Chapter 07
Sarmayadari Nizam ki Ibtida
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)
Summary
Ye kahani bari lambi chauri hy . . . Karib 1500 saal ka daur cover krtiy hy . . . Per urooj 16ven sadi se 19sadi hy.
Dastkar ~ Menufacturing ~ se Sanatkar tk
Shuru mai log munafa khori nhi krte the, sirf apni Zaruriyate Zindagi tak peda krte aur bnate. Fazil Pedawar ko sirf apni deegar ashya-e-zaruriyate zindagi k lye becha jata. Isi tarah mukhtalif hunur-mand apni Productions mehz zaruri ashya khareedne k lye bechte yane simple words mai Ashya braye Ashya. Agr currency beech mai kahen ati b to us mai munafa khori ka koi dakhal na hota. (wo b mehz ashya kharedne k lye beech mai ati) . . . Phr kuch ese log peda hue jo ek hi qism k karigaron ko ek jaga ekattha krte aur un se kam lete, ab esa tha ka. Shurwat ka kharcha aur resources ko provide krna is bnde ka kaam tha. Jaga iski, Auzar iske, Khaam maal iska. Yakeenam karigaron ki ujrat b iski zimmdari thi. Aur iske nateeje mai PRODUCTION b iski. Bus MEHNAT karigaron ki thi jiske badle main wo Ujrat paate the.. Yahan se MENUFACTURING ka dor shuru hua aur munfa khori bhi. "Is Tarah Sarmaya Dari Ka Pehla Daur Jis Ko 'Menufacturing' Kehte Hyn Aur Jo Dastkar Hi Ki Tarakki Yafata Shakal Thi Shuru Hogaya. 115" Isi menufacturing ki badolat ab koi b karigar Kulli karigar na raha, kyon k ab ek kam mukhltf karigaron mai bat gaya. Pehle ek CHEZ ko shuru se akhr tk ek hi karigar apne pyar bhare auzuaron (jo k us ka asasa the) se bnata, per ab wo us CHEZ ka srf ek hisse ko i bnana janta, is lye ye ab COMPANY se bahar nikalne k bad bekar sa tha (yane ye majbur bngaya tha akele k bjai company k sath kam karne per, ooper se iske aale jo iske sub kuch the ab iske na rahe) "Ab Is Dastkar Ke Pas Apne Quwat E Mehnat K Elawa Koi Asasa Na Raha Jis Ko Wo Bazar Mai Farokht Krta. 115" . . . 16ven 17ven sadi mai in Sarmaya daron ko Hind o Amrica ki daryafaton k bad wafar miqdar mai raw material, man power (gulam) milne lage jis ki waja se inko apni factryon ka kam zyada tezi se krwana para (zyada se zyada munafa kamane k chakar mai) "Haqiqat Ye Hy K Eurape Mai Sarmaya Dari Ki Irtiqa Mai Mashraqi Mulkon K Loot Ne Bhi Bara Tareekhi Kirdar Ada Kiya. Ibtidayi Daur Mai B Aur Sarmaya Dari K Ehde Urooj Mai B. 118" "Amrica Aur Hindustan Ki Daryafton Ne Maghrabi Eurape Ki Taqdir Badal Dee. 121" "16ven 17ven Sadi Mai Bartaniya Mai Kan Kani, Sheesha Sazi, Ooni Parcha Bafi Aur Aslaha Sazi Ki Sanaten Khoob Phaleen Phoolen Aur Kham Mal Ki Pedawar Mai Buhut Izafa Hua. 122", is wafar miqdar k karan, ab zyada bari factryon aur machinon ki zarurat pari, menufacturing daur mai jahan kam insan machino ki tarah krte the, ab machine insano ka kam krnee lageen aur insan un machino ka mehkoom hogaya bulke purza bngaya. kul mila kr ab mahol esa ban gaya k Sarmayadar resources provide krte aur mehnat kash/karigar mehz apni mehnat bechte. "Insan Ka Zameer, Us Ke Afkaar o Aqaid Aur Ilm o Fun, Sub Ke Dam Lagne Lage. Sb Ki Qeematen Muqarar Hogayen. Sarmaya Dari Nizam Jis Ki Ibtida 16ven Sadi Mai Hui Thi 19ven Sadi Mai Urooj Per Puhunch Gaya. 125"
CRITICS:
Critics ki nigah se dekha jaye to ye sb (sarmaya dari) fitri aur tareekhi amal lagta hy. Ye ksi ek bnde ki soch na thi, na ek admi k hayate zindagi tk muheet thi bulke isko shuru hone aur urooj tk puhunchne mai rafta rafta shaklen bdalte bdlte sadiyan lagi. (aur ese amal ko FITRI i kehte hyn) . . . Ager ye sb kuch galat tha to aya us waqt ye sb kuch rokne mai kya iqdamat uthane chahiye the? Kya iqdamat uthaye ja sakte the ? . . . ya ye kahen k ye sb kuch Mazi tk thek the ab bdalne ka waqt aa gaya hy? . . . Badlao kis janib? Kya hm dobara peechhe ki janib ka soch rahen hyn? Aur ager esa kiya bhi to ek bar dunya ko reverse krne k bawajud hm dobara fitri tor per usi rah per chal parenge jis rah se ho aye . . .(ab aj k zamane mai koi iklota bnda to Ferrari nhi bna sakta na koi iklota koi bari compani chala sakta hy!) ager sb kuch galat hy to galti kaha per hui aur qasurwar kon? (agr kasurwar hm sb hyn to koi qasurwar nhi!)
