FIKRism

Wednesday, May 5, 2010

Marxism Has Expired!

Marxism Has Expired!

Marx ki theory 'Tareekhi' thi, Tareekhi se murad ek khas Waqt, Daur aur Logon ke liye.

Marx ne jo kiya aur jo wo Gareeb (proltaria) tabqe ke liye hamdardi rakhte the wo had darja Qabil-e-Tareef hy. Aur ye Marx ki Fikr hi ka nateeja hy (shayad) ke aaj ke Mazdoor maujoodah halat main hyn.

Lekin ye sub Mazi ke ek khas dor se wabasta thin, aur usi Fikr o Inqilab ki waja se Aaj ka mazdoor 16 ghante ke bajai 8 ghante kaam karta hy, Apne kaam main Majboor nahin, dusre Tajiron, Sanatkaron, Mahajanon … ke saath hafte main ek chhuti (baaz maqamat per 2 din and/or ek din half day), aur saal ki deegar mazhabi o qaumi chhuti bhi karta hy, kai jagahon per khana peena rahaish aur medical tak ki facilities milti hyn … waghera.

[in short Marxism se jo inqilab ana tha wo aa chuka per aj ke dor main Marxism Expired hy!]

Is ki ek waja Philosophically bhi hy,

۔۔ مقبوضات سے مفت ہاتھ آئی دولت کے دسترخوان سے مزدوروں کوبھی کچھ نہ کچھ مل جاتا ہے جس کی وجہ سے وہ انقلابی انداز میں سوچنے سے قاصر ہیں۔ (اینگلز) ۔۔ 103

Engels ne kisi jaga ye alfaz kahe the jo Sibte Hasan ki kitab ‘Marx aur Mashriq’ ki page 103 per darj hyn.

Is se yehi pata chalta hy jab tak Pani Sar se Ooncha na hojaye, Log Ah o Buqa nahin karte. Halanke phr pani bhale i naak se mehz thora neeche i kyon na ho. Marx ke dor main ye pani sir se buhut ooncha ho gya tha. Is liye Inqilab aya. Phir jab logon ne haath per marna shuroo kiya to.. Sarmayadaron ne thora sa pani neeche se leak kar diya aur nak ya mun se neecha tak kar diya, aur logon ko saans lene main asani hui. Tab se ye pani hamesha naak se neeche i rkha gaya, kuch k liye mahz naak tak to kuch k liye thora zyada neeche. Lekin Inqilab choonke Khoon mangta hy, is liye jab tak log Saans le rahe hyn tb tak apni jan aur apne bal bachon ki jan jokhe main dalna dushwar hy. (Pani Sar Se Guzar Jaye, Phr Bat Alag Hy, phir jab marna hi hy to kyon na hath per mar liye jayen)


Is ki ek waja Psychiatrically bhi hy

Her Qaum ki Apni Ek Samaji Soch hoti hy, us etbar se kuch Aqwam Tootne jana pasand karti hyn per Murna/Jhukna pasand nahin karti, jab ke kuch Aqwam Waqt ki Maslehat se Jhuk jana qabile aqal samajhti hyn Toot jana nahien!
In main se kon sahi hy kon galat, ye ek pecheeda alag masla hy.
Is etbar se kuch qaumain lar kar inqilab laty hyn (halanke pehli condition ki kefiyat shamile hal rahe gi), jab ke dusri qaumain sabr/intezar karti hyn k koi ayi aur inki halate zeest badle! (esi etbar se purne zamane main jangain zaroori thin, inhi jangon mani 'koi' ata tha aur halaat badal jata tha!)

Per Marxism jis Maqsad ke khatir tha wo Haalaat ab Muashre main Nahein rahe, jesa ke khud Scienecy Theories aur Marx ke Falsafe se zaahir hy k Waqt musalsal Irteqa pazeer hy is liye Maujoodah Haalaat wo nahien jo 1850 main the!

Is liye Marxism Tareekhi Thi Jo Ke Aj ke Dor Main EXPRIED hy!
[is etbar se nahin ke wo tareekhi etbar se purani thi, per is etbar se k is theory ke nafiz hone main ab wo halaat o conditions maujood nahien rahi.]
____________________________________

(yahan se neeche moqe munasbat se kuch doosri batain hyn jo Ahle Fikr ke Gosh Guzar karne main koi harj nahin)

Hamari Qaum umooman Jhuk jana pasand karti hy, aur isi waja se apne hamsaye mamalik main 200 sal se Sarmayadari pinapne ke bawajood khud kabhi Jageeri Nizam se bahar na nikle. Yane koi doosra aake inki ungli pakar kar ek kefiyat se doosri kefiyat main dale, warna ye jis haal main rehte hyn sadyon tak usi haal main rehte hyn! (chek ‘Marx aur Mashriq’ Ch. 3)

Aur isi liye purane zamane main Jangain (wars) buhut zaroori thin, kyon ke inhi jangon ki waja se Tehziben Cultures aur Log apas main Khalat Malat hote the, jo ke waqt ke Irtiqa main ek Zaroori Iqdam tha.! [aur yehi Type 1 Civilization hy, jab ek Ziban, ek Qaum, ek Culture, aur ek Tehzib hogi. … ye sub bol kar esa lag raha hy jese hm Alame Akhirat main khare hon jahan ek ziban hogi aur log apne rang nasal tehzib sub bhula bhethe honge. Kya Waqee Main TYPE 1 Civilization (Jese Hum Akhirat Kehte Hyn) Hame Is Dunya Se Doosri Dunya Main Le Jane Ka Nam Hy. !!!)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...