FIKRism

Wednesday, May 5, 2010

1. Sarmaya - Qadar (Critics)

Sarmaya – Das Kapital
Karl Marx
1867


CRITICS:
.
Qadar (Value)
Page. 41
"Jins Me Jo Qadr Peda Hoti Hy Wo Mehnat Ka Nateeja Hy."
“Qadar – Dunya Ki Her Jins Do She Se Murakkab Hoti Hy. Mada, Insani Mehnat. Mada Qudrat Ki Taraf Se Muft Ata Kiya Gaya Hi Is Liye Jins Main Jo Qadar Peda Hoti Hy Wo Mehnat Ka Nateeja Hy.”


- Is Hisab se Zamin, Ped Pode Darakht Jangalat (jo insani mehnat k bgair ugte hyn), Pahaar, Samandar, Darya, hatta k Koyle aur Heeron ki Kanain, Zamin se nikalne wale Khazane, Tel, Gas, Samandar se nikalne wale Khazane . . . Ksi insan ki milkiyat nahi honi chahiyen.
Halanke is amal (theory) ko aur bareek beni se dekha jaye to aur cases samne ayenge, Jese koi esa amal jis main insan apni mehnat kam sarf kare aur Natural Resources ko zyada utilize kare!, jese ager ek insan Chopaya Mal (Maweshi) charata hy to ye janwar jo zamin se uge hue per pode darakht khate hyn aur isi se phalte pholte hyn to ye Kis ki Milkiyat hone chahiyen, yaqinan charane wala bnda kaseer tadad me bher bakryon (gayen, oont waghera) k muqable me zyada kam nahi karta. agr is charane ki use ujrat de b jaye to bus iske khate me ek 2 janwar i ayenge. To Baqi Ki Milkiyat Kis Ki Hogi.

Phr Ye Bat Bhi Buhut Bari Questionable Hy K Agr Koi Insan In Khazinon Per Jabran Qabiz Hona Chahe To Kya Usool Hyn Jin Se Unko Roka Jaye?
.

Insani Mehnat
page. 42
"Her Qism Ki Mehnat Insan Ko A'sabi Tor Per Thaka Deti Hy Sub Mehnatain Masavi Hyn."
“Insani Mehnat Rag Pathon Aur Qoowat-E-Amal Ke Kharch Ka Naam Hy Jis Se Insan Thak Jata Hy Is Etbaar Se Ke Her Qism Ki Mehnat Insan Ko A’sabi Tor Per Thaka Deti Hy Sub Mehnatain Masavi Hyn. Yahan Ye Yaad Rakhna Zaroori Hy Ke Marx Ke Nazdeek Sirf Mayari Zaroori Samaji Mehnat Hi Qadr Peda Karti Hy Yaani Mehnat Jo Samaj Ke Liye Zaroori Ho Aur Jo Ravaj Ke Mutabiq Khas Waqt Main Khas Qawam Ki Mehnat Se Jins Tayar Karde.”
.
- Sub Mehnatian Masavi NAHIEN Hyn. Dimagi Mehnat Ko Jismani Mehnat per Fazeelat hy, aur Zaruri Nahien k her Mehnat insan k “A'sabi” tor per thaka de jese Tafakkur o Tadabbur. Aur Her Mehnat Jins Peda Karne Ke Liye Nahien ki jati aur Na hi her Mehnat Samaji Ho Sakti hy. (warna insan ki sari ibadaten bekar jayengi. Mujhe btaiye us insan ki Mehnat ko ap kis Khate me rakhenge jo Adhi Rat ko Tehjud parhne ke liye uthta hy aur tan tanha namaz parhta hy! Aur iski ye Mehnat aya konsi Samaji Jins Peda krti hy!)
.
.

Qadar Asal
page. 45-46
"Ager Samaj Socialist Hy To Us Ek Gaz Kapre Ka Tabadila Her Us Jins Se Ho Sakta Hy Jo Usi Shiddat Ki 2 Ghante Ki Mayari Samaji Zaroori Mehnat Se Bani Ho."

