FIKRism

Tuesday, December 29, 2009

Chapter 19_Communist League+Manifesto

Chapter 19
COMMUNIST LEAGUE AUR COMMUNIST MANIFESTO
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
Yahan se Kitab ka ek naya daur shuru hota hy aur Marx o Engels ka bhi.
Yahan se Sayasi (Amali) Communism ki ibtida ho rahi hy.
Jesa k pichhle chapter mai Marx bta chuka hy k Communism Society kbhi nhi bn sakti jb tk Sayasi power na hasil ho. Bus usi ki ibtida yahan se ho rahi hy.
Ek Communist League 'Insaf League' k nam se un dinon Paris Zurich aur London mai kam krti thi, per in k afkar ab tk Khayali Socialist k afkar per mbni the . . . . Waqt ki nazakat ne ksi tarah Engels o Marx ko is League se aur is League ko Engels o Marx se milwa diya . . Phr ye league Khayali Socialists k bjai Marx o Engels k Ideas ki taraf jhukne lagi. . . Aur is tarah 'Insaf League' 'Communist League' bn gai, jis k manshoor ko likhne wale Marx o Engels the.
Communism k Usool o Thoughts ko wazah karne k Liye Engels ne League k lye pehle ek Dastaweez likhi 'Aqeede Ka Iqrar' (Confession of Faith) k nam se, ye dastaweez party ki shaakhon mai phel gai aur iske charche i the k Engels ne dusri dastaveez b tayar kr li 'Communism K Usool' k nam se aur ye dastawez Confession of Faith k muqable 4 guna bari thi. "Dar Haqiqat Communist Manifesto ka pehla Masooda yehi tha. 353"
iske bad Marx o Engels mil kar Communism Manifesto likhne bheth gai jise ap Socialism ki Muqaddas Kitab keh sakte ho!
"Engels ne Manifesto k 1883 k German Edition k deebache mai likha tha k ' is Kitab ka Markazi Khayal ye hy k Syasat aur Fikr e Iqtisadiyat yane Zarooriyat e Zindagi ki Pedawar us Samaji Dhanche per Mbni hoti hy, jo is Pedawari Nizam ka Lazmi Nateeja hota hy. 355"
baqi chapter mai Communist Manifesto se Socialism per Etrazat k Jawabat ki Summary di gai hy, jese Kitab k pehle hisse mai Sarmayadar aur Proltaria ki Tareekh..
Kitab k dusre hisse mai, Communism per hone wale etrazat k jawab, jese Shakhsi Azadi, Zati Milkiyat, Mushtarka Bivi..
Teesre hisse mai Feudal Socialism, Darmayana Tabqe k Socialism, Borzwa (Bourgeoisie) Socialism aur Khayali Socialism ki tabqati noiyat, jis k bare mai Marx ka kehna hy k ye sb Socialisms Socialism ko khatm krne k lye bnai gai hyn. (yane Munafiq: apne beech mai reh kar Gairon k Kam Karna).
[yad rahe ooper ka sara daur 1847 ka hy, aur Communist Manifesto Marx ne Jan 1848 mai tayar kr k London bhej diya jahan se pehla German Edition Feb 1848 mai shaya hua.]

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...