FIKRism

Friday, December 25, 2009

Chapter 18_Tareekhi Madiyat

Chapter 18
TAREEKHI MADIYAT KI TASHKEEL
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
Insani Tareekhi Irtiqa ka .. Syasi, Iqtisadi, Muashi, Muashrathi, Samaji, Rayasati.. hawalon se Sahi Rukh awam k samne pesh karna, aur ab tk jitne bhi in hawalun se topi drame hue hyn unki khoopri dikhana.
Khususan 'German Idealogy' per kuch tabsire, jo Marx Engels ki mushtaraka tasneef thi per syasi maslihat k bina per un ki zindagi mai shaya na ho saki. (1932 mai Moscow se German Ziban mai shaya hui).
Prodhan ki theorhies wa falsify per Marx ki Tanqeed, jis ka kehna tha Maushre ki Islah Inqilab se nahi bulke muashre se Bure Pehlu ko nikal kr kiya jaye (Philosophy of Poverty).. jb k Marx ka kehna tha Bure Pehlu ko akele sar nhi nikala jasakta isko Jar Se Katna hoga. (Poverty of Philosophy).


Marx: Historical materialism - Wikipedia
http://en.wikipedia.org/wiki/Historical_materialism


Excerpts:
--> Her Muashire Ki Zindagi Ki Asaas Is Ka Tareeqa Pedawar Hy Aur Wo Samaji Rishte Hyn Jo Pedawar Ke Dauran Main Insan Insan Ke Darmiyan Qaim Hote Hyny. 323

--> Insan Ki Mehnat Se Wujood Main Aane Wali Dunya Insan Se Peshtar Ke Nature Per Ab Bilkul Haawi Ho Chuki Hy. 326

--> Darasal Har Ubharta Hua Tabqa Barsar-E-Iqtidaar Tabqe Ko Gadi Se Hatane Ki Koshish Mai Apne Mafad Ko Poori Muashire Ke Mushtarka Mafad Ka Rang De Kar Pesh Karta Hy. Wo Apne Khayalat Ko Afaaqi Sadaqaton Ka Numaindah Zaahir Karta Hy Aur Dawa Karta Hy Ke Ye Khayalat Ma’qooliyat Sur Sacchai Ke Pekar Hyn. 331

--> Khayali Sochialiston Ke Nazdeek Communism Arzi Jannat Ka Tasaur Tha. … Marx Aur Engels Ke Nadzeek Communism Nateeja Hy Muashire Ke Tareekhi Irtiqa Ka Aur Is Ke Kuch Qaaide, Kuch Sharten Hyn. “Communism Hamare Liye Koi Soorat-E-Majra Nahin Hy Aur Na Koi Ideal Hy Ke Haqeeqat Ko Is Se Ham Ahang Kar Pare. Hum To Communism Ko Haqeeai Tehreek Samjhte Hyn Jo Maujoodah Soorat-E-Haalat Ke Tanseekh Karti Hy.” … Magar Commuinst Society Qaim Karne Ke Liye Laazmi Hy Ke Proltaria (Proleterian) Tabqa Inqilab Ke Zariye Sayasi Iqtidar Haasil Kare. Haakimiyat Ke Liye Jidojahad Karne Wale Her Tabqe Per Ye Farz Aaid Hota Hye Ke Sub Se Pehle Syasi Iqtidar Per Qabze Kare. (Ref: German Ideology). 335

--> Magar Kisi Cheez Main Qadr (Value) Kese Peda Hoti Hy?
Aur Is Qadr Ka Naapne Ka Pemana Kya Hy?
Bartaniya Ka Mashhoor Aalim-E-Iqtisadiyat Ricardo Kehta Hy Ke Ashya Ki Qadr Ashya Ki Pedawar Main Sarf Hone Wali Mehnat Ki Miqdar Se Mutaiyin Hoti Hy. Kisi She Ki Qadr-e-Tabadila Ka Pemana Us Ki Afadiyat Nahin Hy Halanke Bazar Mian Bikne Wali Her Cheez Main Afadiyat Ka Hona Zaroori Hy. Warna Is Ko Koi Na Khareede. 348

--> Manifesto Socialist Literature Ke Sub Se Maqbool Aur Sub Se Aalamgeer Tasneef Hy. Communist Manifesto Pehli Kitab Hy Jis Main Scienci Socialism Ke Bunyadi Usool Bari Wazahat Se Marboot Tareeqe Per Bayan Kiye Gaye Hyn. 354

--> (Marx Ne) Ye Baat Wazeh Kardee Ke Inqilabi Amal Itna Hi Zaroori Hota Hy Jinta Inqilabi Nazriya Waza’ Karna Ya Kitaben Likhna. Unhon Ne 1848 Tak Apna Zyada Waqt Scienci Socialism Ke Usool Waza’ Karne Main Sarf Kiya Tha. 1848-1849 Ke Darmiyan Muddat Unhon Ne Un Usoolon Ko Syasi Zindagi Ki Kaswati Per Parakhne Main Guzar. 373

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...