FIKRism

Saturday, May 1, 2010

Marx Aur Mashriq - Ch.3

Marx aur Mashriq
Part.1
Chapter.3
Marx aur Mashraqi Tariqeh Pedawar

Summary and Excerpts:

Summary:

Zamin
Jamood
Syasi Dhancha (Feudalism n Capitalism)
Behri Tijarat

Is Ch me Hindustan (Barsagheer o Mazafat) per mentiond tags per behs hy.
Pehle Hindustan ki Zamin per k aya us ki kya halat thi, aya kul Badshah ki milkiyat hoti thi, ya hr ksi ki Zati, ya poore gaon ki mushtarka.

Phr Hindustan k Jamood per behs hy k aya Kya waja thi k Hindustan Gautam Budh k dor se lekar Angrezon ki amad se pehle tk ek hi daggar per chal rha tha; Per Marx ki is theory ko Sibte Hasan rad krte hyn, aur mukhtalif muhaqqaqin (Dr. Aijaz Ahmed) k quotations de kr sabit krte hyn k Hindustan apni jaga Taraqqi ki rahon per gamzan tha. (page. 64) (han ye alag bt ho skti hy k Taraqqi us raftar se nahin thi jis raftar se Europe kr rha tha.) Lekin Sibte Hassan is bt ko taslim krte hyn k Sarmayadari ko Farangi hi Hindustan laye the,(chek page. 68-70) -- jo k Taraqqi ki rahon me Next Step hy (Feudalisn k bad)-- aur is ke jawaz me ye dalil pesh krte hyn k Angrez Hindustan me qadam rakhne k qarib 200 sal bad 1842 me Sindh me qadam rakhte hyn , per Sindh us waqt tk Jagirdari ki daggar pr chl rha tha.
“Is Main Koi Shuba Nahin Ke Salatin-E-Dehli Ke Dor Main Sanat O Harfat Main Numayan Taraqqi Hui. Khud Badshahon Ne Shahi Khandan Ki Zarooraton Ke Liye Bare Bare Sanati Idare Qaim Kar Rakhe The Jn Ko ‘Karkhana’ Kehte The. Sultan Alaoddin Ke Karkhanon Main Satrah Hazar Kareegar Mulazim The. Un Ko Tankhwah Shahi Khazane Se Milti Thi. … Magar Ye Karkhane Bazar Main Maal Bech Kar Nafa Kamane Ke Khatir Nahin Banaye Gai The Bulke In Main Shahi Khandan Aur Lawahiqeen Ke Zaati Istemal Ki Cheezen Tayar Hoti Thin. Lehaza In Karkhanon Ki Kar Guzari Mian Wo Awamil Aur Muharrakat Hi Sirre Se Mafqood The Jo Doosre Sarmayadaron Se Muqable Main Sabqat Hasil Karne Aur Nafa Ki Shirah Barhane Ki Khatir Sarmayadar Tabqe Ko Majboor Karte Hyn. …”. 68
“Hindustan Main Jo Tijarati Aur Sanati Shehr Samandr Se Door The Wo Behri Tijart Ke Taqazon Ko Mehsoos Nahi Karsakte The Albatta Junoobi Hind Balkhasoos Gujrat, Sahil Malabar, Sindh Aur Khaleeje Bangal Ke Maroozi Halat Behri Tijart Ke Haq Mian Buhut Sazgar The Aur 14ven Sadi Main In Elaqon Pr Feudal Taqaton Ka Ghalba Na Hua Hota Aur Wahan Ke Tijarati Shehron Ke Khud-Mukhtari Barqarar Rahti To Ain Mumkin Hy K Jald Ya Bader Kam Az Kam Junoobi Hind Aur Sindh Main Tijarati Sarmayadari Sanati Sarmyadari Ki Shikl Ikhtayar Kar Leti.” 69
“Ye Mafrooza Bhi Qabil-E-Qabool Nahin Ke Agar Farangi Taqaton Ka Ghalba Na Hota To Der Sawer Yahan Sarmaya Dari Nizam Az Khud Qaim Hojata. Purtgali Ameer Ul Bahr Ne1510 Main Goa Per Qabza Kia Jo Sultan Bejapur Ka Jazira Tha. Bambai, 1668 Main East India Company Ke Hissy Main Aya. Madras Ko Angrezon Ne 1638 Main Abad Kia. Magar Sindh Ko 1842 Main Fatah Kia. Goya Sindh Farangiyon Ke Warid Hone Ke Do So Baras Tak Azad Aur Khud Mukhtar Raha. Magar Maghrabi Taqaton Ne 17ven Aur 18ven Sadi Main Sindh, Punjab, Sarhad Aur Balochistan Main Koi Mudakhilat Nahi Ki Thi. In Elaqon Main Ager Feudalism Ko Khatam Karne Ki Salahiyat Hoti To Is Ke Liye Do Sadiyan Nakafi Na Thin.” 70

