FIKRism

Saturday, May 1, 2010

Marx Aur Mashriq - Intro

Marx And Mashriq
Sibte Hassan
2009



Introduction:

Sibte Hassan Sahb Ki Zindagi Ki Akhri (Incomplete) Kitab.
Dr. Syed Jafar Ahmed (Is Kitab K Murattib o Mudawwin) Arze Murattib Main Likhte Hyn: “ Sibte Hassan Sahab Ki Ilmi Masroofiyat Aur Un Ka Tasneef O Taleef Ka Kaam Bara Matnoo’ Tha Aur Hammageer Hota Tha. Wo Umooman Beek Waqt Ek Se Zyadah Kitabon Aur Mazamin Per Kaam Kr Rahe Hote The. Cunache Aksar Ye Soorat Hoti Thi Ke Ek Kitab Ke Akhri Proof Parthe Ja Rahe Hyn Jab Ke Doosri Kitab Ka Pehla Masoodah Tayar Ho Raha Hy Aur Saath Kisi Ikhbar Ya Jareede Ke Taqaze Per Us Ke Liye Mazmoon Bhi Likha Ja Raha Hy. Sibte Hassan Sahb Ki Zindagi Mian Un Ki Jo Akhri Kitab Shaya Hui Wo ‘Naveed-E-Fikr’ Thi Jabke Angrezi Kitab ‘The Battle Of Ideas In Pakistan’ Ko Wo Inteqal Se Kuch Hi Roz Pehle Asha’at Ke Liye Press Ke Supard Kar Chuke The. Un Dinon Kitabon Ko Mukammal Karne Ke Bad Wo Fori Tor ‘Marx Aur Mashriq’ Ki Tasneef Main Mashgool Ho Gaye The. Magar 1984 Main Faiz Ahmed Faiz Ke Inteqal Ke Nateeje Main Sibte Sahab Ka Ye Mansooba Kuch Arse Ke Liye Mu’attal Hogya. Faiz Sahab Se Un Ke Dereena Nazriyati Taluqat The Aur Us Hawale Se Yadon Ka Eik Zabardas Khazeena Tha Jo Un Ke Nihan Khana Zehn Main Mehfooz Tha. Faiz Sahab Ke Inteqal Per Sibte Sahab Ko Ye Khayal Aya Ke Unhain Un Sub Yadon Ko, Khas Tor Faiz Ki Mukhtalif Ghazlon Aur Nazmon Ki Wajah Nazool Ke Baare Main Jo Kuch Un Ke Ilm Main Tha, Us Ko Zabt-E-Tehreer Main Le Ana Chahiye. So Unhon Ne Faiz Sahab Per Bhi Ek Kitab Likhne Ka Mansooba Bana Liya Aur Phir Agle Kai Mah Tak Is Kitab Ne Un Ko Masroof Rakha. Sibte Sahb Ke Inteqal Ke Waqt Tak Ye Kitab Mukammal Nahi Hui The Likn Is Per Itna Kam Zaroor Ho Chuka Tha Ke Is Ko Ehtiyat Ke Sah Murattib Kar Ke Shaya Ki Ja Sakta Tha. Ye Khidmat Marhoom Hasan Abidi Sahab Ne Anjam De Aur Wo Kitab ‘Sukhan Dar Sukhan’ Ke Nam Se Shaye Hi.” Page. 6

Kitab 2 Parts Main Hy Pehle Part Main Asal Kitab Marx Aur Mashriq Ka 5 Abwab Hyn, Dusra Part Main Mutafarriq Mazamin Hyn.

Chapters:
Part 1 - Marx Aur Mashriq

1. Mashriq Aur Maghrib Ke Taluqat
2. Marx Aur Mashriq (London Se Pehle)
3. Marx Aur Mashraqi Tariqah Pedawar
4. Karl Marx Aur Dunyae Islam
5. Lenin Aur Aqwam-E-Mashriq


Part 2 – Mutafarriq Mazamin

1. Karl Marx
2. Socialism Ke Zareen Asool
By Molvi Barkatullah Bhopali
3. Socialism Aksariyat Ki Falah Ki Zaamin Hy
By Moulana Ubaidullah Sindhi
4. Main Communist Hon
By Moulana Hasrat Mohani
5. Socialism – Kuch Khayali, Kuch Haqiqi. 1
6. Socialism – Kuch Khayali, Kuch Haqiqi. 2
7. Kya Socialism Beroni Nazriya Hy?
8. Islami Mamlik Ki Azadi Aur Soviet Roos

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...