FIKRism

Monday, December 14, 2009

Chapter 05_Maseehi Ishtarakiyat

Musa se Marx tak
Sibte Hassan

Chapter 05
Maseehi Ishtarakiyat = مسیحی اشتراکیت

Summary
Hazrat Maseeh (as) ki taleemat ishtaraki taleemat na thi, albatta dolat mandon per had darje ki ta'n zani ki jati thi.
'Yasu' ne ek dolat mand ko dekh kr kaha k dolat mandon ka Khuda ki badshaht mai dakhil hone kesa mushkil hy kyonke oont ka sui k nake mai se guzr jana is se asan hy k dolat mand Khuda ki badshahat mai dakhil ho. 76. Ref. Loqa. Ch. 18'
'Injeel mai hamen qadeem socialism ka koi wazeh tasaur nhi milta. 77.sibt'
Hazrat Maseeh gareebo k beech mai i rehte the, aur gareebo ko i basharten dete the. 'mubarak ho tm jo gareeb ho kyonke Khuda ki badshahat tmhari hy. Mubarak ho tm jo bhooke ho kyo k tm aasoodah hoge. 76. Rf. Loqa. Ch.6'
aur Maseeh k 12 Hawareen b nichle tabqe se i takuk rakhte the.
is lye Maseeh (as) ka mazhab bunyadi tor per gareebon mai i phala phoola.
Maseeh k bad in gareeb aqeedatmando ne i kuch ishtaraki usoolon per zndagi guzarna shuru ki . . . (yad rahe ye Maseeh k peroon ki ishtarakiyat apni taraf se thi. Na k (kulli) mazhbi taleemat se)
Ye silsila qareeb 5vi sadi tk chalta raha . . . Jb 'rafta rafta dolatmandon ne aur khud saltanate roma k farmanraon ne eesai mazhb qabul krliya to maseehi kaleesa ka kirdar bdal gaya. Ab tk eesai padri sarkari darbar se door apni khanqahon mai rehte aur mazlumon aur muhtajon ki dil-joi krte the. . . Magar ab wo khud sahibe dolat hogaye. . . .zar o jawahhr k taj pehnne lage. . Alishan makanon mai rehte aur kaleesa ki lakhon ki jaidad ko apni tasarruf mai late the.. Pehle wo apne wa'zon mai zati milkiyat ki mazammat krte the. Ab wo zati milkiyat ko atiya khudawandi kehte aur awam ko ata'at wa qana'at ka sabaq dete the. Garzeke maseehi kaleesa saltanat ka ehm sutoon bn gaya aur iska mafad riyasat se wabista hogaya. . . . Iske baraks kaleesa ne awam ki hr tehreek ki mukhalifat hi ko apna sha'ar bna liya.83'
Jb eesiyat k alambrdar (padri) khud dolatparast hogaye to dusri chhoti chhoti jamaton ne sar uthaya jo in Padriyo ko ab (khususan) nishana bnate the . . . Is mai sub se bari inqalabi tehreek Reformation k nam se 15ven sadi mai German Padri Martin Lother k zer e qayadat wujud mai ayi, jis k nateeje mai Roman Catholic eesaiyo k khilaf Protestant firqa wujud mai aya. (page. 86-87). Per Lother ki tehreek gareebon ki tehreek sabit na hui. (kyo k Lother ne German Nawabon wa Waliyane Riyasat se rishta jor liya tha). Is lye Muenzer jo Reformation k bare rehnamaon mai se the Martin Lother se alag hoke German Kisano ki inqalabi tehreek mai shamil hogaya.
Baqi ka kam Muenzer ne khub kiya. 'Muenzer bara roshan khayal padri tha. Wo tasof ki taraf mail tha. 88'. . . Muenzar ki taqareere parhne laiq hyn. (page. 88 n 89-90). Muenzar ne 8 hazar kisanon ki fauj tayar ki aur waliyane ryasat ki fauj se larne per amada kiya. '16 may 1525 ko ghamsan ka ran para. 92' magar 5 hazar kisan mare gaye aur Muenzer ko pakar kr chakki mai pees kr halak kr diya gaya.

