FIKRism

Tuesday, December 22, 2009

Chapter 17_Pehli Tasnifaat

Chapter 17
MARX AUR ENGELS KI PEHLI TASNIFAT
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
Dono ne mil kar pehle Muqaddas Khandan (Holy Family) Feb 1845 mai likha, jis mai bara kam Marx ka tha. Aur phr Engels ne 1845 k mausme garma mai hi Englistan Mai Mazdor Tabqe Ki Halat (Condition of Working Class in Britain) likha.
Holy Family mai Marx ne Bruno Bauer k afkar ki tardeed krte hue kuch apne khayal pesh kiye hyn aur kuch chezun ki tashreeh wa tanseeh ki hy. (jin mai bunyadi chez Zati Milkiyat ka Khatma hy)
Engels ne apni tasneef mai Brittain k Proltarian (Proleteriat) tabqe ki sahi halat pesh ki hy (pesh krne ki koshish ki hy). Proltarian tbqa zyada brittain mai i paya jata tha jb k Germany mai wo na k brabar tha. Isi liye Germani mai Communism sirf Khayali/Nazrayat Communism tk i mehdood hogai thi. In nazriyat se 'Jin' ka josh ubharna tha wo zyada miqdar mai Brittain mai i paye jate the is liye Engels wahan ja kr unki halat k qareeb se sahi jaizah liya aur unki had se zyada kasamparasi wali zindagi ko logon/dunya k samne ashkar kiya.

Excerpts

--> Lekin Tabqati Jidojahad To Muashire Ke Her Tareekhi Daur Main Rahi Hy … Page.307

--> Is Nateeje Tak Puchunchne Ke Liye Bari Baaligh Nazri Darkar Nahin Ke Maadiat (Materialism) Ka Communism Aur Socialism Se Laazmi Rishta Hy. 310

--> Apni Pasand Ya Marzi Ke Kaam Mai To Insan Ko Behad Khushi Hoti Hy Lekin Jo Kaam Majbooran Kiya Jaye Wo Ek Zaalimana Saza Hy. Is Se Insan Apni Nazron Mein Haqeer Hojata Hy … Wo Ye Kaam Faqat Peson Ke Liye Karta Hy. Ek Esi Cheez Ke Liye Jis Ka Koi Taluk Kaam Se Nahin. (Engels). 316

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...