FIKRism

Tuesday, May 11, 2010

4.Sarmaya - Mazdoor Ka Zaaid Waqt (Critics)

Sarmaya – Das Kapital
Karl Marx

Qadr Zaaid Ki Miqdar Ya Mazdor Ka Zaroori aur Zaaid Waqt

CRITICS:

Is Ch. Main samjhaya gaya hy ke Mazdoor ko Ujrat Uski Mehnat se Kam di jati hy, Mazdoor ager 9 ghante kaam karta hy to usko actually ujrat uske 6 ghante ke kaam ki milti hy jab ke 3 ghante wo zaayid kaam karta hy sarmayadar ke liye.

Lekin Masala Ye Hy Ke:
Ager Mazdoor sirf utne i ghante kaam kare jitne me uske personal zarooriyat o ikhrajat poore hote hyn, aur ager Poori Dunya ke Mazdoor esa karain to phr Agle i Mahine Poori Dunya se SANAT KARI nizam ka Khatma Hojayega!

Ye bilkul esi i hy jese ek dukandar apni dukan ki sari ashya farokht karde, aur us se hasil shuda poori raqam apne ooper (apne ghar bal bachon k ooper) kharch karde aur phr sada k liye Shutter Down kar le! Kyon k ab is ke pas pese nahien k dobara ashya kharid kr farokht kare!
Ya phr ese k Ek Dehqan ek season me apni zamin se hasil shuda raqam ko apni ikhrajat per poora kharch krde aur phr hath pe hath rakh kr bhet jaye kyon isko dobara kasht karne k liye ek booti koori b nahien k beej kharid kr sake aur dobara kasht kar sake!

Mehnat aur Meezan:
Mazdoor kitne ghante apne liye kam krta hy aur kitne ghante Malik (Sarmayadar) k liye - ye ek Vague process hy.
[Matlab ye jaanna Na-Mumkin hy ke Aya Konsa Mazdoor Konsa Kaam Kitni Muddat aur Kis Shiddat ke saath karta hy, aur Is Hisab se uski Ujrat Kitni Honi Chahiye! In sub cheezon ko ek saath Tolna yaqeenan Na-Mumkin hy, khusoosan aaj ke zamane main jahan Mazdoori ki definations badal gai hyn, jahan log sirf Baat karne aur Salah dene ke b pese lete hyn!]

Mazdoor jb ksi factory ya ksi Bande k pas kam krne ata hy to deal kuch is trah nahien hoti k mazdoor kahe: "main 6 ghante apne liye kam karonga aur 3 ghante tere liye." bulke poora kam mazdoor ko bta diya jata hy aur poore din ki ujrat (ya poore kam ki ujrat) use bta di jati hy.
Ager wo razi nahien hota to kher (koi zor zabardasti nahien). Agr wo razi hota hy to ye 2 Fariqeen k beech ek Personal Deal ki trah hota hy. Aur Aqali tor per 2 bndo k personal deal - js me wo dono Razi hon - me parna na sirf Illogic hy per Illegal bhi.
Ab ek mazdoor ko kitni ujrat milti hy aur actually Iqtisaadiyat ko made nazar rakhte hue kitni milni chahiye, ye ya to Arbabe Ikhtiyar (Govt. etc) isko Mutaaiyan karain ya phir sarmayadar aur mazdoor ager ek raqam per razi hyn to phir baat ee khatam.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...