-240 bc, Kilyomines-235bc) ki (nakam) kawishen theen,
Laikargas k zamane mai socialism k jo usool logo pe musallat the wo nihat sakht the ksi ko b apni marzi se man mani krne ki ijazat na thi. "shehryon k lye langar khane mai ek sath bheth kr yaksan ghiza khana lazmi tha. Khane mai faqt roti paneer sharab anjer sbziyan aur gosht milta tha. Hr shehri ko anaj aur dusri chezen muqarara miqdar aur maqarara waqt per langr khane ko farahm krna hoti thi warna use sheiriyat k huquq se mehrum kar diya jata tha. 39" Qadeem bashando (helots) per sakhti barti jati thi. "sparta ki ek ajeeb rawayat gulamo ka sal b sal qatle aam tha.40"
Sparta log dimag k bjai jismani tandrusti aur khubsurti ko hi madenazr rakhte the chahe us k liye kuch b kyo na krna pare (apni bv dusre se chudwani kyo na pare, behter tandurust aulad ke liye) abnormal bachun ko wo pahar se neech phenk dete the. 7 sal ki umar se larkon ko sakht jismani practices aur (fauji) khel kod seekhna. Jb k larkiyon ka b jismani etbar se pura khayal rakha jata tha. Wo larko k 7 shana b shana muqabila aur prctices krti. "sparta mai larkiyan larko k 7 mil kr gymmastic ki tarbiyat krti thin. Ye warzish wo qarib qarib barhana hokr kiya krti theen. 41" "ye ek tarikhee haqiqat hy k sparta k mard aur aurat apni tawanayi, tandrusti aur khoobroi k lye poore Yunan mai mashor the. 42"
Sparta jangi log the. Jango mai jb unhe maale ganeemat rafta rafta hath laga to un mai Capitalism me farogh paya. Aur inhi Amaideene Shahar ne kbi Socialism ko phalne pholne na diya. Kul mila kr "un ki communism dolat se mushtarka tor per lutf andoz hone se ibart thi na k communism k mutabiq mushtarka tor per peda karne se. 44"

In short: Sparta mai socialism na thi per chand logo ne YAKSANIYAT peda krne ki koshish ki jo FITRI tor per chal na payi. Albatta "zameen ki masavi taqsim, qarzon ki tanseekh aur langar khanon ka ravaj dar haqiqat socialism ki khususiyat nhin hyn bulke purane qabaili nizam ki khususiyat hyn. Ye khususiyat hamen maghrib aur mashriq k her qabaaily muashre mai nazar ati hyn. 44"

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...