Khandan, Zati Milkiyat aur Ryasat Ka Aghaz - Engels
My Views, Explanations, & Critics
گوت سے باہر شادی
Got Se Bahar (bhaga kr) shadi krne ka ravaj yaqinan Pidri zamane se mansalak raha hoga, jb aurat ko milkiyat samajh k mehsoor kr liya gaya. Zahir si bt hy 'Qed' se bhagaya tbhi jayega jb wo mehsoor hogi.
Ye bat bhi nhn bholni chahiye k Bhaga Kar Shadi karne ka concept/maqsad/reason Ehde Jahalat me "Shuja't" se raha hy!
Tazveej ki liye darkhast bhejna Muhazzib muashre ka kam hy. Jahil k liye ye amal Buzdilana hy, aur agr uska Bap Na krde to is Na ko sehna aur bhi Na-Qabile-Bardasht bn jata hy. Is liye behtar yehi hy k pehli fursat me bhaga liya jaye.
Ehde Jahalat me Tazveej ki Darkhast bhejna sirf bhejne wale k liye ee sharamsari ka bais nhn bulke Recieve krne wale k liye bhi Zalalat ka sabab tha. Ye bilkul ese i samjha jata hoga jse shadi ki darkhast shadi ki darkast nhn bulke ap ki larki ko ch*d** ki darkhast ho! Phr esi surat me koi kese ise qubol kr sakta hy.
Yaqinan 'Shadi' ka concept sirf Qabile k andar hi rehta hoga. Aur agr dusre qabile ki larki pasand ajaye to phr Bhagane k elawa aur koi rasta nahien.
Dusre Qabile me Larki ko tazvej k liye dena esa tha jse usko Prostitution k liye diya jaye (ya us se b bdtar), aur apne Qabile ki beizzati krwana aur dusre qabile k bala-dasti qabol krna.
Aur bhag jane wali/bhaga ke le jane wali larki esi samjhi jati thi jese unke liye mar gayi.
Aur bhaga k le ane wale qabile k liye wo larki ek fatah, bahaduri aur us qabile per fatah ki alamat bnti thi.
Got se bahar shadi me bhagata hamesha Mard i tha is liye ye bat khud is bat ka suboot muhya krti k ye amal Pidri zamane se mansoob tha/hy!
(doossri soorat main aurton mardon ko bhaga ke lejati/leaati!)
Pidri zamane me Larki chonke Milkiyat hy / Khazana hy aur Milkiyat ko mufat me Ghair ko dena.. koi aqalmandana qadam nhn. Jesa k jang o jadal larai jhagron ko khatam krne k liye qisaas ke tor per bhi qurban ki jati.! (kyon k wo milkiyat hy!).
Madri zamana yaqinan 'Khandan' se pehle ka hoga. Js muashre me Mard Azad o Beparwah hoga. aur Aurat js se / ko Chahti sex krti hogi. Aur Bache palti hogi. Usko iski parwah na hogi k jis mard se isne sex kiya aya wo iske sath rehta hy ya chala jata hy.
--------------------------------------------------
Excerpt:
"Ehde Wehshat, Ehde Barbariyat Aur Ehde Tehzeeb, In Teen Khaas Doron Main Qudratan Morgan Ka Taluq Mahz Pehle Do Se Aur Us Uboori Dor Se Hy Jo Teesre Ehd Ki Taraf Le Jata Hy. “Alime Firtrat Per Insane Ki Sari Bartari Ka Daromadar Is Bat Per Hy Ke Zaraye Zindagi Ki Pedawar Main Is Ne Kitni Maharat Hasil Ki Hy. Insane Hi Ek Esi Hasti Hy Jis Ke Bare Main Kaha Jasakta Hy Ke Us Ne Ghiza Ki Pedawar Per Poori Qudrat Hasil Karli Hy. Insane Ki Taraqqi Ki Bari Manzilon Ka Kam O Besh Barah Rast Taluq Zaraye Zindagi Ke Waseelon Ki Tausee Ke Sath Hy. – Morgan” … Khandan Ka Irteqa Bhi Is Ke Sath Sath Hota Hy Lekin Hamain Esi Koi Qataee Bunyad Nhi Milti Jis Se Mukhtalif Adwar Ki Had Bndi Ki Ja Sake" 22
Sirf Ehde Tehzeeb hi me insan ne 'Ghiza Ki Pedawar Per Pori Qudrat Hasil' Ki. Aur Khandan ka Irteqa bhi isi dor se shuru hoti hy.
