FIKRism

Thursday, May 20, 2010

Socialism Not For Poors!

Socialism Not For Poors!

Ye Zamane ki sitam zarifi hy k jo iqtidar me ata hy uske pas dolat ajati hy jis k pas dolat ajati hy wo Garib nahien rehta.

Socialism hy to garibon k liye per zamane k pech wa kham kuch ese hyn k Socialism ki rasai Garibon tk aur Garibon ki rasai Socialism tk mahal ho chuki hy!

Zamane ki Pecheedgyan buhut barh chuki hyn aur musalsal barh rahi hyn aur inki islah ek 2 usoolon se mumkin nahien.
Dunya Iqtisadi Samraji (ecoomic emperialism) dor me na sirf chal rha hy bulke uski pechedgyon me uljha hua hy.
(Sare mamalik apas me had darja linked hyn, ye wo purana zamana nahi k ek shehr apni pedawar pe chalta ho, agr kuch kr liye to zyada se zyada apne hamsaye shehron se tijarat)
per aj k zamane me Ap Independant Bn Kar Nahien Chal sakte aur agr Dusron se Rishta Bna ke Chalna Hy to Hamesha Apki Man Mani Nahien Chalne Wali!

Socialism sirf usi mulk main Nafiz ho sakta hy jo itna Balig ho chuka ho k Naddar ho ke bare bare Magar Machhon ko Daant dikhaye, aur kahe nikal jao mere mulk me se mjhe tmhari madad ki koi zaroorat nahien! Ese me magar machh kahenge Acha Esa Hy to Phr Ham Tmhara Jeena Mahal Kardenge, Dekhte Hyn tm is Talab main Kese jeette hy aur Wo kahe Parwah Nahien, Dkhte Hyn Kon Kis ka Jeena Mahal Karta Hy!

Yaqinan Roos aur Cheen ki Inqilab k Zamane me wo itne baalig ho chuke the k Magar Machon ko daant dikha sakhen.
Lekin hamare jese Kam Qabiliyat aur Pasmandah Mulkon me Socialism Nafiz Karne ka Scenerio kuch wesa i na ho jesa Iran me 1949 me Dr. Musaddaq k sath hua tha:

“ise asna main tel ke muahede ki tajdeed ka sawal uth khara hua. Ye muahida Raza Khan Sepahdar ny 1933 main 25 sal ke liye Englo Iran Oil Company se kiya tha. Ye muahida 25 sal ke liye us waqt kia gya tha jab iran ko tel se faqat 17 lakh pound salana ki aamdani hoti thi. Choothai sadi ke doran tel ki pedawar main itna izafa hua ke royalty ki raqam 1848 main derh crore pound hogai. Magar ye raqam kul amdani ki tehai se bhi kam thi goya do tehai amdani Bartanvi Company hazam kar jati thi. Irani watan paraston ko ye soorathal qabil-e-qabool na thi. Chunache us muahide ki tajdeed ki mukhalifat shuroo hogai. Dr. Musaddaq ne Jabbah Milli (National Front) ke naam se ek syasi jamat ki bunyad rakhi. Dr. Musaddaq purane sayasatdan the aur mulk main in ki bari izzat thi. Wo majlis Shorai Milli ke un chaar mimbaron main se the jinhon ne 1924 main Raza Khan ko badshah banane ki tajveez ke khilaf vote diya tha aur Republic ki tajveez pesh ki thi. Jabba Milli ka pehle din se ye mutaliba tha ke tel ki sanat ko Qaumi Milkiyat bana diya jaye aur is ki amdani ek mulkgeer tarqiyati mansoobe per kharch ki jaye, magar wazeere azam general Rizm Ara muahide ki tajdeed ke haq main tha. Chunache july 1949 main bartanvi company aur irani hukoomat ke darmiyan ek naya muahida te paya jis ki ro se royalty ki shirah pachhas feesad muqarrar hui. Is muahide ko general Rizm Ara ne majlis main tauseeq ke liye pesh kiya magar Dr. Musaddaq ke israr per majlis ne muahide ki tauseeq se inkar kardiya. Bartanvi company ne dabao dalne ke liye royalty ki wajib-ul-ada raqmon ki adaigi bhi rok di. Nateeja ye hua ke mulk bhar main genaral Rizm Ara ko bartaraf kar ke Dr. Musaddaq ko wazeer e azam muqarrar karne ka mutaliba hone laga. Is doran mian kisi ne 7 march 1951 ko Rizm Ara ko goli mar kar halak kar diya, to Shah ne majboor hokar 30 april ko Dr. Musaddaq ko wazeer e azam muqarrar kia. Dr. Musaddaq ne Majlis Shorai Milli ke fesle ke mutabiq tel ki sanat ko Qaumi Milkiyat qarar de diya aur Shah ko bhi is qanoon per dastakhat karne pare. Englo Irani Oil Company ne is iqdam ke jawab main october 1951 main tel ke chashmon aur abad un ki Oil Refinary ko band kardiya aur Angrez mulazmin ko watan wapas bhej diya. Iran dushman taqaton ne iss per iktafa nahin ki bulke Europi aur Amrici Companiyon ke tel bardar jahazon ne intiqaman irani tel uthani se bhi inkar kardiya. Soviet Union ne sanat ko bahal karne ki gharz se Roosi Mahireen ki khidmat pesh ken aur jama shudah tel khareedne ka wada bhi kia lekin Dr. Musaddaq ne ye donon tajveezen rad karden. Dr. Musaddaq ki is nafi polici ki waja se iran shadeed iqtisadi buhran main mubtala hogaya. Wo sakht jazbati insan tha lekin in ko ye to zaroor ilm hoga ke Englo Irani Oil Company ka irani amala tel ke karkhanon ko chalane ki ehliyat nahin rakhta hy. Ese soorat main un ko tel ko Qaumi Milkiyat banate waqt ye sochna chahiye tha ke agar Angrezon ne ta’wn na kiya to ye karkhane kese chalen ge. Unhon ne tel ki sanat ko qaumi tahweel main le liya magar aakhr waqt tak tamana ka doosra qadam uthate hachkachate rahe. Aur un ka yehi tazbazab iran ke haq main muhlik sabit hua. Wo beemari ka bahana kar ke bastar per let gaye aur haalat per qabu pane ke tadbeeren ikhtiyar karne ke bajaye haalat ko apne ooper qabu pane ka moqa de diya. Un ki is be amali ne logon ke hosle past kardiye aur tab amrica ne shabkoon mara.”
[Inqilabe Iran, by Sibte Hasan. Page. 125-126]

