FIKRism

Thursday, May 13, 2010

Munafa to Chahiye ee

MUNAFA TO CHAHIYE ee CHAHIYE

Insan ko Apni Zindagi chalane k liye Munafa to chahiye i, bgair munafe k esa hy 10 rupe ki chez kharide aur 10 rupe me beche aur phr Mar Jaye!
Chalo chezon ko Simple Style me shuru se dkhte hyn.

Me ek garib insan hon aur mujhe apni zindagi ke liye kam se kam Khorak aur Libas chahiye per meri jeb main bhooti koori nahin.
Ab me kya karon? Pehla tariqa to ye hy k ksi ki Nokri krlon. Yani ya to Permanant Ghulam bn jaon aur Muash se Befikr hojaon ya temporary Nokar ban k kam karlon. Per ye Nokri wali wohi kefiyat hy jse Mazdori kaha jata hy, phr mujhe apni Mazdori ki kitni ujrat milti hy aur kitna kam liya jata hy... Ye wohi bat hy jo Socialist, Mazdoron waghera ka Sar Dard hy.

Dusri Kefiyat ye hy k ager mujhe koi hunur ata hy to:
ye karon k shuru me ksi se qarz lekar kham mal kharidon aur apni Mehnat se us se Product peda karon / bnaon aur bechon.

3sra taraka ye hy k (ager mujhe koi hunur nahi ata) to ye karon k ksi se qarz lekar apne gaon k dayen janib shehr pedal jaon wahan se kuch chezain kharidon aur apne gaon k bayen janib shahr jake bech don.

4th Kefiyat ye hy k Bheek Mangon. Aur is bheek mangne ke hazar tariqe hyn, is main sirf wohi bhikari i sahmil nahin jo raod raston per ghoomte hyn per bare bare khush poshak bhi ap ko Bheek Mangte hue milenge. Bheek Mangne se simple murad bgiar koi kaam kare mufat main pese lena.


Ab her ek kefiyat per ek ek kr k detail main nazar dalte hyn:

4. Bheek Mangna
Bunyadi tor per ye ksi ka Zati Fa'l ho sakty hy, is per Sakhti Nahien ki ja sakti, aur her Nation fitri tor per is amal ko Na-Qabile-Tarif aur Taszheeq se dkhta hy.
Yaqinan ager Poori Dunya ke Log is peshe ko ikhtiyar karain to Mulk ki kya halat hogi, wo her koi samajh sakta hy, bulke Survive krna Na mumkin hojayega!

2. Ugana/Banana
Ab suppose kijiye me ek Garib bnda hon, meri ek Bv hy aur main ek chhote se gaon me rehta hon. Mere pas khane peene k liye kuch b nahien hy, meri halat bilkul zero hy. Aur mere ghar ka kharch km se km 4 rupe hy. Ab main kya karon pet k liye kuch to krna parega.
Main Bheek nahien mang sakta, ye meri izzat o shan k khilaf hy, me Nokri b nahien kr sakta ye b ksi hawale se mahal hy. Per Mere Pas Hunur (ya Zamin) Hy!
Phr main ye krta hon k apne ek dost se 10 rupe qarz leta hon aur us chez ka khaam mal kharidta hon. Aur us se Product bnane me lag jata hon. Sham tk product tayar hojati hy. Aur agle din main use market lejata hon bechne k liye!

Ab sari asal kahani yahan se shuru hoti hy. yani Munafe se,
Ab ager me us Chez ko 10 rupe me i bechon to phr to main Mar jaon, kyon wo 10 rupe apne dost ko qarz wapas kardon, aur me abhi tk Bhookha aur nanga hon!
Market me wo chez 14 rupe ki mujh se farokht hoti hy. (yani 4 rupe Nafa k sath)
In 14 rupyon me se 4 rupe me mere ghar ka kharch niklega aur 10 rupyon se dobara me kham mal kharid kar process repeat kr skta hon.
Yaqinan main apni halat behtar bnane k liye chez ko zyada achhe se bna kar aur zyada peson pe bechna chahonga. (jse 15 ya 16 rupe) take zayd raqam se apne dost ka qarz b chukta kr sakon aur apni halat-e-zeest ko b behtar bna sakon!

Ye b janna chahiye k main Product ko market main apni Mun Mangi raqam pe nahien bech sakta, mtlb esa nahien ho skta k main market main jaon aur kahon k is (14 rupe wali) product ki qeemat 100 rupya hy. Yaqinan log b bewakuf nahien, wo chezon ki value ko (kam o besh) jante hyn. Phr wo Product muashre me dusre b farokht kr rahe hyn is liye us ki Price apni jaga per muayyan hy.

10 rupe se bani chez 14 rupe main bechne se ye 4 rupe koi muffat main nahien batole ja rahe, bulke ye wohi Mazdoor ki Mazdoori jse wo Cash krwa kr apne Ghar ka Charkha chala pa rha hy, warna 10 rupe to wohi bachte hy dobara product bnane k liye.