Engels kehte hyn k Morgon ka focus Ehde Wahshat aur Ehde Barbariyat se hy.
Morgon k Quotes me Ghiza k Pedawar k sath Khandan k Irteqa ki bat ki jati jo k Ehle Tehzib se wabasta hy!
ho sakta hy Adwar 3 hyn bulke sirf 2 hyn. Wahshat o Tehzib. Barbariyat mahz in 2 adwar k bech me transformation ka dor raha ho. Is hisab se Engels ki bat k barkhalaf hame Adwar ki Had Bandi ka bhi surag mil jata.
--------------------------------------------------
Excerpt:
"Europe Walon Ki Fatah Ke Waqt Tak America Ke Log Kaheen Bhi Is Dor Se Aage Nahien Barhe The. Amrica Me Rehne Wale Indiano Ka Jb Pata Chala To Us Waqt Wo Ehde Barbariyat Ke Ibtidai Dor Me The." 25
aakhir kya waja hy k dunya k 2 bare khaton me itna zyada faraq paya gaya? Jahan Mashriqi Bar Azam ki taqribn sbhi qoomen khud ko ksi na ksi zamane me Ilmi Inqalabat pesh kiye. Hatta k ye khata itni taraqqi kr chuka k bare bare jahaz bna k dor daraz k elaqe fatah krne laga. Aur tb tk Amrica apni barbariyat tk se bahar nhien nikla?
Kya iska sabab kuch aur hy ya mazhabi etbar se ye kahen k Khuda ne is khate me apne koi Peghambar nahien bheje!
--------------------------------------------------
Excerpt:
Incest. "Phir Bhi Bhaiyon Aur Behnon Main Jinsi Taluq Ki Samaji Mamaniat Ki Waja Se Ab Rishte Ke Bhai Behn Jo Ab Tak Bila-Imtiaz Apne Bhai Behn Samjhe Jate The, Ab Do Darjon Main Bat Jate Hyn, Kuch To Pehle Ki Tarah Ham-Jadi Bhai Behn Rehte Hyn." Page 40
Mere khayal se Incest ki practice ko insan az-khud kbhi khatam nhn kr skta tha.
Mukhtalif qabail mukhtalif zaman o makan k logo k liye chahe is ki prchtice mukhtalif sorton me rehti Per mojood rehti.
Isko bilkul ek Usool bna k khatam karna Taleem k bgair mumkin nahien!
--------------------------------------------------
Maa ki Kifalat. Bap ki Gair Mojudgi.: “… To Larki Ki Ma Ne Muskarte Hue Jawab Dia Ke Is Ka Koi Bap Nahi, Ye Ek Ittefaq Ki Pedaish Hy… (Aksar) Bache (Sirf) Apni Maon Ko Jante Hyn Kyon Ke Unki Parvarish Ki Sari Zimme Dariyan Ma Per Hoti Hyn. Wo Apne Bap Ko Bilkul Nahi Jante Aur Shayad Aurat Ko Kabhi Ye Khayal Bhi Nahi Ata Ke Is Ki Ia Us Ke Bachon Ki Koi Zimme Dari Bap Pr Hy.” 52
Shayad zamane ke guzarne ke saath, ye bat zyada wazeh hoti chali gayi ke ek aurat ka apne ghar-bar bachon ke parvarsih karna mushkil hojayega, to Fitrat ki taqazon ki that Pidri zamane per zor diya jane laga, aur Khandan aur Bap ko apne bachon ki nan-nafaqe ka zimmdar therya jane laga…
--------------------------------------------------
Children: A Bond
Insan k agr nafsiyat se bat karain to insan ko apne bachon se nihayat ulfat rehti hy. (dusre janvaro ki trah)... aur ye bache ma aur bap k bech me ek sakht bond ka kirdar ada krte. Agr mard aurat ko chhorna chahe ya aurat mard ko chhorna chahe to Bachon ki mojodgi unhe ek dusre k sath bond ki tarah milai rakhti hy.
Male x Female = ?
mard aur aurat ko fitri aur nafsiyati apas me ek esa ulfat ka relation js k bgair insan ki survival na-mumkin hy. (blke ksi bhi heterosexual no' ki namumkin hy.)