In Short. Eesai tableeghat kya kehti hyn wo column k shuru mai bayan kr diya gaya baqi ki events logon ki apni soch ki Pedawar se peda hue!

Some Excerpts of Chapter

--> Yasoo’ Ne Ek Dolat Mand Ko Dekh Kar Kaha Ke Dolat Mandon Ka Khuda Ki Badshahat Main Dakhil Hona Kesa Mushkil Hy Kyon Ke Oont Ka Sui Ke Naake Main Se Guzar Jana Is Se Asan Hy Ke Dolat Mand Ka Khuda Ki Badshahat Main Dakhil Ho. 76 (Ref: Loqa – Ch. 18)

--> “Injeel Main Hamen Qadeem Socialism Ka Koi Wazeh Tasaur Nahin Milta. Hazrat Maseeh Na Tabqati Imtiyaz Ki Mukhalifat Karte Hyn Na Zameen Ko Dehqanon Main Taqseem Karne Ka Mashwara Dete Hyn Aur Na Masawat Ki Talqeen Karte Hyn.” . 77

--> Budhmat Ke Saadhuon Ka Tirz-E-Muashirat Bhi Isi Qism Ka Tha. Lehaza Ibtidai Daur Ke Eesai Peshwa Aur Un Ke Mureed Agar Ishtaraki Andaz Se Zindagi Basar Karte The To Ye Koi Anokhi Baat Na The Aur Na Us Se Ye Nateeja Akhaz Karna Chahiye Ke Unhon Ne Ishtaraki Nazriyat Ko Qabool Karliya Tha. Unhon Ne Zarooratan Esa Kiya Tha Na Ke Aqeedatan. 78

--> Maseehi Kaleesa Main Jo Bajaye Khud Ek Slatanat Ban Gaya Tha. Taqreeban Hazar Baras Ke Baad Ek Zabardast Inqilab Aya. Is Inqilab Ko REFORMATION (Islaah) Kehte Hyn. Reformation Bazaahir Mazhabi Lekin Dar Haqeeqat Europe Ki Ubharti Hui Sarmayadar Qaumi Rayasaton Ka Kaleesai Iqtidar Ke Khilaf Muashi Aur Sayasi Ehtejaaj Tha. Is Tehreek Ka Sarghuna Martin Lothar Ek German Paadri Tha, Is Tarah Roman Catholic Ke Jawab Main Protestant Firqa (Ehtijaaji Firqa) Bana. 86-87

--> Moenzar Bara Roshan Khayal Paadri Tha. Wo Tasof Ki Taraf Maail Tha. 88


سود، چوری، ڈاکہ اور قتل کا اصل سر چشمہ یہی افراد ہیں جنہوں نے خدا کی تمام مخلوق کو اپنی قبضےمیں لے یا ہے۔ پانی میں رہنے والی مچھلیوں کو، ہوا میں اڑنے والے پرندوں کو اور زمین میں اگنے والے پودوں کو۔۔ اور یہی غاصب لوگ غریبوں سے کہتے ہیں کہ "تم چوری مت کرو۔" حالانکہ خود انہوں نے سب چیزوں کو غضب کرلیا ہے اور کاشت کاروں اور ہنرمندوں کو لوٹ لیا ہے اور اگر ان کچلے ہوؤں میں سے کسے بیچارے سے ذرا لغزش ہوجایے تو اس کو پھانسی دے دی جاتی ہے اور لاٹ پادری 'آمین' کہہ کر اس کی روح کو ثواب پہنچاتا ہے۔ آقاؤں نے خود ایسے حالات پیدا کیے ہیں جن میں غریب آدمی ان کا دشمن بننے پر مجبور ہے اور اگر انہوں نے عوام کی بے چینی کے اسباب دور نہ کیے تو حالات کی اصلاح کیسے ہوگی۔ اے میرے شریف زادو! جب خدا ان پرانے برتنوں کو لوہے کی سلاخ سے توڑے گا تو وہ منظر بھانک ہوگا اور جب میں یہ کہتا ہوں تو مجھے باغی قرار دیا جاتا ہے۔ مؤنزر 89-90"

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...