FIKRism

Sunday, May 9, 2010

3.Sarmaya - Murda aur Zinda Sarmya (Critics)

Sarmaya - Das Kapital
Karl Marx

Murdah Sarmayah aur Zindah Sarmayah

CRITICS:

Marx ke Baqol:
Ek she (jins) jb tayar hojati hy to wo Murda Sarmaya kehlati hy, aur jb use Munafe per becha jata hy to Zinda Sarmaya kehlati hy.

Marx bhi Ajeebul Khalqat Makhlooq hy..
Ek taraf Mazdooron ki Mehnat Mazdooron ki Mehnat ka dhandoora peette hyn,
Dusri janib jb us Mehnat ko Cash karwaya jata hy to kehte hyn Ye SARMAYA hy iska Khaatma zaroori hy! %S


Is Ch. ko agr thora bareek beni se dekha jaye to ye batain b Qabile Gaur hyn k
Murda Sarmaya aur Zinda Sarmaya alaihda alaihda Nahien hyn! Marx ne jo Machinon ki example di hy us me Machines khud b khud (Insani Operation k bgair) Nahien chalne waleen.
Aur phr Jins bna kr usme se Munafa na kamaya jaye to yehi bat hogi k insan 10 rupe ki chez kharide aur 10 me farokht kare aur phr mar jaye! Ye munafa wohi chez hy jis me insan kharid farokht ki chakar me Money Circulation peda krta hy aur apne Nan Nafaqqe ka bndobst kr pata hy!

Munafa ko Beech me se Nikalna esa i hy jese Mazdoor ki Mehnat BE QADR O QEEMAT kar dena!

Is liye Murda Sarmaya aur Zinda Sarmay Ek hi hy.
Jb ye ek hi hy to phr Murda aur Zinda ko alag alag kr k parakhna Fuzool hy.
Marx ko samjhana chahiye k dono ko mila kr konsi kefiyat bnti hy!

Murda Sarmaya kam se kam hum tabhi keh sakte hyn jub Ksi Chez per Insani Haath na laga hon aur wo Natural Environment main Pari mile, jesa ke Marx Kitab ki shurwat main khude define karte hyn k, “Dunya Ki Her Jins Do She Se Murakkab Hoti Hy, Madah – Insani Mehnat, Madah Qudarat Ki Taraf Se Muft Ata Kiya Gaya Hy Is Liye Jins Main Jo Qadar Peda Hoti Hy Wo Mehnat Ka Natija Hy”. Page 41
is Hisab se ager ek banda kisi she ko sirf baahar se ghar tak utha kar laata hy, tab bhi us main Qadar peda hojayegi, ager koi doosra is se lena chahe to use ikhtiyar hy ke us ne jo Bahar se Utha Kar Ghar tak lane main Mehnat ki, aur She main Qada peda ki, us ki Ujrat le!

Is liye Murda Sarmaya hm Maadah ko ee kahen ge, Insani Haath lagne ke baad wo Zinda Sarmaya hojati hy aur us main Qadar peda hojati hy.
.
.
Dusri ek Chhoti Si Baat:
Marx ne kaha Machino me is Miqdar me Qadar hoti hy jis Miqdar me wo Qadar transfer krti hyn!

"Ek Machine Me 2000 rupe Ke Masavi Qadar Maujood hy to wo Kapre Me Sirf 2000 ke Masavi hi Qadar Muntaqil Kar Sakti Hy."73

ye bat kehna Philosophy ki had tak to thek hy per Samaji, Iqtisadi aur Nafsiyat lehaz se buhut buri hy. . Warna ek bnda 5000 ki Silai Machine 500000 me furokht karega ye keh kr k is machine me itni Value ka Kapra seenne ki salahiyat hy! Phr chonka kis machine me kitni salahiyat hy ye napne ka ala dobara maujood nahi (insani mehnat ko tolne ki tarha), to insan dobara Ddacche main!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...