Quran ki ro se agr bt karain to Khuda kehte “Aur Wohi Hy Jis Ne Tumhe Ek Jaan Se Peda Kiya Aur Usi Main Se Uska Jora Banaya Take Wo Us Se Sukoon Hasil Kare” –Surah Araf Ayat 189.
is liye mard o aurat ka inependenly separate hokar rehna ek gair fitri o gair nafsiyati pehlu hy!
Group
insan ka groups me rehna ek fitri amal raha hy. Khususan purane zamane me jb wehshi janvaro se bchao aur mil kr shikar krna, yane offense o defense dono k liye ye ek karmudah strategy hy. Aur groups me rehne ka ek faida 'Khauf' pe qabu pana b raha hy.
Is liye awaili dor me hi insan ne ek sath rehne ki afadiyat jan li thi.
Is etbar se Khandan ki definition mukhtaif adwar aur mukhtalif qabail k liye mukhtalif rahi ho per EK SATH rehna insan k fitrat o soch me hamesha raha hy.
Aur iske kai faide the/hyn 1 7 mil kr i shikar kiya ja sakta hy, 1 7 mil kr i bchao kiya ja skta hy, 1 7 mil kr i apne gharon k bahar boundries khenchi ja sakti hy yani pre-planed strategy bnai ja sakti hy, aur 1 7 mil kr i apne bachon ki sahi parvarish ki ja sakti hy, 1 7 mil kr chopai ki dkh bhal ki ja sakti aur 1 7 mil kar kheti bari ki ja sakti.
Evolution ko agr bech me layen to Survival of Fittest tbhi kam karega jb insan is strategy ko apnai.
[aj bhi isi usol pe amal krta, shahar goth bastiyan groups me ek jaga rehna i hy1]
Khandan bnane ki ibtida yaqinan Zarkhezi (kheti bari) ki Eejad se wabasta rahi hogi.
Kyon k is amal me jabran ek jaga tik k rehna parta tha.
Yaqinan is 'Khandan' ki definition ek mard ek aurat aur bache nhn hogi bulke 'ek maqsad' k liye ek jaga tik kr rehna aur us maqsad ko 'defend' krne k liye men/women-power ko istimal krna aur barhana, k mafhom me ata hoga!
Yane shuru me Kai Mard o Aurat Ikatha Ek Jaga Ek Maqsad k liye Sukoonat Ikhtiyar karte the. Jisko Qabila ya Khandan ka nam diya gaya.
Phr is Khandan me Sex o Shadi ki munasbat se Family ki definition me variations peda hote chale gaye.
--------------------------------------------------
Excerpt:
'Bare Pemane Ki Sanat Ne Aurat Ko Ghar Ki Char Diwari Se Nikal Kar Mehnat Ki Mandi Me, Karkhane Me Puhuncha Diya.'73
-ye wese ek ajeeb lamhe e fikr hy k agr aurat char diwari me rehti hy tb hi aurat k huqooq ki pamali hoti hy. Aur agr aurat 4 diwari me na rahe to phr ye kehna k Bare Pemane ki Sanat ne use Mandi tk puhuncha diya!!
Esa lagta Log (leaders) mahz apne maqsad (theory) ko sahi samjhane ke khatir kabhi aurat ki ‘azadi’ ko kan se pakar kar idhar kheenchte to kabhi udhar …
--------------------------------------------------
Excerpt:
'Yak-Zojgi Ke Do Luwazmat Hyn Jo Mustaqil Tor Per Is Ke Sath Lage Rehte Hyn, Ek Zinakari Aur Dusre Hetaerism (Kai Aurten Rakhne Ka Ravaj). Aur Mazdor Ki Zindagi Me In Dono Ke Liye Taqriban Koi Jaga Nahi Hoti.' 74
-pehli bt hr qaum qabile k liye valid nhn, shayad ye bt us dor k German/American muashre k munasbt se likhi gai hy.
Dusri bt mazdor koi itna nek khaslat nhn hota k wo (yak zojgi ka ek br kulia bnane k bd) is se mustasna rahe. Han ye kaha ja sakta hy k use Halate Zindagi (Tang-Dasti o Qillat-e-Waqt) is chez ka moqa faraham nhn krti !
Warna in mamalat me Mazdoor ee sb se pehle Pesh Qadam hota hy.
