FIKRism

Tuesday, May 4, 2010

Sarmayadari Affyoon Hy!

SARMAYADRI AFYOON HY!
(CAPITALISM IS THE OPIATE OF THE PEOPLE)

Sarmayadari Affyoon Hy, Aur Iska Elaj Marxism main Nahein!

Jama Andozi Logon Ki Sirusht Me Dakhil yy, (Bhale i Chahe Wo Us Main Se Ek Rupya Bhi Kharch Na Karain!)
Ager Logon Ko Zamin aur Zarai Pedawar Ki Milkiyat Se Rok Bhi Liya Jaye tb bhi wo Apne Bare Bare Bangalows aur Mahal Banane Lag Jayenge aur ager is per bhi Had jari kr di jaye to apne Gharon ke Teh Khanon me Mal Jama krne lag jayenge!

Marxism logon k Zarai Pedawar ki Milkiyat ke khilaf hy per Zati Milkiyat k Nahin, ager Marxism k Nafiz Hojane Ke Bad Zarai Pedwari ki Milkiyat se log Sabkadosh ho b jayen to ab apna SARMAYA Zati Milkiyat me sarf krna shuru kr denge. (aur Kya Baeed hy k is 'Zati Milkiyat' k libas me ab dobara 'Sarmayadari' shuru hojaye !!!)
[aur agr Marxism me Zati Milkiyat per b Banned laga di to Na Sirf ye Qawanine Fitrat k Khilaf hoga per Dunya ki Majority Socialism se mutanafir hojayegi.](aur shayad Marxism ki ab tk Nakami ka sabab b yehi hy, kyon dunya ki majority log jo kam ya zyada apni MILKYAT rakhte hyn (zati ya gair zati) wo us se khushi khushi hath dhone wale nahin, aur jo Milkiyat Nahin rakhte (yane Proltaria) to shayad unko milkiyat ki ehtiaj i nahi... to phr Socialism/Marxism kamyab kese ho! Jin se umeed hy k Marxism k barpa krne me danda uthayen to akhr wo kis Thought kis Maqsad kis Lakhsh k sath danda uthayen, jin chezon per wo Qabiz hona chahte hyn unke Qabza k bad wo Khud us per Qabiz nahin hona chahte (jesa k Communist Manifesto ka Manshoor hy), aur jis chez ki unhe Ehtiaj nahin to phr us k liye wo apni Jan kyon ganwayen!)


Sarmayadari affyoon hy Per iska elaj Marxism me Nahien.
han! Marxism agr apne toote hathon se muashre ki islah krna chahta hy to hm iske kher khwah hyn. PER Ager Ek Kharabi ek side se Khatam ho aur Dusri Kharabi dusri side se Janam le to Phr esi Mehnat Bekar Hy! (kul mila kr hm wahin k wahin rahenge bus shiklen badal jayengi!)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...