[mai koi sarmaya dari ka tarafdar nhi. Na hi mera abba koi sarmayadar hy. Per ek neutral student k nate mai sirf haqiqat ki nigah se dekhne ki koshish kr rha hun!]
Critics Answered by Myself:
Capitalism us daur main wo Cheez thi Jese aaj k daur main Socialism samjha jata hy. Matlab her daur ki apni ek Ryasatai aur Economic System ki Need hoti hy. Jo us daur main Capitalism thee … yaane asan lafzon main Capitalism us daur main buri na thee bulke khud mas’alon ka hal thee. Ager buri hy to Aaj, Kyon ki Kainat aur Muashira musalsal Irtiqayee Manazil te karta hy … to is liye aaj k zamane main is Irtiqa ki Manzil Socialism hy!! (?) … jesa ke Marx ki khud definition hy socialism k mutalik: "Transitions between Capitalism and Communism."
Excerpts
--> Paanchvi Sadi se Chaudven Sadi Eesvi Ke Hazar Sala Daur Ko Europe ke “Ehde-e-Tareek” (Quroon-e-Wasta / Dark Ages) se Tabeer kiya Jata Hy. 116
--> Mukhtasir Ye Ke Quroon-E-Wasta Mian Europe Ke Feudal Tabqe Aur Kaleesa Ka Mafad Ek Tha. Dono Murwajja Zarai Nizam Ko Qaim Rakhne Ke Haq Main The Aur Her Qism Ki Muashirati ya Fikri Islaah Ki Shiddat Se Mukhalifat Karte The. 117
--> In Rayaston Ne Jang-E-Salebiyah (1195-1291) Ke Dauran Khoob Taraqqi Ki Thi. Jang-E-Salebiyan Ka Bazahir Maqsad Baitul Muqaddas Ko Musalmanon Ke Qabze Se Azad Karwana Tha Lekin Haqeeqi Maqsad Iqtisadi Tha. Yaane Shaam, Lebonan, Aur Phalasteen Per Qabza Karna Aur Bahr-E-Rome Ki Behri Tijarat Ki Ijarah Dari Karna. 117
--> Ijtamai Mehnat Aur Taqseem Kar Ke Usoolon Ke Mutabiq Karkhanon Main Kaam Karne Wale Dastkaar Darasal Wohi Pedawari Mansab Ada Karne Lage Jo Ayendah Khudkar Masheenen Sar Anjam Dene Wali Theen. 118
--> Amreeca Aur Hindustan Ke Daryafton Ne Magribi Europe Ki Taqdeer Badal Dee (1491 mai) Columbus Hindustan Ke Safar Per Nikla Magar Amrica Puhunch Gya Aur 1498 Main Vsco Da Gama Ne Raas Umeed Ke Raaste Ko Uboor Kar Ke Calicut Main Langar Daale) . 121
--> Sarmayadari Nizam Main Sarmayadar Aur Mazdoor Ka Rishta Bazari Rishte Main Badal Gaya Yaane Sarmayadar Mehnat Ka Khareedar Thehra Aur Mazdoor Mehnat Ka Bechna Wala. 127
--> Martin Lothar Aur Kalvin Waghera Ki Roman Kaleesa Ke Khilaf Baghawat Jis Ki Waja Se Aadhi Maseehi Dunya Protestant Hogai. 129
--> Sarmayadari Nizam Ki Sharten --- Page: 125-130
No comments:
Post a Comment