[ksi bnde ne kya khoob hy, aj k zamane me masti ghareeb ko hi hy!]
aj k zamane me pura din mehnat kar k sham ko mazdor kahan jata !? Yaqinan Jua-Khane, Mae-Khane, Randi-Khane aur Hotel ee iski tafreeh o sukoon ka mehwar hote.
(hasan nisar ne kaha) Jahalat Mazeed Ghurbat aur Mazeed Ghurbat Mazeed Jahalat ko Peda Karti !
--------------------------------------------------
Excerpt:
'Yak Zojgi, Jis Ke Sath Lazim O Malzom Ke Tor Per Zina Kari Aur Asmat Faroshi Lagi Hoti Hy.' 76
-ye bt apni jaga durst hy. Agr hr jaga hr waqt hr ksi k 7 nhn tb bhi iski kafi had tk gunjaish zarur rehti hy. Aur agr muashre zyada sakhti brte to incest peda hone k imkanat peda hojate hyn. Iska hal islam ne muta' (temporary marriage) ki surat me diya tha per khalifa dom ne ise mansokh kr diya. Kehte hyn: Moula Ali ka qol hy k agr Khalifa Dom ise mansookh na karta to koi bad-bakht i hota jo zina krta!
--------------------------------------------------
Mard o Aurat (be-munsbat page 84- 85)
-mard o aurat cycle k 2 ese phaiye hyn k jis me hamesha ek ko aage to dusre ko pechhe rehna hy. Aage wala rah mutaiyan krta hy pecha wala follow krta hy. ab chahe madri zamane me peeche wala aage raha ho ya pidri zamane me peeche wala peeche!
Mard o Aurat (ksi had tk) masavi zaror hyn per inki masaviyat hr mayar pe Brabar nhn. (Jesa ka Materialst Communism samajhti.)
Mard o Aurat is Dunya k 2 diff. Species nhn! Bulke ek species k 2 parts hyn. Is liye ese muashre ki tashkeel arai krna (sochna) jis me Mard alag independant zindagi aur aurat alag independant zindagi guzare, yaqinan Gair-Fitri hy.
insan aur insan ki ye dunya insan ke zehniyat o ikhlaqiyat se hy (ye Hegel ki theory pesh nahie ki jarahi), aur insan ki zehniyat o ikhlaqiyat ka bra hisa us k bachpan me i murattib aur uska rukh mutaiyan hojata hy. (insan k bache dusre janvaro k bacho ki trah nhn k ma bap se shikar k kuch gun sekh k apni rah le len.) insan ki dusre janvaro k mqble me khasiyat o speciality aqal hy aur aqal ki nishonuma k liye insan k bacho ko zyada der tk apne ma bap se mansalik rehna zaroori bn jata hy.
Is liye ma bap ki rishte ki pukhtigi insan ki zehniyat o ikhlaqiyat ka sahi rukh mutaiyan krne k liye zaroori bn jati hy. Phr chahe rishte k nibah k liye koi sa b sabab kyo na ho.
Iske bar-aks (mard o aurat ka independant hone ki waja se) rishte bnte rahen aur rishte tootte rahen rishte bnte rahen aur rishte tootte rahen to phr agli nasal zehni tor per muntashir o iztarab ka shikar hogi. Aur iske nazdik shadi ka concept burai ki jarr aur rishto me kaj ravi k siwa aur kuch na rahega. . . Aur is trah hm wahen puhunch jayenge jahan se shuru kiya tha, khandan se pehli wali surat, yani Jinsi Azadi!
--------------------------------------------------
Harfe Akhir
Engles Ka Khandan, Zati Milkiyat aur Ryasat
Engels ne is kitab main Khandan, Zati Milkiyat aur Ryasat ko burai ki jar bataya hy... Zati Milkiyat burai hy Khandan iski Shurwati kari hy aur Ryasat Akhri. ... aur Behtreen Tirze Zindagi wohi thee jo Khandan se pehle thi yane poori ki poori communities ka ek sath rehna. .practically tor per ese tajurbe Cheen main Communinst Revolution ke bad ho chuke, jis main Family system khatam kar ke Communes banaye gaye, lekin in tajurbat se Log bezar hogaye aur Government fail hogai.. hatta ke unhe wapas apni Normal Life main lot jane ka bola gaya.
No comments:
Post a Comment