FIKRism

Tuesday, December 22, 2009

Chapter 14_Jalawatni Paris Mai

Chapter 14
JALAWATNI - PARIS MAI
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary
Arnold Ruje k kehne per ek nazrayat risala nikalna jo france se shaya hoga. Marx france (paris) chala gaya apni no byahi bv ko lekar -nov 1843. Risala to nikla (Germani Francisi Risala) per iska pehla addition i akhri edition sabit hua. . . Ruje aur Marx mai kuch mazriyat per samjhota na ho saka. . . Is risale mai ek gair maroof naujawan Friedrich Engels k bi 2 mazmun chhape. "Iqtisadiyat ki mubadiyat ka tanqidi jayza" aur "karlail ki kitab". Marx Engles k Iqtisadiyat k mazmun se kafi mutasir hua. Aur Iqtisadiyat k sabhi bare bare alimon (adamsmith, ricardo, mclosh, se, fredrick list aur james mill) parh dale. . .
"Marx ka khayal tha k Iqtisadiyat, Ikhlaqiyat, aur Syasat per chhote chhote risale likhe . . . 267"
Marx ne inper likhna to shuru kiya per hatmi shakal na de saka aur iska ye adhora work buhut der 1932 mai Moscow se shaya hua. In sifat ka markazi khayal Begangai Zaat (Alienation) ka filsifa hy. Jo agle chapter (Marx Ka Falsifa e Begangai) mai bayan hoga. .


Excerpts
--> Halaanke Mustaqbil Afrad Ki Khuwhishon Se Nahin Bulke Haal Ke Taqazon Ke Batan Se Peda Hota Hy …
Hamare Islah Pasand Ehbaab …. Page. 265

--> Hamen Kisi Naye Usool Ya Nazriye Ki Peghambri Ka Dawa Nahin Karna Chahiye Goya Hum Keh Rahe Hon Ke Dekho Ye Hy Sadaqat – Is Ke Saamne Jhuk Jao Aur Is Ki Ibaadat Shuru Karo. 265

--> Magar Marx Ek Do Mazmoonon Se Mutmain Hone Wala Insan Na Tha. Wo Us Waqt Tak Kisi Mas’ale Per Raye Dene Ya Likhne Ka Qail Na Tha. Jub Tak Us Per Poora Uboor Na Hojaye. 266

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...