. . .

Lekin yahan per to ye halat hy k dar hy k kahin Mustaqbil Qarib me Bangladesh se imdad na leni pare!

Socialism Nafiz karne ke liye chahe kese ee achhe Usool/Qanoon murattib kyon na kar liye jayen, lekin wo qanoon mulkgeer hi rahen gen.
Sarmayadari ka asar torne (aur jama andozi ko khatam karne) ke liye jo ‘socialism’ nafiz hogi,(take money recirculate hoti rahe, aur jama andozi na hone paye.. ) wo mulki sarmayadari tak mehdood hogi, aur mulki sarmayadar aate main namak ke barabar hyn, baqi poora ka poora ata jo ghair mulki choos lete hyn. Usko un ke jebon se nikalna dobara namumkin ke barabar hy. To phir ya to ye ho ke Poori Dunya main ek saath Socialism Nafiz ho! Ya apne Mulk main se subhi Gair Mulki Sarmayadari Khatam karli jaye. aur dono ee sooraten muajudooh soorathal ko dekh kar mahaal nazar ati hyn. Kyon ke Poori Dunya main ek saath socialism ksi Almi Jang se ee mumkin hy. (aur match se pehle winner ka fesla nahi kiya ja sakta). Aur Ghareeb mulk ‘Imdaad’ ke bgair chal nahi sakte.
Yani jab tak Bare Magar Machh aur Ghareeb Mulkon ka Concept maujood hy tab tak Sarmayadar aur Mazdoor ka concept maujood hy.
Ghareeb mulk Amree mulk ka Ghulam ban ke survive kar sakta hy, per Mazdoor ko Sarmayadar ko Ghulam banne ki bhi ijaza nahi. !!!


Mulk ki Islah (Socialism k Nifaz me) 2 chez buhut important hyn:

1. Eemdandari:
jb tk emandari nahien tb tk chahe kitne i achhe usool kyon na bna liye jayen, koi faida nahien. Qanoon jb sirf Kaghzoon me para rhe aur muashre ne Napeed ho to ese Qanoon ka kya faida!?

2. Govt:
jb tk govt khud Ghasib, Zalim, Chor aur Jahil ho to Mulk ka sirf aur sirf 'Berra Garak' hy.

____________________

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...