FIKRism

Tuesday, December 29, 2009

Chapter 22_Pehli International

Chapter 22
PEHLI INTERNATIONAL
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
'pehli international' dar asal ek association thi "jis ka poora nam 'International Working Mens Association' tha, 28 Sept. 1864 ko London mai Angrez, Francisi aur German mazdooron ke ek azeem ul shan jalse mai qaim hui, ye jalsa Francisi mazduron k ek khair sagali wafd k ezaz mai hua tha. 396"
Marx kareeb 14 sal bad kisi amali kam mai hissa le raha tha is niyat k sath k shayad ye tanzim waqai kuch kar pae jese wo khud ek khat mai etraf krte hyn, "her chand k mai barson se tanzimon mai shirkat se barabar inkar karta raha hun lekin is bar mai shareek hua hon kyon k mujhe sahih mana mai kuch achha kam karne k imkanat nazar arahe hyn. 397"
Ye tanzim koi ek fikr o khayal k logon ki na thi bulke is mai mukhtalif Sociolists Soch rakhne wale bande shamil the .. is hisab se khud is tanzim ki kya Soch honi chahiye ye Vague sa tha.. per Marx ne apni Soch thoopne k bjai "International k qawaid o zawabit tayar kiye wo jamhoori usoolon k ain mutabik the take kisi gurooh ko haq talfi ka shikwah na ho. 379"
International ki gaadi chal pari aur tanzim mukhtalif jangon(wars) mai kaam ayi aur bilakhir "Paris Commune ki nakami ki waja se international ki tanzim para para hogai. . . Lehaza July 1876 mai isko khatam kardiya gaya. Albatta saat aath saal k mukhtasir muddat mai international ne mazdoor tehrek ki jo khidmat ki use bhulaya nhi ja sakta. 401"

Excerpts:
--> Wohi Inqilabi Nazriya Durust Tha (Hy) Jo Zindagi Ki Thos Haqeeqaton Se Akahz Kiya Jaye Na Ke Hamari Zaati Khuwhishon Ka Aks Ho. 395


First International - wiki
http://en.wikipedia.org/wiki/First_International

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...