AFM-Jalalpuri.
2. Ye Ke Be Rahravi Ka Nam Azadi Hy
[Insan Majboor Hy Ya Mukhtar]
.
My Comments:
Insan ko majboor to ksi b halat me keh i nahi sakte, warna systen me malfunction ajayega. [Me ksi ko thapar maron, aur mujh per koi ilzam nahi, kyon k main majboor hon, jawabi karwai me main thapar khaon, us per koi ilzam nahi wo majboor hy. Koi ksi ka qatl karde, koi ksi ka rape kar de, koi ksi ka maal harap kar jaye, koi ksi ko thug jaye, naptol me kami, bemani, zulm, fasad, . . . Sb OK hy kion k sub Majboor hyn !!! Insan k majboor hone se dunya k sare Qanun wanun bekar hojayen!]
To kya insan Mukhtar Mahz hy!?
Insan apne afa'aal me Mukhtar Zaroor hy.
Per iske Ikhtyarat overall buhut mehdood hyn... Insan ko ye ikhtiyar nahi k wo apni aql apni marzi se jitni chahe barha sake, ye ikhtiyar nahi k apni rang, nasl, tehzib, saqafat ko badal sake, ye ikhtiyar nahi k apne beemariyon se kulli diffa kar sake, ye ikhtiyar nahi k apni khushi, musarrat, aram ko barha sake/ peda kar sake . . . Is persepective se insan apne ap ko hr jhaat se majboor dekhta hy!
Insan Majboor Mukhtar hy !
Insan mehdood limit me rehte hue mukhtar hy. Ager hr chez insan k ikhtiyar me ho to insan insan i na rahe.. (Khuda bn jaye!)
Insan k Ikhtiyar me sirf itna i hy jitna wo ABHI kar sakta hy!
.
AZADI kya cheez hy !?
Azadi ka concept basically Psychological hy, same kefiyaat me mukhtalif log, aur mukhtalif kefiyaat main same logon ka point of view mukhtalif/same ho sakta hy. Ek qedi bnd kamre me apne ap ko qad/qedi samajhta hy, jb k jo azad log bnd kamron me profesionaly kam krte hyn wo apne ap ko qedi nahi samajhte, ek admi khuli faza main, apne mahol, ghar, shehr waghera me qedi samajh sakta hy jb k ek qedi khuli faza me reh kar shayad apne ap ko azad samjhe !
Baqi ager Azadi ka mtlb sb ehkamat, usolon, qawanin se mawura hona hy to (ye kefiyat wohi majboor mahaz wali hy; jis me insan her chez krta tha aur iska reason jabriyat pe lagata tha. Ab bus reasoning badal gai aur Azadi hogai.) sb se pehle insan ko samajhna chahiye k wo kulli azad ho i nahi sakta, (jismani biological jabriyat k elawa) kam az kam apne dimag ka qedi zaroor hota hy, phr ye dimag hr ksi ko raahe haq ka rasta nahi dikhata. Is liye her ksi ko un ke apne apne dimag k bal bote pe nahi chhora ja sakta! (warna koi insan sardiyon main ksi soye hue insan ko utha k nadi me pehnk ayega, aur ager poocha jaye kyon? To wo bolega bs mera dil (dimag) keh raha tha! Aur is per koi pakkar dhakkar b na honi chahiye kyon k insan Azad hy!) phr hm waheen puhunch jayenge k koi kuch b kare (Azadi k nam per) aur koi poochh ghachh nahin !
[is liye koi insane Azad nahien reh sakta aur use Azad chhora bhi nahi ja sakta, uski sahi Azadi is Dunya main reh kar Qawanin ki hudood main reh kar ee hy!]
.
Insan sb se Best tbhi hy jb Sahi Qawanin k matehat (muqallid o muqeed) ho!
Per sb se bara sawal, ye qawanin banayega kon ? Un qawanin k sahi o galat hone per kon Certify kare ga. (ek amal ek logon k liye izzat afzai o musarrat wala to same amal dusron k liye tehqir o tazlil ka baais) to kon sahi kon galat? Is ka mayar kon muaiyyan karega. Aur jo muaiyyan karega us per dobara same ungli uthegi (wo kon hota hy muaiyyan karne wala) . . .
Is ke liye koi esi Taqat ho jo insanon se Balatar ho aur Sahi o Galat ki tameez Azal se rakhti ho, tb log uske Ehkamon ki pervi karain wo b Jabran ya Majbooran nahin bulke khushi aur raza se . . . Aur ye baat kehte hue hm Mazhab tk puhunch jayenge . . .
[bgair mazhab ke koi ek qanoon nahi, koi ek falsafa nahin, koi ek leader nahi, koi follower nahi, hazar raste, hazar leader, hazar qanoon, .. aur phir ahista ahista ye baat barhte barhte fard tak aa puhunchegi, phir ek fard, khud ee leader, khud ee follower, khud hi ee qanoon. … matlab koi Qanoon nahi Bus Azadi ke naam per Afra Tafree …]
___________________
[written on April 02 2010]
No comments:
Post a Comment