FIKRism

Wednesday, May 19, 2010

Ghulami Ka Na Hona Lanat Hy

'Ghulami' ka Na Hona Maujoodah Sarmayadar Nizam ka bunyadi juz hy!

Jo log Ghulami ko lanat samajhte hyn, wo us bat per ghaur nahi krte k is chez k na hone se muashre me akhr kya kharabiyan janam legin !
Aur jb kharabiyan janam leti hyn to usko wo alag se dkhte hyn, ye nahi analyse karte ke akhr in kharabiyon ne janam kese liya.

Ye ese ee hy ke ek bnda kehta hy is darakht ka Tana (stem) kat do k ye burai ki jar hy, phr jb darakht ko neche se kata jata hy to wo dharam se uski jhopri pe girta hy aur bnda bolta hy 'Hay Re Hay! Theniyon ne to mera ghar tbah kar diya.' aur wo in dono chezon ko alag alag se dkhta hy, wo ye nahi sochta darakht ki theniyan is k ghar k ooper iski bunyad katne ki waja se i giri!

Ghulami k na hone ki waja se wohi gareeb tabqa ab dar padar bhatak rha hy, aur jis tbqe ka ab buhut bure tariqe se istehsal ho rha hy!
Na uske izat o namoos mehfoz hy, na us mai sakkat hy k zamane o muashre se lar sake.
Na wo apne bchon ko talim hi de sakta hy aur na apni bhen beti ki shadi krwa skta hy!
Phr jo Zalim o Jabir is per zulm kare (chahe wo jabir awam me se ho ya hukumat me se) ye khamoshi se sehne k elawa kuch nahi kr skta!
Phr is k pas sirf 2 raahen i bchti hy ya to Khudkashi kr le, ya apne ap ko (aur apni aulad ko) saste damon bech de.
[aur is saste damon bechne se murad ghulami nahien bulke wohi mazdori hy jis me insan majburi ki halat me bhooti kori per kam krne per b razi ho jata hy, bulke apni aulad tk ko bech deta hy! Kyoni k khud to unki kifalat nahien kr skta, phr ehsase mehroomi, muflisi, nadari, bemari... wali zindagi se bnda ya to khudkashi krle, ya saste damon bik jaye! (per yahan per b ye satam zarifi hy k koi Kharidar nahi milta!)]

Ghulami k hone me chand khoobiyan hoti hyn!
Ek to wohi Gareeb (proltaria) tbqa (jin per Marx chekh chekh k thak gaya) ka majority Ehle Surwat k pas ghulam bn k jeeta. Phr ehle surwat k pas inka nan nafuqqa libas o rehaish k bndobst krne ka masla nahi is liye inki Halate Zeest behtar hogi, ksi Zalim k zulm krne per ghulam apne Malik se shikayat kr sakta hy aur Malik apne ghulam k liye apne muashre se lar sakta hy. Ghulam o Kaneez jese k Ghar k Fard bnkar jeette hyn is liye (maujoodah zamane k Nokron k muqable main) zyada mukhlis hote hyn (bulke jo ghar ka fard ho us ke liye be-imani be-matlab hy), aur Malik bhi apne ghulamo se Apnaiyat aur Unsiyat rakhta hy.
Wse B Fitri Tor Per Insan Apni 'Milkiyat' se Muhabbat Rakhta Hy!

Ye b jan lena chahiye TABQATI NIZAM is Dunya ki sirusht me dakhil hy bilkul ese i jese Kainat main Newtons Law.
Koi bnda apni Jahalat ki bina per Gravitation se inkar to kr skta hy per uski Khilaf warzi Nahien kr skta.


Ghulami Ka Khaatma ki wajah:

Ghulami ke qanoon ko mansookh kr k 2 nuqsanat hue.. 1 FEUDALISM wujud me aya 2 CAPITALISM wujud me aya.. Pehle gulam aqaon ke kam krte the.. Per gulam ka nan nafaqa libas rehn sehn even shadi sb aqa k zimme hota tha.. Per 'gulami' ka khatma khud FEUDALISTS n CAPITALISTS ki aqalmandi ho sakti hy.. Kyon ab ye 'logon' se gulami wala kam to lene lage per ab unki zarooryate zindagi ke zimme se aari rahe. Ab unki mehnat k bdle me bus thori si raqam de di jati thi, us per b kai mehsoolat, qarze, aur sakhtiyan ki jati thi. Plus me choonke ye mehnat kash gulamon ki trah apne aqaon ke sath nhi rehte the is liye gurbat inke dimagon me raasikh hokar 'muqaddar' bn gai.

___________________

1 comment:

  1. Assalam Alikum,
    Ajj kal internet per bohot baray pamany per Islam k khilaf aik nai tehrek nazar aa rahe hay .. maray kuch dost is say bohot mutasir hoay hain or maray pass itni malumat nahin han k jawab day sakun.
    2,3 sawal hain pash-e-khidmat hain mujhay umeed hay aap jawab dain gay saray k sary sawal ajeeb bhonday hain sach to ya he hay lakin app yakeen janeay in k behtareen jawab mill janay say ham bohot say sada musalmanun ko deen ki taraf lay ain gay .
    1- Keya Islam man Mardun ko un-ghinat lodian rakh k andhi sehwat rani karnay ki ijazat de gaye hay ? agar han to pher Pakezgee or insaf or ya sab tasawarat kaysay nafiz hun gay ?
    2- Keya Islam ki tarekh man jo hukamran guzray hain (khas tor say 3 ka zikar hota hay umeed hay sab jantay hun gay keon) maslan harun al rasheed , mamun al rasheed , or khilafat-e-usmaina(turki) k tamam hukamran ,, keya in sab nay 100 or 1000 ki tadad man bandian jama kin mehez aiyashi k wastay or in ko gana , nachna sikhaya or is say lutf andoz hotay rahay jab k harun al rashed k zamanay man to imama abu Yusuf (r.a) bhe mojood thay to unhun nay is per aitraz nahin keya ?
    3-Yakeenan Islam Ghulami ka behtareen hal or jang k qadeon k baray man behtareen ehkamat data hay is per koi zara baraber bhe shak nahin hay. sawal ya hay k islam nay ghulamun , bandon k sath husn-e-salook ka hukum deya hay aab agar aik shakhs koi 4000 bandian jama kar lata hay or aik k pass mehez aik bar jata hay tamam umer man or pher usay mehel man band kr k khana pena data rahta hay. to keya ya husn-e-salook k zumray man aye ga? keya iss mamlay per Islam man koi pakar nahin hay?
    4- Londion ya bandion ya malak-e-yameen k baray man Parday ka keya hukum hay? Yahodi or kufar wawala macha rahay ahin k Islam man in ko parda nahin karnay deya jata balkay yahan tak k ya khulay aam sena khool k pher sakti han (hamain to ya bat hazam nahin hoti) agar aysa hay to pher azad aurat per itni sakhti keon hay? keya aik ghulam aurat fahashi phelanay ka zareya nahin ban sakti?

    Mujhay bari shidat say in sawalat k jawabat ka intezar rahay ga... please jald az jald jawab da degea ga ta k kai aik (man to kahun ga sankrun) musalmanun k iman ki hifazat ho jay.
    Jazak Allah

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...