-Yahan pehla sawal uthta hy k ager ek insan ki mehnat koi Jins peda krna na ho, bulke Service provide krna ho, to wo apni mehnat ko is hisab se kese tole?
Dusri bat Ager Jins Ki Qadar Asal us per Sarf Kiye hue Waqt (Ghante) hy to phr iska Taiyun Dusri Mehnaton se kese ho? Misal k tor per ek gaz kapra banna me 2 ghante lagte hyn aur mujhe 6 ghaz kapra chahiye to usoolan 12 ghante ki Mehnat k bad mujhe wo kapra mil jana chahiye. Yani , ager mera kam dukan chalana hy to 12 ghante k dukan chalane k bad mujhe wo kapra mil jana chahiye. [yad rahe yahan Mehnat ka Tabadillah Mehnat se ho raha hy, Peson se Nahien!] (jub ke dukan chalane se jo maine munafa kamaya wo alag baat their.)

2 Masale Tehre:
Ek k mukhtalif Mehnaton ka apas me Muakhza kese kiya jaye? (yani Mukhtalif Mehnaton ki Same SHIDDAT kese toli jaye!) Ek dhop me khare hue jismani mehnat karne wale mazdor ko ek AC me bhethe hue Computer Oprtr se kese brabar kiya jaye? Ager Barabari Ka Mayar GHANTE hyn to ye Gair-Adlana aur Bewakufana bat hy.

Dusri bat Ye kese pata chale k kis ne kitni mehnat ki ?
Ager uski Mehnat koi Product/Jins nahien peda krti to phr to ye masla zyadah Pecheedah hy, per agr uski Mehnat Product peda krti hy to phr b masla unsolvd hy Kyön k product (sanati dor me bunyadi tor per) ijtimai andaz me peda hoti hy, jesa ke agle ch "Mukhtalif Qism Ki Mayar Samaji Zaroori Mehnatain Samaj me kis trha Napi Jati Hyn" me btaya gaya hy k Averege ko khatre malhoz rakha jaye ga. “… Us Samaj Ke Ausat Ke Mazdoor Ko Jis Main Koi Hunur Na Ho Aur Jo Hath Per Se Thek Ho Mayar Man Kar Maahir Mazdoor Ki Mehnat Ko Aust Ke Mazdoor Ki Masavi Mehnat Main Muntaqil Kar Diya Jata Hy Maahir Mazdoor Ki Kam Mehnat Jo Qawam Main Gharhi Hoti Hy Aust Ke Mazdoor Ki Zyadah Mehnat Ke Barabar Hoti Hy. Farz Kijiye Ke Ek Radio Banane Wale Ki Ek Ghante Ki Ghaarhe Qawam Ki Mehnat Aust Ke Mazdoor Ki 10 Ghante Ki Mehnat Ke Barabar Hy Aur Radio Das Ghante Main Tayar Hota Hy To Ausat Ke Mazdoor Ko Radio Haasil Karne Ke Liye Apni 100 Ghanton Ki Mehnat Deni Hogi.” Page 46-47.
Mtlb misal ke tor per 12 ghante me 6 gaz kapra tayar hota hy per ek bnda 12 ghante bad sirf 3 ghaz i tayar kr pata hy to use 3 gaz apni taraf se mufat dene parenge, aur isi traha ek bnda agr 12 ghante me 24 gaz tayar krta hy tb b use 6 gaz dene parenge. [kyone Mehnat Masavi hy.]
"Ye Is Tarah Kiya Jata Hy Ke Is Samaj Ke Aust Ke Mazdoor Ko Jis Main Koi Hunur Na Ho Aur Hath Per Se Thek Ho Mayar Man Kar Maahir Mazdoor Ki Mehnat Ko Aust Ke Mazdoor Ki Masavi Mehnat Me Muntaqil Kr Diya Jata Hy." 46

Yane dusre Lafzon main:
Haqdar Ko Haq Nahien Milta
aur Tricky Kam Seekhna Fuzool hy,
Kareegar Banna main Koi Faidah Nahien!.

(Isi munasbat se isi blog ke shurwati pages main ek Class Room ki misal di gai hy, wo qabil-e-ghaur hy.)

.
Mehnga o Arzan:
"... Kapra Mehnga Hone Ki Waja Se Us Ki Kharidari Kam Hojayegi... Kapra Arzan Hone Ki Waja Se Zyada Kharida Jayega..".49

- Sawal ye hy k agr ek chez insan ki Zarooriyat me shamil hy to Mehnga ya Sasta hone per Kam ya Zyada kyonker kharida jayega. (muashre ko jitne ki zaroorat ho her hal me uski Maang utni hi rehni chahiye!). Kya Mehnga hone ki soorat me log Nanga ghoomna pasand kr rahe hyn ya Arzan hone ki soorat me Zyada kharid kr Sarmayadari krna chahte hyn!!
______________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...