3. Tijarat
ye kahani b thre se faraq k saath kuch is tarah hy:
Me ek muflis garib nadar bnda hon, chhota sa kachi mitti ka ek kamre wala ghhar hy jis me chhota sa sehn hy. Ek chhote se gaon me apni bv k sath rehta hon.
Meri halat is waqt esi hy k agr hath per na mare to 2 din me marjaonga.
Mere pas na Zamin hy na Hunar, Bheek mangne se Marjana behtar hy aur Nokri krna b mushkil hy.
Phr me ek kam krta hon, apne ek dost se 10 rupe qarz leta hon, aur apna gadha lekar nikal parta hon. Qarib hi ek shehr puhuncta hon. Wahan se kuch Ashya Kharidta hon. Wapas akar apne Ghoth aur gird nawah elaqon main un ashya ko farokht (4 ane 8 ane Munafe main) krta hon. Kul mila kar mere pas 14 rupe jama hojate hyn. 4 rupe main apne pet k liye bndobst krta hon. Aur 10 rupe wohi bachte hyn jin se dobara tijarat kar sakon. [yahan bhi 10 rupe wali ashya 14 main rupe main 4 rupe munafe ke saath bechi ja rahi hyn, tabhi mere ghar ka charkha chalne lgta hy, 10 wali chezen subha ko khareed kar shaam ko 10 main i bech kar phir ghar per aakar qabar khod kar so jaon!]

Dono hi Type 2 aur 3 main Zamane k Hawadas shamil hojate hyn, Kbhi Mausam se Product per asar parta hy to Kbhi Looteron k Hathe charh jata hy kbhi Achhai hoti hy Zyada qeemat per bik jata hy to kbhi Burai hoti hy Nuqsan uthana parta hy!

[isi asna me ye bt b gosh guzar hoti jaye k Islam ne Kheti Bari aur Tijarat ko Pasand kiya gya hy Jbke Nokri ko Napasand (bheek mangna to ofcourse had se zyada na pasandeedah hy). Iska reason Aleem Shaikh sahb ne ye byan kiya tha k Tijarat me bnda Khuda pe Bharosa rakhta hy jb k Nokri me apne Boss per!]

1. Nokri
ye wo Kam hy jis me Na ashaya Bnane ki tension, Na ashya Farokht krne ki tension, Na mal Lut jane ki tension, Na Mausam k achhe ya bure hone ki tension, ager kam/product Seasony hy to Season k hone ya Na hone ki Na koi tension.
Bus ek muntakhib kam kiya jata hy Ksi k liye aur Pese lekar ghar ko ravana hua jata hy, aur un peson se Na Kham Mal kharidne (kharid o farokht me) Invest krne ki tension! (ye saare Tension Kam Muhaiya karne wale (Malik) ke gale main hote hyn, Mazdoor ko sirf Kam karna hy, baqi is kaam se Aage kya ho raha hy Peeche kya ho raha hy, koi parwah nahin)
[Oooper wali 2 misalon mian Banda Kaam ke Resources bhi khud peda kar raha tha aur Kaam bhi khud kar raha tha, Per is Nokri wale Amal main ye procedure Half ho jata hy/ 2 hisson main bat jata hy, is main Kaam ke Resources ek Banda Muhaiya karta hy, aur Kaam Doosra. Technically is hisab se Mazdoor ko Aadhi Ujrat milni chahiye!]

Bunyadi tor per Ye Kam 2 bndon ki beech me ek ‘Personal Deal’ ki trah hota hy. Shuru main ee Bnda Mazdor ko kam btata hy, Mazdoori btata hy, dono ager Razi to phir … Jub Miyan Bivi Razi to Kya Karega Qazi.!

______________


Bagiar Munafe ke Ye Dunya Kesi Chalne Wali Hy… Ye Baat Mujh Gareeb Bande ki Samajh se to Bahar Hy!

Cheezon main se Munafa Nikalna Matlab, Mazdoor ki Mehnat nikalna, Sarmaya main se Zinda Saramaya nikalna.


Hum ne Cheezon ki Analysation Simple Style main ki hy, is ko ager zyada Wasee’ pemane per aur Pecheedah bana diya jaye tb bhi Bunyadi Chez same rehegen , bus Miqdar barh jati hy.

Yaqinan apni jaga per Bare Pemane per Jama Andozi aur Munafa Khori buhut Buri chez hy, jis ka Khaatma hona chahiye (aur yahan per Munafa se murad, Cheezon ko Asal Value se zyada qeemat per bechna. (mozdoor ke mehnat shaamil karne ke saath), aur is tarah Jama Andozi karna k Currency/Money/Value ka dobara Re-criculate hona. Munafa usi waqt nikal sakta hy jub khali 'Murdah Sarmaya' ho!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...