>Phr mukhtalif hawalon se Syasi Dhancho per behs hoti hy k yahan ki Kharid Farokht, Tijarat, Sanat, Badshahi Nizam waghera k hawale se Asia aur Europe me faraq tha.
"Europe auq Hindustan ki Tijarati Shahron Ki Noiyat me Bara Faraq Tha. Europe ke Tijarati aur Sanati Shehr.. ya to Azad aur Khudmukhtar Republic the jn per Feudal Quwaten Asar Andaz Nahi Ho Sakti thin ya .. Feudal Taqaton se Baqaida Lar Kar Shehri Huqooq aur Tijarati Charterd Hasil Kiye the..
Magar Hindustan me Zamana Peeche ki taraf Dora. 13ven 14ven me Hindustan ke Tijarati Aur Sanati Shehr jo zyada tr Junoobi Hind ya Samandr k Kinare waqe' the Bari Had tk Khud Mukhtar the." 67

> iske bad Behri Tijarat ki taraf Nishan Dahi hy jo "Sarmayadari Nizam Ke Farogh Main Behri Tijarat Ne Bara Ehm Kirdar Ada Kiya Hy." 69
per Behr per Purtagaliyo ka qabza tha aur Hindustan k Mughul Empire ne kbhi is taraf tawajjuh markooz nahi ki. Hatta k Am Insan to Am Insan"Shahi Khandan Ke Afrad Bhi Purtgali Jahazon Hi Ke Zariye Haj Karne Per Majboor Hote The.." 69
.

Excerpts:


باب ۳۔۔
۔۔ یہ اصول کہ زمین راجہ/ریاست کی ملکیت ہے ہندوستان میں مسلمانوں کی آمد سے ہزاروں برس پہلے رواج پا چکا تھا، مسلمانوں کی ایجاد بندہ نہیں۔ 53

۔۔ (مارکس) اس نے 7 جون 1853ء کے خبر نامے میں سر چارلس ووڈ کی تقریر کا یہ اقتباس نقل کیا تھا کہ 'ہندوستان میں ایسی نسل کے لوگ آباد ہیں جو تبدیلی کے معاملے میں بڑے سست ہیں اور مذہبی تعصّبات اور فرسودہ رسوم میں گرفتار ہیں۔ حقیقت میں یہی باتیں ترقی کی راہ میں سب سے بڑی رکاوٹ ہیں۔' ۔ 59

۔۔ سرمایہ داری نظام کے فروغ میں بحری تجارت نے بڑا اہم کردار ادا کیا ہے، بحرِاوقیانوس (اٹلانٹک اوشن)، بحرِہند (انڈین اوشن) اور بحرالکاہل (پئسفک اوشن) جیسے سمندروں کو آسانی سے عبور کرنے کے لیے آلاتِ جہازرانی میں اصلاح و ایجاد نہایت ضروری تھی چناچہ برطانیہ کے صنعت کاروں نے سب سے پہلے اسی جانب توجہ دی۔
ہندوستان میں تجارتی اور صنعتی شہر سمندر سے دور تھے وہ بحری تجارت کے تقاضوں کو محسوس نہیں کر سکتے تھے البتہ جنوبی ہند بالخصوص گجرات، ساحل ملابار، سندھ اور خلیج بنگال کے معروضی حالات بحری تجارت کے حق میں بہت سازگار تھے اور چودھویں صدی میں ان علاقوں پر فیوڈل طاقتوں کا غلبہ نہ ہوا ہوتا اور وہاں کے تجارتی شہروں کی خود مختاری برقرار رہتی تو عین ممکن ہےکہ جلد یا بدیر کم از کم جنوبی ہند اور سندھ میں تجارتی سرمایہ داری صنعتی سرمایہ داری کی شکل اختیار کر لیتی۔

بحری تجارت اور جہازرانی کی صنعت کے فروغ نہ پانے کی دوسری وجہ یہ تھی کہ ۱۶ویں صدی کی ابتدا ہی سے بحر عرب پر پُرتگالی جہازوں کا غلبہ ہوگیا۔ یہ جہاز توپوں تفنگوں سے مسلح ہوتے تھے جب کہ مغلوں نے بحری طاقت کی طرف کبھی توجہ نہ دی تھی۔ ۔۔ 69

۔۔ سترہویں صدی کے اواخر اور ۱۸ویں صدی کے آغاز میں دہلی کا فیوڈل مرکز کمزور ہوا تو سندھ، بنگال بہار، اودھ اور دکن کے صوابیداروں نے اپنی اپنی خودمختار ریاستیں قائم کرلیں۔ جنوب مغربی ہند میں مرہٹہ اور پنجاب اور سرحد میں سکھ بھی آزاد ریاست بنانے میں کامیاب ہوگئے۔ مرکز سے کٹ کر جو خود مختار ریاستیں بنیں وہ بھی مروجہ فیوڈل نظام کے دائرے ہی میں رہیں۔ یہ ساری شکست و ریخت ہندوستان میں فرنگیوں کا عمل دخل ہونے سے بہت پہلے شروع ہوگئی تھی ۔۔ 70


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...