FIKRism

Wednesday, May 12, 2010

5.Sarmaya - Sanat o Harfat (Critics)

Sarmay - Das Kapital
Karl Marx

Sanat o Harfat

CRITICS:

Yahan se chand chapters Waqt ki Irtiqa ka Haal (Mazi) btate hyn k kese Dast-kari se Ijtimai-Dastkari se Sanatkari ke dor tk puhunchen.

Pehle ek Dastkar shuru se akhr tk ek jins ko khud bnata tha phr Ijtamai Dastkari me ek hi jins ko (kamon ko bant kr) mukhtalif dastkar bnate the aur phir Machinen Aagayeen!

Bunyadi tor per ye sara amal Tareekhi aur Irtiqai tha. Isme se Sahi o Galat ka pehlu nikalna Beja hy. Ye ksi ek Fard ya Jamat ka (ek hi waqt main hone wala) Kam nahi tha bulke ye Waqt ki Irtiqa tha, na sirf Important tha bulke Lazim tha.

(Zarooart Eejad Ki Maa Hoti Hy)
Isi Zaroorat ne Machine Peda kar daleen.

Jub Dunya Ki Abadi Achanak Barh Jaye aur 3 sadyon ke andar andar 800 million se 7 billion tak puhunch jaye to Kaseer tadad ke logon ki Zarooriyat poori karne ke liye Tezi se aur Kaseer tadad main hi kaam karna parega. Jis ke liye Michenin, Sanatkari aur Sarmayadari Lazim ban gai.

Ager ye tasawur karain ke ye sub kuch Dunya ke Ek Kone main ho raha tha jub ke Baqi Dunya in chakkaron se Azad thi, to ‘Baqi Dunya’ ko Stone Age aur Bronze Age main ee rehna parega! Lekin jo dunya ka “Kona” taraqqi kar raha hy wo is ‘Stone Age Dunya’ ka Istehsal kiye bagair nahi reh sakta. Phir ham jaante hyn ke kis tarah Europe ne Africa, Asia, America, … ka istehsaal kiya, aur sadyon tak in ke maal per qaabiz rahe aur lootte rahe. Lekin jb Ghulam aur Malik ek hi Chhat ke neeche rahenge to Ghulam bhi Malik ki tips aur tricks seekh ee jayega. !!

Is liye ye Irtiqai Dor Waqt Ke Hisab se Zaroori tha.

Per Marx shb apni baat manwane k khatir akhri jumla bol hi dete hyn:
"Ek Nuqta Nigah Se To Ijtimai Tariqa Pedawar Tarikhi Tor Per Infaradi Dastkari Ki Taraqqi Yafta Shakal Hy Lekin Dusre Nuqta Nigah Se Ye Sarmaya Ka Tariqakar Hy Jis Se Wo Mazdoor Ko Qadr Zayd Peda Karne Ke Liye Istimal Karta Hy." 93


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...